7
Stifanus kī Taqrīr
Imām-e-āzam ne pūchhā, “Kyā yih sach hai?”
Stifanus ne jawāb diyā, “Bhāiyo aur buzurgo, merī bāt suneṅ. Jalāl kā Ḳhudā hamāre bāp Ibrāhīm par zāhir huā jab wuh abhī Masoputāmiyā meṅ ābād thā. Us waqt wuh Hārān meṅ muntaqil nahīṅ huā thā. Allāh ne us se kahā, ‘Apne watan aur apnī qaum ko chhoṛ kar is mulk meṅ chalā jā jo maiṅ tujhe dikhāūṅgā.’ Chunāṅche wuh Kasdiyoṅ ke mulk ko chhoṛ kar Hārān meṅ rahne lagā. Wahāṅ us kā bāp faut huā to Allāh ne use is mulk meṅ muntaqil kiyā jis meṅ āp āj tak ābād haiṅ. Us waqt Allāh ne use is mulk meṅ koī bhī maurūsī zamīn na dī thī, ek murabbā fuṭ tak bhī nahīṅ. Lekin us ne us se wādā kiyā, ‘Maiṅ is mulk ko tere aur terī aulād ke qabze meṅ kar dūṅgā,’ agarche us waqt Ibrāhīm ke hāṅ koī bachchā paidā nahīṅ huā thā. Allāh ne use yih bhī batāyā, ‘Terī aulād aise mulk meṅ rahegī jo us kā nahīṅ hogā. Wahāṅ wuh ajnabī aur ġhulām hogī, aur us par 400 sāl tak bahut zulm kiyā jāegā. Lekin maiṅ us qaum kī adālat karūṅga jis ne use ġhulām banāyā hogā. Is ke bād wuh us mulk meṅ se nikal kar is maqām par merī ibādat kareṅge.’ Phir Allāh ne Ibrāhīm ko ḳhatnā kā ahd diyā. Chunāṅche jab Ibrāhīm kā beṭā Is'hāq paidā huā to bāp ne āṭhweṅ din us kā ḳhatnā kiyā. Yih silsilā jārī rahā jab Is'hāq kā beṭā Yāqūb paidā huā aur Yāqūb ke bārah beṭe, hamāre bārah qabīloṅ ke sardār.
Yih sardār apne bhāī Yūsuf se hasad karne lage aur is lie use bech diyā. Yoṅ wuh ġhulām ban kar Misr pahuṅchā. Lekin Allāh us ke sāth rahā 10 aur use us kī tamām musībatoṅ se rihāī dī. Us ne use dānāī atā karke is qābil banā diyā ki wuh Misr ke bādshāh Firaun kā manzūr-e-nazar ho jāe. Yoṅ Firaun ne use Misr aur apne pūre gharāne par hukmrān muqarrar kiyā. 11 Phir tamām Misr aur Kanān meṅ kāl paṛā. Log baṛī musībat meṅ paṛ gae aur hamāre bāpdādā ke pās bhī ḳhurāk ḳhatm ho gaī. 12 Yāqūb ko patā chalā ki Misr meṅ ab tak anāj hai, is lie us ne apne beṭoṅ ko anāj ḳharīdne ko wahāṅ bhej diyā. 13 Jab unheṅ dūsrī bār wahāṅ jānā paṛā to Yūsuf ne apne āp ko apne bhāiyoṅ par zāhir kiyā, aur Firaun ko Yūsuf ke ḳhāndān ke bāre meṅ āgāh kiyā gayā. 14 Is ke bād Yūsuf ne apne bāp Yāqūb aur tamām rishtedāroṅ ko bulā liyā. Kul 75 afrād āe. 15 Yoṅ Yāqūb Misr pahuṅchā. Wahāṅ wuh aur hamāre bāpdādā mar gae. 16 Unheṅ Sikam meṅ lā kar us qabr meṅ dafnāyā gayā jo Ibrāhīm ne Hamor kī aulād se paise de kar ḳharīdī thī.
17 Phir wuh waqt qarīb ā gayā jis kā wādā Allāh ne Ibrāhīm se kiyā thā. Misr meṅ hamārī qaum kī tādād bahut baṛh chukī thī. 18 Lekin hote hote ek nayā bādshāh taḳhtnashīn huā jo Yūsuf se nāwāqif thā. 19 Us ne hamārī qaum kā istehsāl karke un se badsulūkī kī aur unheṅ apne shīrḳhār bachchoṅ ko zāe karne par majbūr kiyā. 20 Us waqt Mūsā paidā huā. Wuh Allāh ke nazdīk ḳhūbsūrat bachchā thā aur tīn māh tak apne bāp ke ghar meṅ pālā gayā. 21 Is ke bād wālidain ko use chhoṛnā paṛā, lekin Firaun kī beṭī ne use lepālak banā kar apne beṭe ke taur par pālā. 22 Aur Mūsā ko Misriyoṅ kī hikmat ke har shobe meṅ tarbiyat milī. Use bolne aur amal karne kī zabardast qābiliyat hāsil thī.
