23
Paulus ne ġhaur se adālat-e-āliyā ke membarān kī taraf dekh kar kahā, “Bhāiyo, āj tak maiṅ ne sāf zamīr ke sāth Allāh ke sāmne zindagī guzārī hai.” Is par imām-e-āzam Hananiyāh ne Paulus ke qarīb khaṛe logoṅ se kahā ki wuh us ke muṅh par thappaṛ māreṅ. Paulus ne us se kahā, “Makkār! * Allāh tum ko hī māregā, kyoṅki tum yahāṅ baiṭhe sharīat ke mutābiq merā faislā karnā chāhte ho jabki mujhe mārne kā hukm de kar ḳhud sharīat kī ḳhilāfwarzī kar rahe ho!”
Paulus ke qarīb khaṛe ādmiyoṅ ne kahā, “Tum Allāh ke imām-e-āzam ko burā kahne kī jurrat kyoṅkar karte ho?”
Paulus ne jawāb diyā, “Bhāiyo, mujhe mālūm na thā ki wuh imām-e-āzam haiṅ, warnā aise alfāz istemāl na kartā. Kyoṅki kalām-e-muqaddas meṅ likhā hai ki apnī qaum ke hākimoṅ ko burā-bhalā mat kahnā.”
Paulus ko ilm thā ki adālat-e-āliyā ke kuchh log Sadūqī haiṅ jabki dīgar Farīsī haiṅ. Is lie wuh ijlās meṅ pukār uṭhā, “Bhāiyo, maiṅ Farīsī balki Farīsī kā beṭā bhī hūṅ. Mujhe is lie adālat meṅ pesh kiyā gayā hai ki maiṅ murdoṅ meṅ se jī uṭhne kī ummīd rakhtā hūṅ.”
Is bāt se Farīsī aur Sadūqī ek dūsre se jhagaṛne lage aur ijlās ke afrād do gurohoṅ meṅ baṭ gae. Wajah yih thī ki Sadūqī nahīṅ mānte ki ham jī uṭheṅge. Wuh farishtoṅ aur rūhoṅ kā bhī inkār karte haiṅ. Is ke muqābale meṅ Farīsī yih sab kuchh mānte haiṅ. Hote hote baṛā shor mach gayā. Farīsī firqe ke kuchh ālim khaṛe ho kar josh se bahs karne lage, “Hameṅ is ādmī meṅ koī ġhaltī nazar nahīṅ ātī, shāyad koī rūh yā farishtā is se hamkalām huā ho.”
10 Jhagaṛe ne itnā zor pakaṛā ki kamānḍar ḍar gayā, kyoṅki ḳhatrā thā ki wuh Paulus ke ṭukṛe kar ḍāleṅ. Is lie us ne apne faujiyoṅ ko hukm diyā ki wuh utreṅ aur Paulus ko Yahūdiyoṅ ke bīch meṅ se chhīn kar qile meṅ wāpas lāeṅ.
11 Usī rāt Ḳhudāwand Paulus ke pās ā khaṛā huā aur kahā, “Hauslā rakh, kyoṅki jis tarah tū ne Yarūshalam meṅ mere bāre meṅ gawāhī dī hai lāzim hai ki isī tarah Rom Shahr meṅ bhī gawāhī de.”
Paulus ke ḳhilāf Sāzish
12 Agle din kuchh Yahūdiyoṅ ne sāzish karke qasam khāī, “Ham na to kuchh khāeṅge, na pieṅge jab tak Paulus ko qatl na kar leṅ.” 13 Chālīs se zyādā mardoṅ ne is sāzish meṅ hissā liyā. 14 Wuh rāhnumā imāmoṅ aur buzurgoṅ ke pās gae aur kahā, “Ham ne pakkī qasam khāī hai ki kuchh nahīṅ khāeṅge jab tak Paulus ko qatl na kar leṅ. 15 Ab zarā Yahūdī adālat-e-āliyā ke sāth mil kar kamānḍar se guzārish kareṅ ki wuh use dubārā āp ke pās lāeṅ. Bahānā yih pesh kareṅ ki āp mazīd tafsīl se us ke muāmale kā jāyzā lenā chāhte haiṅ. Jab use lāyā jāegā to ham us ke yahāṅ pahuṅchne se pahle pahle use mār ḍālne ke lie taiyār hoṅge.”
