10
Mardakī Apnī Qaum kā Sahārā Banā Rahtā Hai
Bādshāh ne pūrī saltanat ke tamām mamālik par sāhilī ilāqoṅ tak ṭaiks lagāyā. Us kī tamām zabardast kāmyābiyoṅ kā bayān ‘Shāhān-e-Mādī-o-Fāras kī Tārīḳh’ kī kitāb meṅ kiyā gayā hai. Wahāṅ is kā bhī pūrā zikr hai ki us ne Mardakī ko kis ūṅche ohde par fāyz kiyā thā. Mardakī bādshāh ke bād saltanat kā sab se ālā afsar thā. Yahūdiyoṅ meṅ wuh muazzaz thā, aur wuh us kī baṛī qadar karte the, kyoṅki wuh apnī qaum kī bahbūdī kā tālib rahtā aur tamām Yahūdiyoṅ ke haq meṅ bāt kartā thā.