28
Sūr ke Hukmrān ke lie Paiġhām
Rab mujh se hamkalām huā, “Ai ādamzād, Sūr ke hukmrān ko batā,
‘Rab Qādir-e-mutlaq farmātā hai ki tū maġhrūr ho gayā hai. Tū kahtā hai ki maiṅ Ḳhudā hūṅ, maiṅ samundar ke darmiyān hī apne taḳht-e-ilāhī par baiṭhā hūṅ. Lekin tū Ḳhudā nahīṅ balki insān hai, go tū apne āp ko Ḳhudā-sā samajhtā hai. Beshak tū apne āp ko Dānyāl se kahīṅ zyādā dānishmand samajh kar kahtā hai ki koī bhī bhed mujh se poshīdā nahīṅ rahtā. Aur yih haqīqat bhī hai ki tū ne apnī hikmat aur samajh se bahut daulat hāsil kī hai, sone aur chāṅdī se apne ḳhazānoṅ ko bhar diyā hai. Baṛī dānishmandī se tū ne tijārat ke zariye apnī daulat baṛhāī. Lekin jitnī terī daulat baṛhtī gaī utnā hī terā ġhurūr bhī baṛhtā gayā.
Chunāṅche Rab Qādir-e-mutlaq farmātā hai ki chūṅki tū apne āp ko Ḳhudā-sā samajhtā hai is lie maiṅ sab se zālim qaumoṅ ko tere ḳhilāf bhejūṅgā jo apnī talwāroṅ ko terī ḳhūbsūratī aur hikmat ke ḳhilāf khīṅch kar terī shān-o-shaukat kī behurmatī kareṅgī. Wuh tujhe Pātāl meṅ utāreṅgī. Samundar ke bīch meṅ hī tujhe mār ḍālā jāegā. Kyā tū us waqt apne qātiloṅ se kahegā ki maiṅ Ḳhudā hūṅ? Hargiz nahīṅ! Apne qātiloṅ ke hāth meṅ hote waqt tū Ḳhudā nahīṅ balki insān sābit hogā. 10 Tū ajnabiyoṅ ke hāthoṅ nāmaḳhtūn kī-sī wafāt pāegā. Yih merā, Rab Qādir-e-mutlaq kā farmān hai.’ ”
11 Rab mazīd mujh se hamkalām huā, 12 “Ai ādamzād, Sūr ke bādshāh par mātamī gīt gā kar us se kah,
‘Rab Qādir-e-mutlaq farmātā hai ki tujh par kāmiliyat kā ṭhappā thā. Tū hikmat se bharpūr thā, terā husn kamāl kā thā. 13 Allāh ke Bāġh-e-Adan meṅ rah kar tū har qism ke jawāhar se sajā huā thā. Lāl, * zabarjad, hajrul-qamar, pukhrāj, § aqīq-e-ahmar * aur yashab, sang-e-lājaward, fīrozā aur zumurrad sab tujhe ārāstā karte the. Sab kuchh sone ke kām se mazīd ḳhūbsūrat banāyā gayā thā. Jis din tujhe ḳhalaq kiyā gayā usī din yih chīzeṅ tere lie taiyār huīṅ.
14 Maiṅ ne tujhe Allāh ke muqaddas pahāṛ par khaṛā kiyā thā. Wahāṅ tū karūbī farishte kī haisiyat se apne par phailāe pahrādārī kartā thā, wahāṅ tū jalte hue pattharoṅ ke darmiyān hī ghūmtā-phirtā rahā.
15 Jis din tujhe ḳhalaq kiyā gayā terā chāl-chalan be'ilzām thā, lekin ab tujh meṅ nāinsāfī pāī gaī hai. 16 Tijārat meṅ kāmyābī kī wajah se tū zulm-o-tashaddud se bhar gayā aur gunāh karne lagā.