16 Lekin Paulus ke bhānje ko is bāt kā patā chal gayā. Us ne qile meṅ jā kar Paulus ko ittalā dī. 17 Is par Paulus ne Romī afsaroṅ meṅ se ek ko bulā kar kahā, “Is jawān ko kamānḍar ke pās le jāeṅ. Is ke pās un ke lie ḳhabar hai.” 18 Afsar bhānje ko kamānḍar ke pās le gayā aur kahā, “Qaidī Paulus ne mujhe bulā kar mujh se guzārish kī ki is naujawān ko āp ke pās le āūṅ. Us ke pās āp ke lie ḳhabar hai.”
19 Kamānḍar naujawān kā hāth pakaṛ kar dūsroṅ se alag ho gayā. Phir us ne pūchhā, “Kyā ḳhabar hai jo āp mujhe batānā chāhte haiṅ?”
20 Us ne jawāb diyā, “Yahūdī āp se darḳhāst karne par muttafiq ho gae haiṅ ki āp kal Paulus ko dubārā Yahūdī adālat-e-āliyā ke sāmne lāeṅ. Bahānā yih hogā ki wuh aur zyādā tafsīl se us ke bāre meṅ mālūmāt hāsil karnā chāhte haiṅ. 21 Lekin un kī bāt na māneṅ, kyoṅki un meṅ se chālīs se zyādā ādmī us kī tāk meṅ baiṭhe haiṅ. Unhoṅ ne qasam khāī hai ki ham na kuchh khāeṅge na pieṅge jab tak use qatl na kar leṅ. Wuh abhī taiyār baiṭhe haiṅ aur sirf is intazār meṅ haiṅ ki āp un kī bāt māneṅ.”
22 Kamānḍar ne naujawān ko ruḳhsat karke kahā, “Jo kuchh āp ne mujhe batā diyā hai us kā kisī se zikr na karnā.”
Paulus ko Gawarnar Feliks ke pās Bhejā Jātā Hai
23 Phir kamānḍar ne apne afsaroṅ meṅ se do ko bulāyā jo sau sau faujiyoṅ par muqarrar the. Us ne hukm diyā, “Do sau faujī, sattar ghuṛsawār aur do sau nezābāz taiyār kareṅ. Unheṅ āj rāt ko nau baje Qaisariyā jānā hai. 24 Paulus ke lie bhī ghoṛe taiyār rakhnā tāki wuh sahīh-salāmat gawarnar ke pās pahuṅche.” 25 Phir us ne yih ḳhat likhā,
26 “Az: Klaudiyus Lūsiyās
Muazzaz Gawarnar Feliks ko salām. 27 Yahūdī is ādmī ko pakaṛ kar qatl karne ko the. Mujhe patā chalā ki yih Romī shahrī hai, is lie maiṅ ne apne dastoṅ ke sāth ā kar ise nikāl kar bachā liyā. 28 Maiṅ mālūm karnā chāhtā thā ki wuh kyoṅ is par ilzām lagā rahe haiṅ, is lie maiṅ utar kar ise un kī adālat-e-āliyā ke sāmne lāyā. 29 Mujhe mālūm huā ki un kā ilzām un kī sharīat se tālluq rakhtā hai. Lekin is ne aisā kuchh nahīṅ kiyā jis kī binā par yih jel meṅ ḍālne yā sazā-e-maut ke lāyq ho. 30 Phir mujhe ittalā dī gaī ki is ādmī ko qatl karne kī sāzish kī gaī hai, is lie maiṅ ne ise fauran āp ke pās bhej diyā. Maiṅ ne ilzām lagāne wāloṅ ko bhī hukm diyā ki wuh is par apnā ilzām āp ko hī pesh kareṅ.”
31 Faujiyoṅ ne usī rāt kamānḍar kā hukm pūrā kiyā. Paulus ko sāth le kar wuh Antīpatris tak pahuṅch gae. 32 Agle din piyāde qile ko wāpas chale jabki ghuṛsawāroṅ ne Paulus ko le kar safr jārī rakhā. 33 Qaisariyā pahuṅch kar unhoṅ ne Paulus ko ḳhat samet Gawarnar Feliks ke sāmne pesh kiyā. 34 Us ne ḳhat paṛh liyā aur phir Paulus se pūchhā, “Āp kis sūbe ke haiṅ?” Paulus ne kahā, “Kilikiyā kā.” 35 Is par gawarnar ne kahā, “Maiṅ āp kī samā'at us waqt karūṅga jab āp par ilzām lagāne wāle pahuṅcheṅge.” Aur us ne hukm diyā ki Herodes ke mahal meṅ Paulus kī pahrādārī kī jāe.
* 23:3 Lafzī tarjumā: Safedī kī huī dīwār. 23:17 Sau sipāhiyoṅ par muqarrar afsar.