24
Talāq aur Dubārā Shādī
1 Ho saktā hai koī ādmī kisī aurat se shādī kare lekin bād meṅ use pasand na kare, kyoṅki use bīwī ke bāre meṅ kisī sharmnāk bāt kā patā chal gayā hai. Wuh talāqnāmā likh kar use aurat ko detā aur phir use ghar se wāpas bhej detā hai.
2 Is ke bād us aurat kī shādī kisī aur mard se ho jātī hai,
3 aur wuh bhī bād meṅ use pasand nahīṅ kartā. Wuh bhī talāqnāmā likh kar use aurat ko detā aur phir use ghar se wāpas bhej detā hai. Ḳhāh dūsrā shauhar use wāpas bhej de yā shauhar mar jāe,
4 aurat ke pahle shauhar ko us se dubārā shādī karne kī ijāzat nahīṅ hai, kyoṅki wuh aurat us ke lie nāpāk hai. Aisī harkat Rab kī nazar meṅ qābil-e-ghin hai. Us mulk ko yoṅ gunāhālūdā na karnā jo Rab terā Ḳhudā tujhe mīrās meṅ de rahā hai.
Mazīd Hidāyāt
5 Agar kisī ādmī ne abhī abhī shādī kī ho to tū use bhartī karke jang karne ke lie nahīṅ bhej saktā. Tū use koī bhī aisī zimmedārī nahīṅ de saktā, jis se wuh ghar se dūr rahne par majbūr ho jāe. Ek sāl tak wuh aisī zimmedāriyoṅ se barī rahe tāki ghar meṅ rah kar apnī bīwī ko ḳhush kar sake.
6 Agar koī tujh se udhār le to zamānat ke taur par us se na us kī chhoṭī chakkī, na us kī baṛī chakkī kā pāṭ lenā, kyoṅki aisā karne se tū us kī jān legā yānī tū wuh chīz legā jis se us kā guzārā hotā hai.
7 Agar kisī ādmī ko pakaṛā jāe jis ne apne hamwatan ko aġhwā karke ġhulām banā liyā yā bech diyā hai to use sazā-e-maut denā hai. Yoṅ tū apne darmiyān se burāī miṭā degā.
8 Agar koī wabāī jildī bīmārī tujhe lag jāe to baṛī ehtiyāt se Lāwī ke qabīle ke imāmoṅ kī tamām hidāyāt par amal karnā. Jo bhī hukm maiṅ ne unheṅ diyā use pūrā karnā.
9 Yād kar ki Rab tere Ḳhudā ne Mariyam ke sāth kyā kiyā jab tum Misr se nikal kar safr kar rahe the.
Ġharīboṅ ke Huqūq
10 Apne hamwatan ko udhār dete waqt us ke ghar meṅ na jānā tāki zamānat kī koī chīz mile
11 balki bāhar ṭhahar kar intazār kar ki wuh ḳhud ghar se zamānat kī chīz nikāl kar tujhe de.
12 Agar wuh itnā zarūratmand ho ki sirf apnī chādar de sake to rāt ke waqt zamānat tere pās na rahe.
13 Use sūraj ḍūbne tak wāpas karnā tāki qarzdār us meṅ lipaṭ kar so sake. Phir wuh tujhe barkat degā aur Rab terā Ḳhudā terā yih qadam rāst qarār degā.
14 Zarūratmand mazdūr se ġhalat fāydā na uṭhānā, chāhe wuh Isrāīlī ho yā pardesī.
15 Use rozānā sūraj ḍūbne se pahle pahle us kī mazdūrī de denā, kyoṅki is se us kā guzārā hotā hai. Kahīṅ wuh Rab ke huzūr terī shikāyat na kare aur tū qusūrwār ṭhahre.
16 Wālidain ko un ke bachchoṅ ke jarāym ke sabab se sazā-e-maut na dī jāe, na bachchoṅ ko un ke wālidain ke jarāym ke sabab se. Agar kisī ko sazā-e-maut denī ho to us gunāh ke sabab se jo us ne ḳhud kiyā hai.
17 Pardesiyoṅ aur yatīmoṅ ke huqūq qāym rakhnā. Udhār dete waqt zamānat ke taur par bewā kī chādar na lenā.
18 Yād rakh ki tū bhī Misr meṅ ġhulām thā aur ki Rab tere Ḳhudā ne fidyā de kar tujhe wahāṅ se chhuṛāyā. Isī wajah se maiṅ tujhe yih hukm detā hūṅ.
19 Agar tū fasal kī kaṭāī ke waqt ek pūlā bhūl kar khet meṅ chhoṛ āe to use lāne ke lie wāpas na jānā. Use pardesiyoṅ, yatīmoṅ aur bewāoṅ ke lie wahīṅ chhoṛ denā tāki Rab terā Ḳhudā tere har kām meṅ barkat de.
20 Jab zaitūn kī fasal pak gaī ho to daraḳhtoṅ ko mār mār kar ek hī bār un meṅ se phal utār. Is ke bād unheṅ na chheṛnā. Bachā huā phal pardesiyoṅ, yatīmoṅ aur bewāoṅ ke lie chhoṛ denā.
21 Isī tarah apne angūr toṛne ke lie ek hī bār bāġh meṅ se guzarnā. Is ke bād use na chheṛnā. Bachā huā phal pardesiyoṅ, yatīmoṅ aur bewāoṅ ke lie chhoṛ denā.
22 Yād rakh ki tū ḳhud Misr meṅ ġhulām thā. Isī wajah se maiṅ tujhe yih hukm detā hūṅ.