34
Mūsā kī Wafāt
1 Yih barkat de kar Mūsā Moāb kā maidānī ilāqā chhoṛ kar Yarīhū ke muqābil Nabū Pahāṛ par chaṛh gayā. Nabū Pisgā ke pahāṛī silsile kī ek choṭī thā. Wahāṅ se Rab ne use wuh pūrā mulk dikhāyā jo wuh Isrāīl ko dene wālā thā yānī Jiliyād ke ilāqe se le kar Dān ke ilāqe tak,
2 Naftālī kā pūrā ilāqā, Ifrāīm aur Manassī kā ilāqā, Yahūdāh kā ilāqā Bahīrā-e-Rūm tak,
3 junūb meṅ Dasht-e-Najab aur Khajūr ke Shahr Yarīhū kī Wādī se le kar Zuġhar tak.
4 Rab ne us se kahā, “Yih wuh mulk hai jis kā wādā maiṅ ne qasam khā kar Ibrāhīm, Is'hāq aur Yāqūb se kiyā. Maiṅ ne un se kahā thā ki un kī aulād ko yih mulk milegā. Tū us meṅ dāḳhil nahīṅ hogā, lekin maiṅ tujhe yahāṅ le āyā hūṅ tāki tū use apnī āṅkhoṅ se dekh sake.”
5 Is ke bād Rab kā ḳhādim Mūsā wahīṅ Moāb ke mulk meṅ faut huā, bilkul usī tarah jis tarah Rab ne kahā thā.
6 Rab ne use Bait-faġhūr kī kisī wādī meṅ dafn kiyā, lekin āj tak kisī ko bhī mālūm nahīṅ ki us kī qabr kahāṅ hai.
7 Apnī wafāt ke waqt Mūsā 120 sāl kā thā. Āḳhir tak na us kī āṅkheṅ dhundlāīṅ, na us kī tāqat kam huī.
8 Isrāīliyoṅ ne Moāb ke maidānī ilāqe meṅ 30 din tak us kā mātam kiyā.
9 Phir Yashua bin Nūn Mūsā kī jagah khaṛā huā. Wuh hikmat kī rūh se māmūr thā, kyoṅki Mūsā ne apne hāth us par rakh die the. Isrāīliyoṅ ne us kī sunī aur wuh kuchh kiyā jo Rab ne unheṅ Mūsā kī mārifat batāyā thā.
10 Is ke bād Isrāīl meṅ Mūsā jaisā nabī kabhī na uṭhā jis se Rab rūbarū bāt kartā thā.
11 Kisī aur nabī ne aise ilāhī nishān aur mojize nahīṅ kie jaise Mūsā ne Firaun Bādshāh, us ke mulāzimoṅ aur pūre mulk ke sāmne kie jab Rab ne use Misr bhejā.
12 Kisī aur nabī ne is qism kā baṛā iḳhtiyār na dikhāyā, na aise azīm aur haibatnāk kām kie jaise Mūsā ne Isrāīliyoṅ ke sāmne kie.