20
Makiduniyā aur Aḳhayā Meṅ
1 Jab shahr meṅ afrā-tafrī ḳhatm huī to Paulus ne shāgirdoṅ ko bulā kar un kī hauslā-afzāī kī. Phir wuh unheṅ ḳhairbād kah kar Makiduniyā ke lie rawānā huā.
2 Wahāṅ pahuṅch kar us ne jagah bajagah jā kar bahut-sī bātoṅ se īmāndāroṅ kī hauslā-afzāī kī. Yoṅ chalte chalte wuh Yūnān pahuṅch gayā
3 jahāṅ wuh tīn māh tak ṭhahrā. Wuh Mulk-e-Shām ke lie jahāz par sawār hone wālā thā ki patā chalā ki Yahūdiyoṅ ne us ke ḳhilāf sāzish kī hai. Is par us ne Makiduniyā se ho kar wāpas jāne kā faislā kiyā.
4 Us ke kaī hamsafr the: Beriyā se Purus kā beṭā Sopatrus, Thissalunīke se Aristarḳhus aur Sikundus, Dirbe se Gayus, Tīmuthiyus aur sūbā Āsiyā se Tuḳhikus aur Trufimus.
5 Yih ādmī āge nikal kar Troās chale gae jahāṅ unhoṅ ne hamārā intazār kiyā.
6 Beḳhamīrī Roṭī kī Īd ke bād ham Filippī ke qarīb jahāz par sawār hue aur pāṅch din ke bād un ke pās Troās pahuṅch gae. Wahāṅ ham sāt din rahe.
Troās meṅ Paulus kī Alwidāī Mīṭing
7 Itwār ko ham Ashā-e-Rabbānī manāne ke lie jamā hue. Paulus logoṅ se bāt karne lagā aur chūṅki wuh agle din rawānā hone wālā thā is lie wuh ādhī rāt tak boltā rahā.
8 Ūpar kī manzil meṅ jis kamre meṅ ham jamā the wahāṅ bahut-se charāġh jal rahe the.
9 Ek jawān khiṛkī kī dahlīz par baiṭhā thā. Us kā nām Yūtiḳhus thā. Jyoṅ jyoṅ Paulus kī bāteṅ lambī hotī jā rahī thīṅ us par nīnd ġhālib ātī jā rahī thī. Āḳhirkār wuh gahrī nīnd meṅ tīsrī manzil se zamīn par gir gayā. Jab logoṅ ne nīche pahuṅch kar use zamīn par se uṭhāyā to wuh jāṅ bahaq ho chukā thā.
10 Lekin Paulus utar kar us par jhuk gayā aur use apne bāzuoṅ meṅ le liyā. Us ne kahā, “Mat ghabrāeṅ, wuh zindā hai.”
11 Phir wuh wāpas ūpar ā gayā, Ashā-e-Rabbānī manāī aur khānā khāyā. Us ne apnī bāteṅ pau phaṭne tak jārī rakhīṅ, phir rawānā huā.
12 Aur unhoṅ ne jawān ko zindā hālat meṅ wahāṅ se le kar bahut tasallī pāī.
Troās se Mīletus Tak
13 Ham āge nikal kar Assus ke lie jahāz par sawār hue. Ḳhud Paulus ne intazām karwāyā thā ki wuh paidal jā kar Assus meṅ hamāre jahāz par āegā.
14 Wahāṅ wuh ham se milā aur ham use jahāz par lā kar Matulene pahuṅche.
15 Agle din ham ḳhiyus ke jazīre se guzare. Us se agle din ham Sāmus ke jazīre ke qarīb āe. Is ke bād ke din ham Mīletus pahuṅch gae.
16 Paulus pahle se faislā kar chukā thā ki maiṅ Ifisus meṅ nahīṅ ṭhahrūṅga balki āge niklūṅgā, kyoṅki wuh jaldī meṅ thā. Wuh jahāṅ tak mumkin thā Pantikust kī Īd se pahle pahle Yarūshalam pahuṅchnā chāhtā thā.
Ifisus ke Buzurgoṅ ke lie Paulus kī Alwidāī Taqrīr
17 Mīletus se Paulus ne Ifisus kī jamāt ke buzurgoṅ ko bulā liyā.
18 Jab wuh pahuṅche to us ne un se kahā, “Āp jānte haiṅ ki maiṅ sūbā Āsiyā meṅ pahlā qadam uṭhāne se le kar pūrā waqt āp ke sāth kis tarah rahā.
