40
Rab ke Nae Ghar kī Royā
Hamārī jilāwatanī ke 25weṅ sāl meṅ Rab kā hāth mujh par ā ṭhahrā aur wuh mujhe Yarūshalam le gayā. Mahīne kā daswāṅ din * thā. Us waqt Yarūshalam ko dushman ke qabze meṅ āe 14 sāl ho gae the. Ilāhī royāoṅ meṅ Allāh ne mujhe Mulk-e-Isrāīl ke ek nihāyat buland pahāṛ par pahuṅchāyā. Pahāṛ ke junūb meṅ mujhe ek shahr-sā nazar āyā. Allāh mujhe shahr ke qarīb le gayā to maiṅ ne shahr ke darwāze meṅ khaṛe ek ādmī ko dekhā jo pītal kā banā huā lag rahā thā. Us ke hāth meṅ katān kī rassī aur fītā thā. Us ne mujh se kahā, “Ai ādamzād, dhyān se dekh, ġhaur se sun! Jo kuchh bhī maiṅ tujhe dikhāūṅgā, us par tawajjuh de. Kyoṅki tujhe isī lie yahāṅ lāyā gayā hai ki maiṅ tujhe yih dikhāūṅ. Jo kuchh bhī tū dekhe use Isrāīlī qaum ko sunā de!”
Rab ke Ghar ke Bairūnī Sahan kā Mashriqī Darwāzā
Maiṅ ne dekhā ki Rab ke ghar kā sahan chārdīwārī se ghirā huā hai. Jo fītā mere rāhnumā ke hāth meṅ thā us kī lambāī sāṛhe 10 fuṭ thī. Is ke zariye us ne chārdīwārī ko nāp liyā. Dīwār kī moṭāī aur ūṅchāī donoṅ sāṛhe das das fuṭ thī.
Phir merā rāhnumā mashriqī darwāze ke pās pahuṅchāne wālī sīṛhī par chaṛh kar darwāze kī dahlīz par ruk gayā. Jab us ne us kī paimāish kī to us kī gahrāī sāṛhe 10 fuṭ niklī.
Jab wuh darwāze meṅ khaṛā huā to dāīṅ aur bāīṅ taraf pahredāroṅ ke tīn tīn kamre nazar āe. Har kamre kī lambāī aur chauṛāī sāṛhe das das fuṭ thī. Kamroṅ ke darmiyān kī dīwār paune nau fuṭ moṭī thī. In kamroṅ ke bād ek aur dahlīz thī jo sāṛhe 10 fuṭ gahrī thī. Us par se guzar kar ham darwāze se mulhiq ek barāmde meṅ āe jis kā ruḳh Rab ke ghar kī taraf thā. Mere rāhnumā ne barāmde kī paimāish kī to patā chalā ki us kī lambāī 14 fuṭ hai. Darwāze ke satūn-numā bāzū sāṛhe tīn tīn fuṭ moṭe the. Barāmde kā ruḳh Rab ke ghar kī taraf thā. 10 Pahredāroṅ ke mazkūrā kamre sab ek jaise baṛe the, aur un ke darmiyān wālī dīwāreṅ sab ek jaisī moṭī thīṅ.
11 Is ke bād us ne darwāze kī guzargāh kī chauṛāī nāpī. Yih mil milā kar paune 23 fuṭ thī, albattā jab kiwāṛ khule the to un ke darmiyān kā fāsilā sāṛhe 17 fuṭ thā. 12 Pahredāroṅ ke har kamre ke sāmne ek chhoṭī-sī dīwār thī jis kī ūṅchāī 21 inch thī jabki har kamre kī lambāī aur ūṅchāī sāṛhe das das fuṭ thī. 13 Phir mere rāhnumā ne wuh fāsilā nāpā jo in kamroṅ meṅ se ek kī pichhlī dīwār se le kar us ke muqābil ke kamre kī pichhlī dīwār tak thā. Mālūm huā ki paune 44 fuṭ hai.
14 Sahan meṅ darwāze se mulhiq wuh barāmdā thā jis kā ruḳh Rab ke ghar kī taraf thā. Us kī chauṛāī 33 fuṭ thī. 15 Jo bāhar se darwāze meṅ dāḳhil hotā thā wuh sāṛhe 87 fuṭ ke bād hī sahan meṅ pahuṅchtā thā.
