24
Yarūshalam Āg par Zangālūdā Deg Hai
Yahūyākīn Bādshāh kī jilāwatanī ke naweṅ sāl meṅ Rab kā kalām mujh par nāzil huā. Dasweṅ mahīne kā daswāṅ din * thā. Paiġhām yih thā, “Ai ādamzād, isī din kī tārīḳh likh le, kyoṅki isī din Shāh-e-Bābal Yarūshalam kā muhāsarā karne lagā hai. Phir is sarkash qaum Isrāīl ko tamsīl pesh karke batā,
‘Rab Qādir-e-mutlaq farmātā hai ki āg par deg rakh kar us meṅ pānī ḍāl de. Phir use behtarīn gosht se bhar de. Rān aur shāne ke ṭukṛe, nīz behtarīn haḍḍiyāṅ us meṅ ḍāl de. Sirf behtarīn bheṛoṅ kā gosht istemāl kar. Dhyān de ki deg ke nīche āg zor se bhaṛaktī rahe. Gosht ko haḍḍiyoṅ samet ḳhūb pakne de.
Rab Qādir-e-mutlaq farmātā hai ki Yarūshalam par afsos jis meṅ itnā ḳhūn bahāyā gayā hai! Yih shahr deg hai jis meṅ zang lagā hai, aisā zang jo utartā nahīṅ. Ab gosht ke ṭukṛoṅ ko yake bād dīgare deg se nikāl de. Unheṅ kisī tartīb se mat nikālnā balki qurā ḍāle baġhair nikāl de.
Jo ḳhūn Yarūshalam ne bahāyā wuh ab tak us meṅ maujūd hai. Kyoṅki wuh miṭṭī par na girā jo use jazb kar saktī balki nangī chaṭān par. Maiṅ ne ḳhud yih ḳhūn nangī chaṭān par bahne diyā tāki wuh chhup na jāe balki merā ġhazab Yarūshalam par nāzil ho jāe aur maiṅ badlā lūṅ.
Rab Qādir-e-mutlaq farmātā hai ki Yarūshalam par afsos jis ne itnā ḳhūn bahāyā hai! Maiṅ bhī tere nīche lakaṛī kā baṛā ḍher lagāūṅgā. 10 Ā, lakaṛī kā baṛā ḍher karke āg lagā de. Gosht ko ḳhūb pakā, phir shorbā nikāl kar haḍḍiyoṅ ko bhasm hone de. 11 Is ke bād ḳhālī deg ko jalte koeloṅ par rakh de tāki pītal garm ho kar tamtamāne lage aur deg meṅ mail pighal jāe, us kā zang utar jāe.
12 Lekin befāydā! Itnā zang lagā hai ki wuh āg meṅ bhī nahīṅ utartā.
13 Ai Yarūshalam, apnī behayā harkatoṅ se tū ne apne āp ko nāpāk kar diyā hai. Agarche maiṅ ḳhud tujhe pāk-sāf karnā chāhtā thā to bhī tū pāk-sāf na huī. Ab tū us waqt tak pāk nahīṅ hogī jab tak maiṅ apnā pūrā ġhussā tujh par utār na lūṅ. 14 Mere Rab kā yih farmān pūrā hone wālā hai, aur maiṅ dhyān se use amal meṅ lāūṅgā. Na maiṅ tujh par tars khāūṅgā, na rahm karūṅga. Maiṅ tere chāl-chalan aur āmāl ke mutābiq terī adālat karūṅga.’ Yih Rab Qādir-e-mutlaq kā farmān hai.”
Bīwī kī Wafāt par Hizqiyel Mātam na Kare
15 Rab mujh se hamkalām huā, 16 “Ai ādamzād, maiṅ tujh se achānak terī āṅkh kā tārā chhīn lūṅgā. Lekin lāzim hai ki tū na āh-o-zārī kare, na āṅsū bahāe. 17 Beshak chupke se karāhtā rah, lekin apnī Azīzā ke lie alāniyā mātam na kar. Na sar se pagaṛī utār aur na pāṅwoṅ se jūte. Na dāṛhī ko ḍhāṅpnā, na janāze kā khānā khā.”
18 Subah ko maiṅ ne qaum ko yih paiġhām sunāyā, aur shām ko merī bīwī intaqāl kar gaī. Aglī subah maiṅ ne wuh kuchh kiyā jo Rab ne mujhe karne ko kahā thā. 19 Yih dekh kar logoṅ ne mujh se pūchhā, “Āp ke rawaiye kā hamāre sāth kyā tālluq hai? Zarā hameṅ batāeṅ.”
20 Maiṅ ne jawāb diyā, “Rab ne mujhe 21 āp Isrāīliyoṅ ko yih paiġhām sunāne ko kahā, ‘Rab Qādir-e-mutlaq farmātā hai ki merā ghar tumhāre nazdīk panāhgāh hai jis par tum faḳhr karte ho. Lekin yih maqdis jo tumhārī āṅkh kā tārā aur jān kā pyārā hai tabāh hone wālā hai. Maiṅ us kī behurmatī karne ko hūṅ. Aur tumhāre jitne beṭe-beṭiyāṅ Yarūshalam meṅ pīchhe rah gae the wuh sab talwār kī zad meṅ ā kar mar jāeṅge. 22 Tab tum wuh kuchh karoge jo Hizqiyel is waqt kar rahā hai. Na tum apnī dāṛhiyoṅ ko ḍhāṅpoge, na janāze kā khānā khāoge. 23 Na tum sar se pagaṛī, na pāṅwoṅ se jūte utāroge. Tumhāre hāṅ na mātam kā shor, na rone kī āwāz sunāī degī balki tum apne gunāhoṅ ke sabab se zāe hote jāoge. Tum chupke se ek dūsre ke sāth baiṭh kar karāhte rahoge. 24 Hizqiyel tumhāre lie nishān hai. Jo kuchh wuh is waqt kar rahā hai wuh tum bhī karoge. Tab tum jān loge ki maiṅ Rab Qādir-e-mutlaq hūṅ.’ ”
25 Rab mazīd mujh se hamkalām huā, “Ai ādamzād, yih ghar Isrāīliyoṅ ke nazdīk panāhgāh hai jis ke bāre meṅ wuh ḳhās ḳhushī mahsūs karte haiṅ, jis par wuh faḳhr karte haiṅ. Lekin maiṅ yih maqdis jo un kī āṅkh kā tārā aur jān kā pyārā hai un se chhīn lūṅgā aur sāth sāth un ke beṭe-beṭiyoṅ ko bhī. Jis din yih pesh āegā 26 us din ek ādmī bach kar tujhe is kī ḳhabar pahuṅchāegā. 27 Usī waqt tū dubārā bol sakegā. Tū gūṅgā nahīṅ rahegā balki us se bāteṅ karne lagegā. Yoṅ tū Isrāīliyoṅ ke lie nishān hogā. Tab wuh jān leṅge ki maiṅ hī Rab hūṅ.”
* 24:1 15 Janwarī.