19 Maiṅ ne baṛī inkisārī se Ḳhudāwand kī ḳhidmat kī hai. Mujhe bahut āṅsū bahāne paṛe aur Yahūdiyoṅ kī sāzishoṅ se mujh par bahut āzmāisheṅ āīṅ.
20 Maiṅ ne āp ke fāyde kī koī bhī bāt āp se chhupāe na rakhī balki āp ko alāniyā aur ghar ghar jā kar tālīm detā rahā.
21 Maiṅ ne Yahūdiyoṅ ko Yūnāniyoṅ samet gawāhī dī ki unheṅ taubā karke Allāh kī taraf rujū karne aur hamāre Ḳhudāwand Īsā par īmān lāne kī zarūrat hai.
22 Aur ab maiṅ Rūhul-quds se bandhā huā Yarūshalam jā rahā hūṅ. Maiṅ nahīṅ jāntā ki mere sāth kyā kuchh hogā,
23 lekin itnā mujhe mālūm hai ki Rūhul-quds mujhe shahr bashahr is bāt se āgāh kar rahā hai ki mujhe qaid aur musībatoṅ kā sāmnā karnā paṛegā.
24 Ḳhair, maiṅ apnī zindagī ko kisī tarah bhī aham nahīṅ samajhtā. Aham bāt sirf yih hai ki maiṅ apnā wuh mishan aur zimmedārī pūrī karūṅ jo Ḳhudāwand Īsā ne mere sapurd kī hai. Aur wuh zimmedārī yih hai ki maiṅ logoṅ ko gawāhī de kar yih ḳhushḳhabrī sunāūṅ ki Allāh ne apne fazl se un ke lie kyā kuchh kiyā hai.
25 Aur ab maiṅ jāntā hūṅ ki āp sab jinheṅ maiṅ ne Allāh kī bādshāhī kā paiġhām sunā diyā hai mujhe is ke bād kabhī nahīṅ dekheṅge.
26 Is lie maiṅ āj hī āp ko batātā hūṅ ki agar āp meṅ se koī bhī halāk ho jāe to maiṅ bequsūr hūṅ,
27 kyoṅki maiṅ āp ko Allāh kī pūrī marzī batāne se na jhijkā.
28 Chunāṅche ḳhabardār rah kar apnā aur us pūre galle kā ḳhayāl rakhnā jis par Rūhul-quds ne āp ko muqarrar kiyā hai. Nigarānoṅ aur charwāhoṅ kī haisiyat se Allāh kī jamāt kī ḳhidmat kareṅ, us jamāt kī jise us ne apne hī Farzand ke ḳhūn se hāsil kiyā hai.
29 Mujhe mālūm hai ki mere jāne ke bād wahshī bheṛie āp meṅ ghus āeṅge jo galle ko nahīṅ chhoṛeṅge.
30 Āp ke darmiyān se bhī ādmī uṭh kar sachchāī ko toṛ-maroṛ kar bayān kareṅge tāki shāgirdoṅ ko apne pīchhe lagā leṅ.
31 Is lie jāgte raheṅ! Yih bāt zahan meṅ rakheṅ ki maiṅ tīn sāl ke daurān din rāt har ek ko samjhāne se bāz na āyā. Mere āṅsuoṅ ko yād rakheṅ jo maiṅ ne āp ke lie bahāe haiṅ.
32 Aur ab maiṅ āp ko Allāh aur us ke fazl ke kalām ke sapurd kartā hūṅ. Yihī kalām āp kī tāmīr karke āp ko wuh mīrās muhaiyā karne ke qābil hai jo Allāh tamām muqaddas kie gae logoṅ ko detā hai.
33 Maiṅ ne kisī ke bhī sone, chāṅdī yā kapṛoṅ kā lālach na kiyā.
34 Āp ḳhud jānte haiṅ ki maiṅ ne apne in hāthoṅ se kām karke na sirf apnī balki apne sāthiyoṅ kī zarūriyāt bhī pūrī kīṅ.
35 Apne har kām meṅ maiṅ āp ko dikhātā rahā ki lāzim hai ki ham is qism kī mehnat karke kamzoroṅ kī madad kareṅ. Kyoṅki hamāre sāmne Ḳhudāwand Īsā ke yih alfāz hone chāhieṅ ki denā lene se mubārak hai.”
36 Yih sab kuchh kah kar Paulus ne ghuṭne ṭek kar un sab ke sāth duā kī.
37 Sab ḳhūb roe aur us ko gale lagā lagā kar bose die.
38 Unheṅ ḳhāskar Paulus kī is bāt se taklīf huī ki ‘Āp is ke bād mujhe kabhī nahīṅ dekheṅge.’ Phir wuh us ke sāth jahāz tak gae.