Yih dekh kar maiṅ ne tujhe Allāh ke pahāṛ par se utār diyā. Maiṅ ne tujhe jo pahrādārī karne wālā farishtā thā tabāh karke jalte hue pattharoṅ ke darmiyān se nikāl diyā. 17 Terī ḳhūbsūratī tere lie ġhurūr kā bāis ban gaī, hāṅ terī shān-o-shaukat ne tujhe itnā phulā diyā ki terī hikmat jātī rahī. Isī lie maiṅ ne tujhe zamīn par paṭaḳh kar dīgar bādshāhoṅ ke sāmne tamāshā banā diyā. 18 Apne beshumār gunāhoṅ aur be'insāf tijārat se tū ne apne muqaddas maqāmoṅ kī behurmatī kī hai. Jawāb meṅ maiṅ ne hone diyā ki āg tere darmiyān se nikal kar tujhe bhasm kare. Maiṅ ne tujhe tamāshā deḳhne wāle tamām logoṅ ke sāmne hī rākh kar diyā. 19 Jitnī bhī qaumeṅ tujhe jāntī thīṅ un ke roṅgṭe khaṛe ho gae. Terā haulnāk anjām achānak hī ā gayā hai. Ab se tū kabhī nahīṅ uṭhegā.’ ”
Saidā ko Sazā Dī Jāegī
20 Rab mujh se hamkalām huā, 21 “Ai ādamzād, Saidā kī taraf ruḳh karke us ke ḳhilāf nabuwwat kar! 22 Rab Qādir-e-mutlaq farmātā hai ki ai Saidā, maiṅ tujh se nipaṭ lūṅgā. Tere darmiyān hī maiṅ apnā jalāl dikhāūṅgā. Tab wuh jān leṅge ki maiṅ hī Rab hūṅ, kyoṅki maiṅ shahr kī adālat karke apnā muqaddas kirdār un par zāhir karūṅga. 23 Maiṅ us meṅ mohlak wabā phailā kar us kī galiyoṅ meṅ ḳhūn bahā dūṅgā. Use chāroṅ taraf se talwār gher legī to us meṅ phaṅse hue log halāk ho jāeṅge. Tab wuh jān leṅge ki maiṅ hī Rab hūṅ.
Isrāīl kī Bahālī
24 Is waqt Isrāīl ke paṛosī use haqīr jānte haiṅ. Ab tak wuh use chubhne wāle ḳhār aur zaḳhmī karne wāle kāṅṭe haiṅ. Lekin āindā aisā nahīṅ hogā. Tab wuh jān leṅge ki maiṅ Rab Qādir-e-mutlaq hūṅ. 25 Kyoṅki Rab Qādir-e-mutlaq farmātā hai ki dīgar aqwām ke deḳhte deḳhte maiṅ zāhir karūṅga ki maiṅ muqaddas hūṅ. Kyoṅki maiṅ Isrāīliyoṅ ko un aqwām meṅ se nikāl kar jamā karūṅga jahāṅ maiṅ ne unheṅ muntashir kar diyā thā. Tab wuh apne watan meṅ jā baseṅge, us mulk meṅ jo maiṅ ne apne ḳhādim Yāqūb ko diyā thā. 26 Wuh hifāzat se us meṅ rah kar ghar tāmīr kareṅge aur angūr ke bāġh lagāeṅge. Lekin jo paṛosī unheṅ haqīr jānte the un kī maiṅ adālat karūṅga. Tab wuh jān leṅge ki maiṅ Rab un kā Ḳhudā hūṅ.”
* 28:13 Yā ek qism kā surḳh aqīq. Yād rahe ki chūṅki qadīm zamāne ke aksar jawāharāt ke nām matrūk haiṅ yā un kā matlab badal gayā hai, is lie un kā muḳhtalif tarjumā ho saktā hai. 28:13 peridot 28:13 mūnstone § 28:13 topas * 28:13 carnelian 28:13 jasper 28:13 lapis lazuli