9
Mulk Milne kā Sabab Isrāīl kī Rāstī Nahīṅ Hai
1 Sun ai Isrāīl! Āj tū Dariyā-e-Yardan ko pār karne wālā hai. Dūsrī taraf tū aisī qaumoṅ ko bhagā degā jo tujh se baṛī aur tāqatwar haiṅ aur jin ke shāndār shahroṅ kī fasīleṅ āsmān se bāteṅ kartī haiṅ.
2 Wahāṅ Anāqī baste haiṅ jo tāqatwar aur darāzqad haiṅ. Tū ḳhud jāntā hai ki un ke bāre meṅ kahā jātā hai, “Kaun Anāqiyoṅ kā sāmnā kar saktā hai?”
3 Lekin āj jān le ki Rab terā Ḳhudā tere āge āge chalte hue unheṅ bhasm kar dene wālī āg kī tarah halāk karegā. Wuh tere āge āge un par qābū pāegā, aur tū unheṅ nikāl kar jaldī miṭā degā, jis tarah Rab ne wādā kiyā hai.
4 Jab Rab terā Ḳhudā unheṅ tere sāmne se nikāl degā to tū yih na kahnā, “Maiṅ rāstbāz hūṅ, isī lie Rab mujhe lāyq samajh kar yahāṅ lāyā aur yih mulk mīrās meṅ de diyā hai.” Yih bāt hargiz durust nahīṅ hai. Rab un qaumoṅ ko un kī ġhalat harkatoṅ kī wajah se tere sāmne se nikāl degā.
5 Tū apnī rāstbāzī aur diyānatdārī kī binā par us mulk par qabzā nahīṅ karegā balki Rab unheṅ un kī sharīr harkatoṅ ke bāis tere sāmne se nikāl degā. Dūsre, jo wādā us ne tere bāpdādā Ibrāhīm, Is'hāq aur Yāqūb ke sāth qasam khā kar kiyā thā use pūrā honā hai.
6 Chunāṅche jān le ki Rab terā Ḳhudā tujhe terī rāstī ke bāis yih achchhā mulk nahīṅ de rahā. Haqīqat to yih hai ki tū haṭdharm qaum hai.
Sone kā Bachhṛā
7 Yād rakh aur kabhī na bhūl ki tū ne registān meṅ Rab apne Ḳhudā ko kis tarah nārāz kiyā. Misr se nikalte waqt se le kar yahāṅ pahuṅchne tak tum Rab se sarkash rahe ho.
8 Ḳhāskar Horib yānī Sīnā ke dāman meṅ tum ne Rab ko itnā ġhussā dilāyā ki wuh tumheṅ halāk karne ko thā.
9 Us waqt maiṅ pahāṛ par chaṛh gayā thā tāki patthar kī taḳhtiyāṅ yānī us ahd kī taḳhtiyāṅ mil jāeṅ jo Rab ne tumhāre sāth bāndhā thā. Kuchh khāe-pie baġhair maiṅ 40 din aur rāt wahāṅ rahā.
10-11 Jo kuchh Rab ne āg meṅ se kahā thā jab tum pahāṛ ke dāman meṅ jamā the wuhī kuchh us ne apnī unglī se donoṅ taḳhtiyoṅ par likh kar mujhe diyā.
12 Us ne mujh se kahā, “Fauran yahāṅ se utar jā. Terī qaum jise tū Misr se nikāl lāyā bigaṛ gaī hai. Wuh kitnī jaldī se mere ahkām se haṭ gae haiṅ. Unhoṅ ne apne lie but ḍhāl liyā hai.
13 Maiṅ ne jān liyā hai ki yih qaum kitnī ziddī hai.
14 Ab mujhe chhoṛ de tāki maiṅ unheṅ tabāh karke un kā nām-o-nishān duniyā meṅ se miṭā ḍālūṅ. Un kī jagah maiṅ tujh se ek qaum banā lūṅgā jo un se baṛī aur tāqatwar hogī.”
