11
Mehnat kā Fāydā
Apnī roṭī pānī par phaiṅk kar jāne de to muta'addid dinoṅ ke bād wuh tujhe phir mil jāegī. Apnī milkiyat sāt balki āṭh muḳhtalif kāmoṅ meṅ lagā de, kyoṅki tujhe kyā mālūm ki mulk kis kis musībat se dochār hogā.
Agar bādal pānī se bhare hoṅ to zamīn par bārish zarūr hogī. Daraḳht junūb yā shimāl kī taraf gir jāe to usī taraf paṛā rahegā.
Jo har waqt hawā kā ruḳh deḳhtā rahe wuh kabhī bīj nahīṅ boegā. Jo bādaloṅ ko taktā rahe wuh kabhī fasal kī kaṭāī nahīṅ karegā.
Jis tarah na tujhe hawā ke chakkar mālūm haiṅ, na yih ki māṅ ke peṭ meṅ bachchā kis tarah tashkīl pātā hai usī tarah tū Allāh kā kām nahīṅ samajh saktā, jo sab kuchh amal meṅ lātā hai.
Subah ke waqt apnā bīj bo aur shām ko bhī kām meṅ lagā rah, kyoṅki kyā mālūm ki kis kām meṅ kāmyābī hogī, is meṅ, us meṅ yā donoṅ meṅ.
Apnī Jawānī se Lutfandoz Ho
Raushnī kitnī bhalī hai, aur sūraj āṅkhoṅ ke lie kitnā ḳhushgawār hai. Jitne bhī sāl insān zindā rahe utne sāl wuh ḳhushbāsh rahe. Sāth sāth use yād rahe ki tārīk din bhī āne wāle haiṅ, aur ki un kī baṛī tādād hogī. Jo kuchh āne wālā hai wuh bātil hī hai.
Ai naujawān, jab tak tū jawān hai ḳhush rah aur jawānī ke maze letā rah. Jo kuchh terā dil chāhe aur terī āṅkhoṅ ko pasand āe wuh kar, lekin yād rahe ki jo kuchh bhī tū kare us kā jawāb Allāh tujh se talab karegā. 10 Chunāṅche apne dil se ranjīdagī aur apne jism se dukh-dard dūr rakh, kyoṅki jawānī aur kāle bāl dam-bhar ke hī haiṅ.