23 Jab wuh chālīs sāl kā thā to use apnī qaum Isrāīl ke logoṅ se milne kā ḳhayāl āyā. 24 Jab us ne un ke pās jā kar dekhā ki ek Misrī kisī Isrāīlī par tashaddud kar rahā hai to us ne Isrāīlī kī himāyat karke mazlūm kā badlā liyā aur Misrī ko mār ḍālā. 25 Us kā ḳhayāl to yih thā ki mere bhāiyoṅ ko samajh āegī ki Allāh mere wasīle se unheṅ rihāī degā, lekin aisā nahīṅ thā. 26 Agle din wuh do Isrāīliyoṅ ke pās se guzarā jo āpas meṅ laṛ rahe the. Us ne sulah karāne kī koshish meṅ kahā, ‘Mardo, āp to bhāī haiṅ. Āp kyoṅ ek dūsre se ġhalat sulūk kar rahe haiṅ?’ 27 Lekin jo ādmī dūsre se badsulūkī kar rahā thā us ne Mūsā ko ek taraf dhakel kar kahā, ‘Kis ne āp ko ham par hukmrān aur qāzī muqarrar kiyā hai? 28 Kyā āp mujhe bhī qatl karnā chāhte haiṅ jis tarah kal Misrī ko mār ḍālā thā?’ 29 Yih sun kar Mūsā farār ho kar Mulk-e-Midiyān meṅ ajnabī ke taur par rahne lagā. Wahāṅ us ke do beṭe paidā hue.
30 Chālīs sāl ke bād ek farishtā jaltī huī kāṅṭedār jhāṛī ke shole meṅ us par zāhir huā. Us waqt Mūsā Sīnā Pahāṛ ke qarīb registān meṅ thā. 31 Yih manzar dekh kar Mūsā hairān huā. Jab wuh us kā muāynā karne ke lie qarīb pahuṅchā to Rab kī āwāz sunāī dī, 32 ‘Maiṅ tere bāpdādā kā Ḳhudā, Ibrāhīm, Is'hāq aur Yāqūb kā Ḳhudā hūṅ.’ Mūsā thartharāne lagā aur us taraf deḳhne kī jurrat na kī. 33 Phir Rab ne us se kahā, ‘Apnī jūtiyāṅ utār, kyoṅki tū muqaddas zamīn par khaṛā hai. 34 Maiṅ ne Misr meṅ apnī qaum kī burī hālat dekhī aur un kī āheṅ sunī haiṅ, is lie unheṅ bachāne ke lie utar āyā hūṅ. Ab jā, maiṅ tujhe Misr bhejtā hūṅ.’
35 Yoṅ Allāh ne us shaḳhs ko un ke pās bhej diyā jise wuh yih kah kar radd kar chuke the ki ‘Kis ne āp ko ham par hukmrān aur qāzī muqarrar kiyā hai?’ Jaltī huī kāṅṭedār jhāṛī meṅ maujūd farishte kī mārifat Allāh ne Mūsā ko un ke pās bhej diyā tāki wuh un kā hukmrān aur najātdahindā ban jāe. 36 Aur wuh mojize aur ilāhī nishān dikhā kar unheṅ Misr se nikāl lāyā, phir Bahr-e-Qulzum se guzar kar 40 sāl ke daurān registān meṅ un kī rāhnumāī kī. 37 Mūsā ne ḳhud Isrāīliyoṅ ko batāyā, ‘Allāh tumhāre wāste tumhāre bhāiyoṅ meṅ se mujh jaise nabī ko barpā karegā.’ 38 Mūsā registān meṅ qaum kī jamāt meṅ sharīk thā. Ek taraf wuh us farishte ke sāth thā jo Sīnā Pahāṛ par us se bāteṅ kartā thā, dūsrī taraf hamāre bāpdādā ke sāth. Farishte se use zindagībaḳhsh bāteṅ mil gaīṅ jo use hamāre sapurd karnī thīṅ.
39 Lekin hamāre bāpdādā ne us kī sunane se inkār karke use radd kar diyā. Dil hī dil meṅ wuh Misr kī taraf rujū kar chuke the. 40 Wuh Hārūn se kahne lage, ‘Āeṅ, hamāre lie dewatā banā deṅ jo hamāre āge āge chalte hue hamārī rāhnumāī kareṅ. Kyoṅki kyā mālūm ki us bande Mūsā ko kyā huā hai jo hameṅ Misr se nikāl lāyā.’ 41 Usī waqt unhoṅ ne bachhṛe kā but banā kar use qurbāniyāṅ pesh kīṅ aur apne hāthoṅ ke kām kī ḳhushī manāī. 42 Is par Allāh ne apnā muṅh pher liyā aur unheṅ sitāroṅ kī pūjā kī girift meṅ chhoṛ diyā, bilkul usī tarah jis tarah nabiyoṅ ke sahīfe meṅ likhā hai,
‘Ai Isrāīl ke gharāne,
jab tum registān meṅ ghūmte-phirte the
to kyā tum ne un 40 sāloṅ ke daurān
kabhī mujhe zabah aur ġhallā kī qurbāniyāṅ pesh kīṅ?