16 Pahredāroṅ ke tamām kamroṅ meṅ chhoṭī khiṛkiyāṅ thīṅ. Kuchh bairūnī dīwār meṅ thīṅ, kuchh kamroṅ ke darmiyān kī dīwāroṅ meṅ. Darwāze ke satūn-numā bāzuoṅ meṅ khajūr ke daraḳht munaqqash the.
Rab ke Ghar kā Bairūnī Sahan
17 Phir merā rāhnumā darwāze meṅ se guzar kar mujhe Rab ke ghar ke bairūnī sahan meṅ lāyā. Chārdīwārī ke sāth sāth 30 kamre banāe gae the jin ke sāmne patthar kā farsh thā. 18 Yih farsh chārdīwārī ke sāth sāth thā. Jahāṅ darwāzoṅ kī guzargāheṅ thīṅ wahāṅ farsh un kī dīwāroṅ se lagtā thā. Jitnā lambā in guzargāhoṅ kā wuh hissā thā jo sahan meṅ thā utnā hī chauṛā farsh bhī thā. Yih farsh andarūnī sahan kī nisbat nīchā thā.
19 Bairūnī aur andarūnī sahnoṅ ke darmiyān bhī darwāzā thā. Yih bairūnī darwāze ke muqābil thā. Jab mere rāhnumā ne donoṅ darwāzoṅ kā darmiyānī fāsilā nāpā to mālūm huā ki 175 fuṭ hai.
Bairūnī Sahan kā Shimālī Darwāzā
20 Is ke bād us ne chārdīwārī ke shimālī darwāze kī paimāish kī.
21 Is darwāze meṅ bhī dāīṅ aur bāīṅ taraf tīn tīn kamre the jo mashriqī darwāze ke kamroṅ jitne baṛe the. Us meṅ se guzar kar ham wahāṅ bhī darwāze se mulhiq barāmde meṅ āe jis kā ruḳh Rab ke ghar kī taraf thā. Us kī aur us ke satūn-numā bāzuoṅ kī lambāī aur chauṛāī utnī hī thī jitnī mashriqī darwāze ke barāmde aur us ke satūn-numā bāzuoṅ kī thī. Guzargāh kī pūrī lambāī sāṛhe 87 fuṭ thī. Jab mere rāhnumā ne wuh fāsilā nāpā jo pahredāroṅ ke kamroṅ meṅ se ek kī pichhlī dīwār se le kar us ke muqābil ke kamre kī pichhlī dīwār tak thā to mālūm huā ki paune 44 fuṭ hai. 22 Darwāze se mulhiq barāmdā, khiṛkiyāṅ aur kandā kie gae khajūr ke daraḳht usī tarah banāe gae the jis tarah mashriqī darwāze meṅ. Bāhar ek sīṛhī darwāze tak pahuṅchātī thī jis ke sāt qadamche the. Mashriqī darwāze kī tarah shimālī darwāze ke andarūnī sire ke sāth ek barāmdā mulhiq thā jis se ho kar insān sahan meṅ pahuṅchtā thā.
23 Mashriqī darwāze kī tarah is darwāze ke muqābil bhī andarūnī sahan meṅ pahuṅchāne wālā darwāzā thā. Donoṅ darwāzoṅ kā darmiyānī fāsilā 175 fuṭ thā.
