12
Mazīd Īzārasānī
1 Un dinoṅ meṅ bādshāh Herodes Agrippā jamāt ke kuchh īmāndāroṅ ko giriftār karke un se badsulūkī karne lagā.
2 Is silsile meṅ us ne Yāqūb rasūl (Yūhannā ke bhāī) ko talwār se qatl karwāyā.
3 Jab us ne dekhā ki yih harkat Yahūdiyoṅ ko pasand āī hai to us ne Patras ko bhī giriftār kar liyā. Us waqt Beḳhamīrī Roṭī kī Īd manāī jā rahī thī.
4 Us ne use jel meṅ ḍāl kar chār dastoṅ ke hawāle kar diyā ki us kī pahrādārī kareṅ. (Har daste meṅ chār faujī the.) Ḳhayāl thā ki īd ke bād hī Patras ko awām ke sāmne khaṛā karke us kī adālat kī jāe.
5 Yoṅ Patras qaidḳhāne meṅ rahā. Lekin īmāndāroṅ kī jamāt lagātār us ke lie duā kartī rahī.
Patras kī Rihāī
6 Phir adālat kā din qarīb ā gayā. Patras rāt ke waqt so rahā thā. Agle din Herodes use pesh karnā chāhtā thā. Patras do faujiyoṅ ke darmiyān leṭā huā thā jo do zanjīroṅ se us ke sāth bandhe hue the. Dīgar faujī darwāze ke sāmne pahrā de rahe the.
7 Achānak ek tez raushnī koṭhaṛī meṅ chamak uṭhī aur Rab kā ek farishtā Patras ke sāmne ā khaṛā huā. Us ne us ke pahlū ko jhaṭkā de kar use jagā diyā aur kahā, “Jaldī karo! Uṭho!” Tab Patras kī kalāiyoṅ par kī zanjīreṅ gir gaīṅ.
8 Phir farishte ne use batāyā, “Apne kapṛe aur jūte pahan lo.” Patras ne aisā hī kiyā. Farishte ne kahā, “Ab apnī chādar oṛh kar mere pīchhe ho lo.”
9 Chunāṅche Patras koṭhaṛī se nikal kar farishte ke pīchhe ho liyā agarche use ab tak samajh nahīṅ āī thī ki jo kuchh ho rahā hai haqīqī hai. Us kā ḳhayāl thā ki maiṅ royā dekh rahā hūṅ.
10 Donoṅ pahle pahre se guzar gae. Phir dūsre se aur yoṅ shahr meṅ pahuṅchāne wāle lohe ke geṭ ke pās āe. Yih ḳhud baḳhud khul gayā aur wuh donoṅ nikal kar ek galī meṅ chalne lage. Chalte chalte farishte ne achānak Patras ko chhoṛ diyā.
11 Phir Patras hosh meṅ ā gayā. Us ne kahā, “Wāqaī, Ḳhudāwand ne apne farishte ko mere pās bhej kar mujhe Herodes ke hāth se bachāyā hai. Ab Yahūdī qaum kī tawaqqo pūrī nahīṅ hogī.”
12 Jab yih bāt use samajh āī to wuh Yūhannā Marqus kī māṅ Mariyam ke ghar chalā gayā. Wahāṅ bahut-se afrād jamā ho kar duā kar rahe the.
13 Patras ne geṭ khaṭkhaṭāyā to ek naukarānī deḳhne ke lie āī. Us kā nām rudī thā.
14 Jab us ne Patras kī āwāz pahchān lī to wuh ḳhushī ke māre geṭ ko kholne ke bajāe dauṛ kar andar chalī gaī aur batāyā, “Patras geṭ par khaṛe haiṅ!”
15 Hāzirīn ne kahā, “Hosh meṅ āo!” Lekin wuh apnī bāt par aṛī rahī. Phir unhoṅ ne kahā, “Yih us kā farishtā hogā.”
16 Ab tak Patras bāhar khaṛā khaṭkhaṭā rahā thā. Chunāṅche unhoṅ ne geṭ ko khol diyā. Patras ko dekh kar wuh hairān rah gae.
17 Lekin us ne apne hāth se ḳhāmosh rahne kā ishārā kiyā aur unheṅ sārā wāqiyā sunāyā ki Ḳhudāwand mujhe kis tarah jel se nikāl lāyā hai. “Yāqūb aur bāqī bhāiyoṅ ko bhī yih batānā,” yih kah kar wuh kahīṅ aur chalā gayā.
18 Aglī subah jel ke faujiyoṅ meṅ baṛī halchal mach gaī ki Patras kā kyā huā hai.
19 Jab Herodes ne use ḍhūnḍā aur na pāyā to us ne pahredāroṅ kā bayān le kar unheṅ sazā-e-maut de dī.
Is ke bād wuh Yahūdiyā se chalā gayā aur Qaisariyā meṅ rahne lagā.
Herodes Agrippā kī Maut
20 Us waqt wuh Sūr aur Saidā ke bāshindoṅ se nihāyat nārāz thā. Is lie donoṅ shahroṅ ke numāinde mil kar sulah kī darḳhāst karne ke lie us ke pās āe. Wajah yih thī ki un kī ḳhurāk Herodes ke mulk se hāsil hotī thī. Unhoṅ ne bādshāh ke mahal ke inchārj blastus ko is par āmādā kiyā ki wuh un kī madad kare
21 aur bādshāh se milne kā din muqarrar kiyā. Jab wuh din āyā to Herodes apnā shāhī libās pahan kar taḳht par baiṭh gayā aur ek alāniyā taqrīr kī.
22 Awām ne nāre lagā lagā kar pukārā, “Yih Allāh kī āwāz hai, insān kī nahīṅ.”
23 Wuh abhī yih kah rahe the ki Rab ke farishte ne Herodes ko mārā, kyoṅki us ne logoṅ kī parastish qabūl karke Allāh ko jalāl nahīṅ diyā thā. Wuh bīmār huā aur kīṛoṅ ne us ke jism ko khā khā kar ḳhatm kar diyā. Isī hālat meṅ wuh mar gayā.
24 Lekin Allāh kā kalām baṛhtā aur phailtā gayā.
25 Itne meṅ Barnabās aur Sāūl Antākiyā kā hadiyā le kar Yarūshalam pahuṅch chuke the. Unhoṅ ne paise wahāṅ ke buzurgoṅ ke sapurd kar die aur phir Yūhannā Marqus ko sāth le kar wāpas chale gae.