42
Imāmoṅ ke lie Maḳhsūs Kamre
Is ke bād ham dubārā bairūnī sahan meṅ āe. Merā rāhnumā mujhe Rab ke ghar ke shimāl meṅ wāqe ek imārat ke pās le gayā jo Rab ke ghar ke pīchhe yānī maġhrib meṅ wāqe imārat ke muqābil thī. Yih imārat 175 fuṭ lambī aur sāṛhe 87 fuṭ chauṛī thī.
Us kā ruḳh andarūnī sahan kī us khulī jagah kī taraf thā jo 35 fuṭ chauṛī thī. Dūsrā ruḳh bairūnī sahan ke pakke farsh kī taraf thā.
Makān kī tīn manzileṅ thīṅ. Dūsrī manzil pahlī kī nisbat kam chauṛī aur tīsrī dūsrī kī nisbat kam chauṛī thī. Makān ke shimālī pahlū meṅ ek guzargāh thī jo ek sire se dūsre sire tak le jātī thī. Us kī lambāī 175 fuṭ aur chauṛāī sāṛhe 17 fuṭ thī. Kamroṅ ke darwāze sab shimāl kī taraf khulte the. 5-6 Dūsrī manzil ke kamre pahlī manzil kī nisbat kam chauṛe the tāki un ke sāmne ṭairas ho. Isī tarah tīsrī manzil ke kamre dūsrī kī nisbat kam chauṛe the. Is imārat meṅ sahan kī dūsrī imāratoṅ kī tarah satūn nahīṅ the.
Kamroṅ ke sāmne ek bairūnī dīwār thī jo unheṅ bairūnī sahan se alag kartī thī. Us kī lambāī sāṛhe 87 fuṭ thī, kyoṅki bairūnī sahan kī taraf kamroṅ kī mil milā kar lambāī sāṛhe 87 fuṭ thī agarche pūrī dīwār kī lambāī 175 fuṭ thī. Bairūnī sahan se is imārat meṅ dāḳhil hone ke lie mashriq kī taraf se ānā paṛtā thā. Wahāṅ ek darwāzā thā.
10 Rab ke ghar ke junūb meṅ us jaisī ek aur imārat thī jo Rab ke ghar ke pīchhe wālī yānī maġhribī imārat ke muqābil thī. 11 Us ke kamroṅ ke sāmne bhī mazkūrā shimālī imārat jaisī guzargāh thī. Us kī lambāī aur chauṛāī, ḍizāyn aur darwāze, ġharz sab kuchh shimālī makān kī mānind thā. 12 Kamroṅ ke darwāze junūb kī taraf the, aur un ke sāmne bhī ek hifāzatī dīwār thī. Bairūnī sahan se is imārat meṅ dāḳhil hone ke lie mashriq se ānā paṛtā thā. Us kā darwāzā bhī guzargāh ke shurū meṅ thā.
13 Us ādmī ne mujh se kahā, “Yih donoṅ imārateṅ muqaddas haiṅ. Jo imām Rab ke huzūr āte haiṅ wuh inhīṅ meṅ muqaddastarīn qurbāniyāṅ khāte haiṅ. Chūṅki yih kamre muqaddas haiṅ is lie imām in meṅ muqaddastarīn qurbāniyāṅ rakheṅge, ḳhāh ġhallā, gunāh yā qusūr kī qurbāniyāṅ kyoṅ na hoṅ. 14 Jo imām maqdis se nikal kar bairūnī sahan meṅ jānā chāheṅ unheṅ in kamroṅ meṅ wuh muqaddas libās utār kar chhoṛnā hai jo unhoṅ ne Rab kī ḳhidmat karte waqt pahne hue the. Lāzim hai ki wuh pahle apne kapṛe badleṅ, phir hī wahāṅ jāeṅ jahāṅ bāqī log jamā hote haiṅ.”
Bāhar se Rab ke Ghar kī Chārdīwārī kī Paimāish
15 Rab ke ghar ke ihāte meṅ sab kuchh nāpne ke bād merā rāhnumā mujhe mashriqī darwāze se bāhar le gayā aur bāhar se chārdīwārī kī paimāish karne lagā. 16-20 Fīte se pahle mashriqī dīwār nāpī, phir shimālī, junūbī aur maġhribī dīwār. Har dīwār kī lambāī 875 fuṭ thī. Is chārdīwārī kā maqsad yih thā ki jo kuchh muqaddas hai wuh us se alag kiyā jāe jo muqaddas nahīṅ hai.