Bairūnī Sahan kā Junūbī Darwāzā
24 Is ke bād merā rāhnumā mujhe bāhar le gayā. Chalte chalte ham junūbī chārdīwārī ke pās pahuṅche. Wahāṅ bhī darwāzā nazar āyā. Us meṅ se guzar kar ham wahāṅ bhī darwāze se mulhiq barāmde meṅ āe jis kā ruḳh Rab ke ghar kī taraf thā. Yih barāmdā darwāze ke satūn-numā bāzuoṅ samet dīgar darwāzoṅ ke barāmde jitnā baṛā thā. 25 Darwāze aur barāmde kī khiṛkiyāṅ bhī dīgar khiṛkiyoṅ kī mānind thīṅ. Guzargāh kī pūrī lambāī sāṛhe 87 fuṭ thī. Jab us ne wuh fāsilā nāpā jo pahredāroṅ ke kamroṅ meṅ se ek kī pichhlī dīwār se le kar us ke muqābil ke kamre kī pichhlī dīwār tak thā to mālūm huā ki paune 44 fuṭ hai. 26 Bāhar ek sīṛhī darwāze tak pahuṅchātī thī jis ke sāt qadamche the. Dīgar darwāzoṅ kī tarah junūbī darwāze ke andarūnī sire ke sāth barāmdā mulhiq thā jis se ho kar insān sahan meṅ pahuṅchtā thā. Barāmde ke donoṅ satūn-numā bāzuoṅ par khajūr ke daraḳht kandā kie gae the.
27 Is darwāze ke muqābil bhī andarūnī sahan meṅ pahuṅchāne wālā darwāzā thā. Donoṅ darwāzoṅ kā darmiyānī fāsilā 175 fuṭ thā.
Andarūnī Sahan kā Junūbī Darwāzā
28 Phir merā rāhnumā junūbī darwāze meṅ se guzar kar mujhe andarūnī sahan meṅ lāyā. Jab us ne wahāṅ kā darwāzā nāpā to mālūm huā ki wuh bairūnī darwāzoṅ kī mānind hai. 29-30 Pahredāroṅ ke kamre, barāmdā aur us ke satūn-numā bāzū sab paimāish ke hisāb se dīgar darwāzoṅ kī mānind the. Is darwāze aur is ke sāth mulhiq barāmde meṅ bhī khiṛkiyāṅ thīṅ. Guzargāh kī pūrī lambāī sāṛhe 87 fuṭ thī. Jab mere rāhnumā ne wuh fāsilā nāpā jo pahredāroṅ ke kamre meṅ se ek kī pichhlī dīwār se le kar us ke muqābil ke kamre kī pichhlī dīwār tak thā to mālūm huā ki paune 44 fuṭ hai. 31 Lekin us ke barāmde kā ruḳh bairūnī sahan kī taraf thā. Us meṅ pahuṅchne ke lie ek sīṛhī banāī gaī thī jis ke āṭh qadamche the. Darwāze ke satūn-numā bāzuoṅ par khajūr ke daraḳht kandā kie gae the.
Andarūnī Sahan kā Mashriqī Darwāzā
32 Is ke bād merā rāhnumā mujhe mashriqī darwāze se ho kar andarūnī sahan meṅ lāyā. Jab us ne yih darwāzā nāpā to mālūm huā ki yih bhī dīgar darwāzoṅ jitnā baṛā hai. 33 Pahredāroṅ ke kamre, darwāze ke satūn-numā bāzū aur barāmdā paimāish ke hisāb se dīgar darwāzoṅ kī mānind the. Yahāṅ bhī darwāze aur barāmde meṅ khiṛkiyāṅ lagī thīṅ. Guzargāh kī lambāī sāṛhe 87 fuṭ aur chauṛāī paune 44 fuṭ thī. 34 Is darwāze ke barāmde kā ruḳh bhī bairūnī sahan kī taraf thā. Darwāze ke satūn-numā bāzuoṅ par khajūr ke daraḳht kandā kie gae the. Barāmde meṅ pahuṅchne ke lie ek sīṛhī banāī gaī thī jis ke āṭh qadamche the.
Andarūnī Sahan kā Shimālī Darwāzā
35 Phir merā rāhnumā mujhe shimālī darwāze ke pās lāyā. Us kī paimāish karne par mālūm huā ki yih bhī dīgar darwāzoṅ jitnā baṛā hai. 36 Pahredāroṅ ke kamre, satūn-numā bāzū, barāmdā aur dīwāroṅ meṅ khiṛkiyāṅ bhī dūsre darwāzoṅ kī mānind thīṅ. Guzargāh kī lambāī sāṛhe 87 fuṭ aur chauṛāī paune 44 fuṭ thī. 37 Us ke barāmde kā ruḳh bhī bairūnī sahan kī taraf thā. Darwāze ke satūn-numā bāzuoṅ par khajūr ke daraḳht kandā kie gae the. Us meṅ pahuṅchne ke lie ek sīṛhī banāī gaī thī jis ke āṭh qadamche the.
