25
Paulus Shahanshāh se Apīl Kartā Hai
1 Qaisariyā pahuṅchne ke tīn din bād Festus Yarūshalam chalā gayā.
2 Wahāṅ rāhnumā imāmoṅ aur bāqī Yahūdī rāhnumāoṅ ne us ke sāmne Paulus par apne ilzāmāt pesh kie. Unhoṅ ne baṛe zor se
3 minnat kī ki wuh un kī riāyat karke Paulus ko Yarūshalam muntaqil kare. Wajah yih thī ki wuh ghāt meṅ baiṭh kar rāste meṅ Paulus ko qatl karnā chāhte the.
4 Lekin Festus ne jawāb diyā, “Paulus ko Qaisariyā meṅ rakhā gayā hai aur maiṅ ḳhud wahāṅ jāne ko hūṅ.
5 Agar us se koī jurm sarzad huā hai to āp ke kuchh rāhnumā mere sāth wahāṅ jā kar us par ilzām lagāeṅ.”
6 Festus ne mazīd āṭh das din un ke sāth guzāre, phir Qaisariyā chalā gayā. Agle din wuh adālat karne ke lie baiṭhā aur Paulus ko lāne kā hukm diyā.
7 Jab Paulus pahuṅchā to Yarūshalam se āe hue Yahūdī us ke irdgird khaṛe hue aur us par kaī sanjīdā ilzāmāt lagāe, lekin wuh koī bhī bāt sābit na kar sake.
8 Paulus ne apnā difā karke kahā, “Mujh se na Yahūdī sharīat, na Baitul-muqaddas aur na shahanshāh ke ḳhilāf jurm sarzad huā hai.”
9 Lekin Festus Yahūdiyoṅ ke sāth riāyat baratnā chāhtā thā, is lie us ne pūchhā, “Kyā āp Yarūshalam jā kar wahāṅ kī adālat meṅ mere sāmne pesh kie jāne ke lie taiyār haiṅ?”
10 Paulus ne jawāb diyā, “Maiṅ shahanshāh kī Romī adālat meṅ khaṛā hūṅ aur lāzim hai ki yihīṅ merā faislā kiyā jāe. Āp bhī is se ḳhūb wāqif haiṅ ki maiṅ ne Yahūdiyoṅ se koī nāinsāfī nahīṅ kī.
11 Agar mujh se koī aisā kām sarzad huā ho jo sazā-e-maut ke lāyq ho to maiṅ marne se inkār nahīṅ karūṅga. Lekin agar bequsūr hūṅ to kisī ko bhī mujhe in ādmiyoṅ ke hawāle karne kā haq nahīṅ hai. Maiṅ shahanshāh se apīl kartā hūṅ!”
12 Yih sun kar Festus ne apnī kaunsal se mashwarā karke kahā, “Āp ne shahanshāh se apīl kī hai, is lie āp shahanshāh hī ke pās jāeṅge.”
Paulus Agrippā aur Birnīke ke Sāmne
13 Kuchh din guzar gae to Agrippā Bādshāh apnī bahan Birnīke ke sāth Festus se milne āyā.
14 Wuh kaī din wahāṅ ṭhahre rahe. Itne meṅ Festus ne Paulus ke muāmale par bādshāh ke sāth bāt kī. Us ne kahā, “Yahāṅ ek qaidī hai jise Feliks chhoṛ kar chalā gayā hai.
15 Jab maiṅ Yarūshalam gayā to rāhnumā imāmoṅ aur Yahūdī buzurgoṅ ne us par ilzāmāt lagā kar use mujrim qarār dene kā taqāzā kiyā.
16 Maiṅ ne unheṅ jawāb diyā, ‘Romī qānūn kisī ko adālat meṅ pesh kie baġhair mujrim qarār nahīṅ detā. Lāzim hai ki use pahle ilzām lagāne wāloṅ kā sāmnā karne kā mauqā diyā jāe tāki apnā difā kar sake.’
17 Jab us par ilzām lagāne wāle yahāṅ pahuṅche to maiṅ ne tāḳhīr na kī. Maiṅ ne agle hī din adālat mun'aqid karke Paulus ko pesh karne kā hukm diyā.
18 Lekin jab us ke muḳhālif ilzām lagāne ke lie khaṛe hue to wuh aise jurm nahīṅ the jin kī tawaqqo maiṅ kar rahā thā.
19 Un kā us ke sāth koī aur jhagaṛā thā jo un ke apne mazhab aur ek murdā ādmī banām Īsā se tālluq rakhtā hai. Is Īsā ke bāre meṅ Paulus dāwā kartā hai ki wuh zindā hai.
20 Maiṅ uljhan meṅ paṛ gayā kyoṅki mujhe mālūm nahīṅ thā ki kis tarah is muāmale kā sahīh jāyzā lūṅ. Chunāṅche maiṅ ne pūchhā, ‘Kyā āp Yarūshalam jā kar wahāṅ adālat meṅ pesh kie jāne ke lie taiyār haiṅ?’
21 Lekin Paulus ne apīl kī, ‘Shahanshāh hī merā faislā kare.’ Phir maiṅ ne hukm diyā ki use us waqt tak qaid meṅ rakhā jāe jab tak use shahanshāh ke pās bhejne kā intazām na karwā sakūṅ.”
22 Agrippā ne Festus se kahā, “Maiṅ bhī us shaḳhs ko sunanā chāhtā hūṅ.”
Us ne jawāb diyā, “Kal hī āp us ko sun leṅge.”
23 Agle din Agrippā aur Birnīke baṛī dhūmdhām ke sāth āe aur baṛe faujī afsaroṅ aur shahr ke nāmwar ādmiyoṅ ke sāth dīwān-e-ām meṅ dāḳhil hue. Festus ke hukm par Paulus ko andar lāyā gayā.
24 Festus ne kahā, “Agrippā Bādshāh aur tamām ḳhawātīn-o-hazarāt! Āp yahāṅ ek ādmī ko deḳhte haiṅ jis ke bāre meṅ tamām Yahūdī ḳhāh wuh Yarūshalam ke rahne wāle hoṅ, ḳhāh yahāṅ ke, shor machā kar sazā-e-maut kā taqāzā kar rahe haiṅ.
25 Merī dānist meṅ to is ne koī aisā kām nahīṅ kiyā jo sazā-e-maut ke lāyq ho. Lekin is ne shahanshāh se apīl kī hai, is lie maiṅ ne ise Rom bhejne kā faislā kiyā hai.
26 Lekin maiṅ shahanshāh ko kyā likh dūṅ? Kyoṅki is par koī sāf ilzām nahīṅ lagāyā gayā. Is lie maiṅ ise āp sab ke sāmne lāyā hūṅ, ḳhāskar Agrippā Bādshāh āp ke sāmne, tāki āp is kī taftīsh kareṅ aur maiṅ kuchh likh sakūṅ.
27 Kyoṅki mujhe betukī-sī bāt lag rahī hai ki ham ek qaidī ko Rom bhejeṅ jis par ab tak sāf ilzāmāt nahīṅ lagāe gae haiṅ.”