13
Āḳhirī Tambīh aur Salām
Ab maiṅ tīsrī dafā āp ke pās ā rahā hūṅ. Kalām-e-muqaddas ke mutābiq lāzim hai ki har ilzām kī tasdīq do yā tīn gawāhoṅ se kī jāe. Jab maiṅ dūsrī dafā āp ke pās āyā thā to maiṅ ne pahle se āp ko āgāh kiyā thā. Ab maiṅ āp se dūr yih bāt dubārā kahtā hūṅ ki jab maiṅ wāpas āūṅgā to na wuh bacheṅge jinhoṅ ne pahle gunāh kiyā thā na dīgar log. Jo bhī sabūt āp māṅg rahe haiṅ ki Masīh mere zariye boltā hai wuh maiṅ āp ko dūṅgā. Āp ke sāth sulūk meṅ Masīh kamzor nahīṅ hai. Nahīṅ, wuh āp ke darmiyān hī apnī quwwat kā izhār kartā hai. Kyoṅki agarche use kamzor hālat meṅ maslūb kiyā gayā, lekin ab wuh Allāh kī qudrat se zindā hai. Isī tarah ham bhī us meṅ kamzor haiṅ, lekin Allāh kī qudrat se ham āp kī ḳhidmat karte waqt us ke sāth zindā haiṅ.
Apne āp ko jāṅch kar mālūm kareṅ ki kyā āp kā īmān qāym hai? Ḳhud apne āp ko parkheṅ. Kyā āp nahīṅ jānte ki Īsā Masīh āp meṅ hai? Agar nahīṅ to is kā matlab hotā ki āp kā īmān nāmaqbūl sābit hotā. Lekin mujhe ummīd hai ki āp itnā pahchān leṅge ki jahāṅ tak hamārā tālluq hai ham nāmaqbūl sābit nahīṅ hue haiṅ. Ham Allāh se duā karte haiṅ ki āp se koī ġhaltī na ho jāe. Bāt yih nahīṅ ki logoṅ ke sāmne ham sahīh nikleṅ balki yih ki āp sahīh kām kareṅ, chāhe log hameṅ ḳhud nākām kyoṅ na qarār deṅ. Kyoṅki ham haqīqat ke ḳhilāf khaṛe nahīṅ ho sakte balki sirf us ke haq meṅ. Ham ḳhush haiṅ jab āp tāqatwar haiṅ go ham ḳhud kamzor haiṅ. Aur hamārī duā yih hai ki āp kāmil ho jāeṅ. 10 Yihī wajah hai ki maiṅ āp se dūr rah kar likhtā hūṅ. Phir jab maiṅ āūṅgā to mujhe apnā iḳhtiyār istemāl karke āp par saḳhtī nahīṅ karnī paṛegī. Kyoṅki Ḳhudāwand ne mujhe yih iḳhtiyār āp ko ḍhā dene ke lie nahīṅ balki āp ko tāmīr karne ke lie diyā hai.
11 Bhāiyo, āḳhir meṅ maiṅ āp ko salām kahtā hūṅ. Sudhar jāeṅ, ek dūsre kī hauslā-afzāī kareṅ, ek hī soch rakheṅ aur sulah-salāmatī ke sāth zindagī guzāreṅ. Phir muhabbat aur salāmatī kā Ḳhudā āp ke sāth hogā.
12 Ek dūsre ko muqaddas bosā denā. Tamām muqaddasīn āp ko salām kahte haiṅ.
13 Ḳhudāwand Īsā Masīh kā fazl, Allāh kī muhabbat aur Rūhul-quds kī rifāqat āp sab ke sāth hotī rahe.