Andarūnī Shimālī Darwāze ke pās Zabah kā Band-o-Bast
38 Andarūnī shimālī darwāze ke barāmde meṅ darwāzā thā jis meṅ se guzar kar insān us kamre meṅ dāḳhil hotā thā jahāṅ un zabah kie hue jānwaroṅ ko dhoyā jātā thā jinheṅ bhasm karnā hotā thā. 39 Barāmde meṅ chār mezeṅ thīṅ, kamre ke donoṅ taraf do do mezeṅ. In mezoṅ par un jānwaroṅ ko zabah kiyā jātā thā jo bhasm hone wālī qurbāniyoṅ, gunāh kī qurbāniyoṅ aur qusūr kī qurbāniyoṅ ke lie maḳhsūs the. 40 Is barāmde se bāhar mazīd chār aisī mezeṅ thīṅ, do ek taraf aur do dūsrī taraf. 41 Mil milā kar āṭh mezeṅ thīṅ jin par qurbāniyoṅ ke jānwar zabah kie jāte the. Chār barāmde ke andar aur chār us se bāhar ke sahan meṅ thīṅ.
42 Barāmde kī chār mezeṅ tarāshe hue patthar se banāī gaī thīṅ. Har ek kī lambāī aur chauṛāī sāṛhe 31 inch aur ūṅchāī 21 inch thī. Un par wuh tamām ālāt paṛe the jo jānwaroṅ ko bhasm hone wālī qurbānī aur bāqī qurbāniyoṅ ke lie taiyār karne ke lie darkār the. 43 Jānwaroṅ kā gosht in mezoṅ par rakhā jātā thā. Irdgird kī dīwāroṅ meṅ tīn tīn inch lambī hukeṅ lagī thīṅ.
44 Phir ham andarūnī sahan meṅ dāḳhil hue. Wahāṅ shimālī darwāze ke sāth ek kamrā mulhiq thā jo andarūnī sahan kī taraf khulā thā aur jis kā ruḳh junūb kī taraf thā. Junūbī darwāze ke sāth bhī aisā kamrā thā. Us kā ruḳh shimāl kī taraf thā. 45 Mere rāhnumā ne mujh se kahā, “Jis kamre kā ruḳh junūb kī taraf hai wuh un imāmoṅ ke lie hai jo Rab ke ghar kī dekh-bhāl karte haiṅ, 46 jabki jis kamre kā ruḳh shimāl kī taraf hai wuh un imāmoṅ ke lie hai jo qurbāngāh kī dekh-bhāl karte haiṅ. Tamām imām Sadoq kī aulād haiṅ. Lāwī ke qabīle meṅ se sirf unhīṅ ko Rab ke huzūr ā kar us kī ḳhidmat karne kī ijāzat hai.”
Andarūnī Sahan aur Rab kā Ghar
47 Mere rāhnumā ne andarūnī sahan kī paimāish kī. Us kī lambāī aur chauṛāī paune do do sau fuṭ thī. Qurbāngāh is sahan meṅ Rab ke ghar ke sāmne hī thī. 48 Phir us ne mujhe Rab ke ghar ke barāmde meṅ le jā kar darwāze ke satūn-numā bāzuoṅ kī paimāish kī. Mālūm huā ki yih paune 9 fuṭ moṭe haiṅ. Darwāze kī chauṛāī sāṛhe 24 fuṭ thī jabki dāeṅ bāeṅ kī dīwāroṅ kī lambāī sawā pāṅch pāṅch fuṭ thī. 49 Chunāṅche barāmde kī pūrī chauṛāī 35 aur lambāī 21 fuṭ thī. Us meṅ dāḳhil hone ke lie das qadamchoṅ wālī sīṛhī banāī gaī thī. Darwāze ke donoṅ satūn-numā bāzuoṅ ke sāth sāth ek ek satūn khaṛā kiyā gayā thā.
* 40:1 28 Aprail. 40:14 Ibrānī matan meṅ is āyat kā matlab ġhairwāzih hai.