15 Maiṅ muṛ kar pahāṛ se utrā jo ab tak bhaṛak rahā thā. Mere hāthoṅ meṅ ahd kī donoṅ taḳhtiyāṅ thīṅ.
16 Tumheṅ deḳhte hī mujhe mālūm huā ki tum ne Rab apne Ḳhudā kā gunāh kiyā hai. Tum ne apne lie bachhṛe kā but ḍhāl liyā thā. Tum kitnī jaldī se Rab kī muqarrarā rāh se haṭ gae the.
17 Tab maiṅ ne tumhāre deḳhte deḳhte donoṅ taḳhtiyoṅ ko zamīn par paṭaḳh kar ṭukṛe ṭukṛe kar diyā.
18 Ek aur bār maiṅ Rab ke sāmne muṅh ke bal girā. Maiṅ ne na kuchh khāyā, na kuchh piyā. 40 din aur rāt maiṅ tumhāre tamām gunāhoṅ ke bāis isī hālat meṅ rahā. Kyoṅki jo kuchh tum ne kiyā thā wuh Rab ko nihāyat burā lagā, is lie wuh ġhazabnāk ho gayā thā.
19 Wuh tum se itnā nārāz thā ki maiṅ bahut ḍar gayā. Yoṅ lag rahā thā ki wuh tumheṅ halāk kar degā. Lekin is bār bhī us ne merī sun lī.
20 Maiṅ ne Hārūn ke lie bhī duā kī, kyoṅki Rab us se bhī nihāyat nārāz thā aur use halāk kar denā chāhtā thā.
21 Jo bachhṛā tum ne gunāh karke banāyā thā use maiṅ ne jalā diyā, phir jo kuchh bāqī rah gayā use kuchal diyā aur pīs pīs kar pauḍar banā diyā. Yih pauḍar maiṅ ne us chashme meṅ phaiṅk diyā jo pahāṛ par se bah rahā thā.
22 Tum ne Rab ko Taberā, Massā aur Qabrot-hattāwā meṅ bhī ġhussā dilāyā.
23 Qādis-barnīa meṅ bhī aisā hī huā. Wahāṅ se Rab ne tumheṅ bhej kar kahā thā, “Jāo, us mulk par qabzā karo jo maiṅ ne tumheṅ de diyā hai.” Lekin tum ne sarkash ho kar Rab apne Ḳhudā ke hukm kī ḳhilāfwarzī kī. Tum ne us par etamād na kiyā, na us kī sunī.
24 Jab se maiṅ tumheṅ jāntā hūṅ tumhārā Rab ke sāth rawaiyā bāġhiyānā hī rahā hai.
25 Maiṅ 40 din aur rāt Rab ke sāmne zamīn par muṅh ke bal rahā, kyoṅki Rab ne kahā thā ki wuh tumheṅ halāk kar degā.
26 Maiṅ ne us se minnat karke kahā, “Ai Rab Qādir-e-mutlaq, apnī qaum ko tabāh na kar. Wuh to terī hī milkiyat hai jise tū ne fidyā de kar apnī azīm qudrat se bachāyā aur baṛe iḳhtiyār ke sāth Misr se nikāl lāyā.
27 Apne ḳhādimoṅ Ibrāhīm, Is'hāq aur Yāqūb ko yād kar, aur is qaum kī zid, sharīr harkatoṅ aur gunāh par tawajjuh na de.
28 Warnā Misrī kaheṅge, ‘Rab unheṅ us mulk meṅ lāne ke qābil nahīṅ thā jis kā wādā us ne kiyā thā, balki wuh un se nafrat kartā thā. Hāṅ, wuh unheṅ halāk karne ke lie registān meṅ le āyā.’
29 Wuh to terī qaum haiṅ, terī milkiyat jise tū apnī azīm qudrat aur iḳhtiyār se Misr se nikāl lāyā.”