43 Nahīṅ, us waqt bhī tum Malik Dewatā kā tābūt
aur Rifān Dewatā kā sitārā uṭhāe phirte the,
go tum ne apne hāthoṅ se yih but
pūjā karne ke lie banā lie the.
Is lie maiṅ tumheṅ jilāwatan karke
Bābal ke pār basā dūṅgā.’
44 Registān meṅ hamāre bāpdādā ke pās mulāqāt kā ḳhaimā thā. Use us namūne ke mutābiq banāyā gayā thā jo Allāh ne Mūsā ko dikhāyā thā. 45 Mūsā kī maut ke bād hamāre bāpdādā ne use wirse meṅ pā kar apne sāth le liyā jab unhoṅ ne Yashua kī rāhnumāī meṅ is mulk meṅ dāḳhil ho kar us par qabzā kar liyā. Us waqt Allāh us meṅ ābād qaumoṅ ko un ke āge āge nikāltā gayā. Yoṅ mulāqāt kā ḳhaimā Dāūd Bādshāh ke zamāne tak mulk meṅ rahā. 46 Dāūd Allāh kā manzūr-e-nazar thā. Us ne Yāqūb ke Ḳhudā ko ek sukūnatgāh muhaiyā karne kī ijāzat māṅgī. 47 Lekin Sulemān ko us ke lie makān banāne kā ezāz hāsil huā.
48 Haqīqat meṅ Allāh T'ālā insān ke hāth ke banāe hue makānoṅ meṅ nahīṅ rahtā. Nabī Rab kā farmān yoṅ bayān kartā hai,
49 ‘Āsmān merā taḳht hai
aur zamīn mere pāṅwoṅ kī chaukī,
to phir tum mere lie kis qism kā ghar banāoge?
Wuh jagah kahāṅ hai jahāṅ maiṅ ārām karūṅga?
50 Kyā mere hāth ne yih sab kuchh nahīṅ banāyā?’
51 Ai gardankash logo! Beshak āp kā ḳhatnā huā hai jo Allāh kī qaum kā zāhirī nishān hai. Lekin us kā āp ke diloṅ aur kānoṅ par kuchh bhī asar nahīṅ huā. Āp apne bāpdādā kī tarah hameshā Rūhul-quds kī muḳhālafat karte rahte haiṅ. 52 Kyā kabhī koī nabī thā jise āp ke bāpdādā ne na satāyā? Unhoṅ ne unheṅ bhī qatl kiyā jinhoṅ ne rāstbāz Masīh kī peshgoī kī, us shaḳhs kī jise āp ne dushmanoṅ ke hawāle karke mār ḍālā. 53 Āp hī ko farishtoṅ ke hāth se Allāh kī sharīat hāsil huī magar us par amal nahīṅ kiyā.”
Stifanus ko Sangsār Kiyā Jātā Hai
54 Stifanus kī yih bāteṅ sun kar ijlās ke log taish meṅ ā kar dāṅt pīsne lage. 55 Lekin Stifanus Rūhul-quds se māmūr apnī nazar uṭhā kar āsmān kī taraf takne lagā. Wahāṅ use Allāh kā jalāl nazar āyā, aur Īsā Allāh ke dahne hāth khaṛā thā. 56 Us ne kahā, “Dekho, mujhe āsmān khulā huā dikhāī de rahā hai aur Ibn-e-Ādam Allāh ke dahne hāth khaṛā hai!”
57 Yih sunte hī unhoṅ ne chīḳh chīḳh kar hāthoṅ se apne kānoṅ ko band kar liyā aur mil kar us par jhapaṭ paṛe. 58 Phir wuh use shahr se nikāl kar sangsār karne lage. Aur jin logoṅ ne us ke ḳhilāf gawāhī dī thī unhoṅ ne apnī chādareṅ utār kar ek jawān ādmī ke pāṅwoṅ meṅ rakh dīṅ. Us ādmī kā nām Sāūl thā. 59 Jab wuh Stifanus ko sangsār kar rahe the to us ne duā karke kahā, “Ai Ḳhudāwand Īsā, merī rūh ko qabūl kar.” 60 Phir ghuṭne ṭek kar us ne ūṅchī āwāz se kahā, “Ai Ḳhudāwand, unheṅ is gunāh ke zimmedār na ṭhahrā.” Yih kah kar wuh intaqāl kar gayā.