4
Mardakī Āstar se Madad Māṅgtā Hai
Jab Mardakī ko mālūm huā ki kyā huā hai to us ne ranjish se apne kapṛoṅ ko phāṛ kar ṭāṭ kā libās pahan liyā aur sar par rākh ḍāl lī. Phir wuh nikal kar buland āwāz se giryā-o-zārī karte karte shahr meṅ se guzarā. Wuh shāhī sahan ke darwāze tak pahuṅch gayā lekin dāḳhil na huā, kyoṅki mātamī kapṛe pahan kar dāḳhil hone kī ijāzat nahīṅ thī. Saltanat ke tamām sūboṅ meṅ jahāṅ jahāṅ bādshāh kā elān pahuṅchā wahāṅ Yahūdī ḳhūb mātam karne aur rozā rakh kar rone aur giryā-o-zārī karne lage. Bahut-se log ṭāṭ kā libās pahan kar rākh meṅ leṭ gae.
Jab Āstar kī naukarāniyoṅ aur ḳhwājāsarāoṅ ne ā kar use ittalā dī to wuh saḳht ghabrā gaī. Us ne Mardakī ko kapṛe bhej die jo wuh apne mātamī kapṛoṅ ke badle pahan le, lekin us ne unheṅ qabūl na kiyā. Tab Āstar ne Hatāk Ḳhwājāsarā ko Mardakī ke pās bhejā tāki wuh mālūm kare ki kyā huā hai, Mardakī aisī harkateṅ kyoṅ kar rahā hai. (Bādshāh ne Hatāk ko Āstar kī ḳhidmat karne kī zimmedārī dī thī.)
Hatāk shāhī sahan ke darwāze se nikal kar Mardakī ke pās āyā jo ab tak sāth wāle chauk meṅ thā. Mardakī ne use Hāmān kā pūrā mansūbā sunā kar yih bhī batāyā ki Hāmān ne Yahūdiyoṅ ko halāk karne ke lie shāhī ḳhazāne ko kitne paise dene kā wādā kiyā hai. Is ke alāwā Mardakī ne ḳhwājāsarā ko us shāhī farmān kī kāpī dī jo Sosan meṅ sādir huā thā aur jis meṅ Yahūdiyoṅ ko nest-o-nābūd karne kā elān kiyā gayā thā. Us ne guzārish kī, “Yih elān Āstar ko dikhā kar unheṅ tamām hālāt se bāḳhabar kar deṅ. Unheṅ hidāyat deṅ ki bādshāh ke huzūr jāeṅ aur us se iltijā karke apnī qaum kī sifārish kareṅ.”
Hatāk wāpas āyā aur Mardakī kī bātoṅ kī ḳhabar dī. 10 Yih sun kar Āstar ne use dubārā Mardakī ke pās bhejā tāki use batāe, 11 “Bādshāh ke tamām mulāzim balki sūboṅ ke tamām bāshinde jānte haiṅ ki jo bhī bulāe baġhair mahal ke andarūnī sahan meṅ bādshāh ke pās āe use sazā-e-maut dī jāegī, ḳhāh wuh mard ho yā aurat. Wuh sirf is sūrat meṅ bach jāegā ki bādshāh sone kā apnā asā us kī taraf baṛhāe. Bāt yih bhī hai ki bādshāh ko mujhe bulāe 30 din ho gae haiṅ.”
12 Āstar kā paiġhām sun kar 13 Mardakī ne jawāb wāpas bhejā, “Yih na sochnā ki maiṅ shāhī mahal meṅ rahtī hūṅ, is lie go dīgar tamām Yahūdī halāk ho jāeṅ maiṅ bach jāūṅgī. 14 Agar āp is waqt ḳhāmosh raheṅgī to Yahūdī kahīṅ aur se rihāī aur chhuṭkārā pā leṅge jabki āp aur āp ke bāp kā gharānā halāk ho jāeṅge. Kyā patā hai, shāyad āp isī lie malikā ban gaī haiṅ ki aise mauqe par Yahūdiyoṅ kī madad kareṅ.”
15 Āstar ne Mardakī ko jawāb bhejā, 16 “Ṭhīk hai, phir jāeṅ aur Sosan meṅ rahne wāle tamām Yahūdiyoṅ ko jamā kareṅ. Mere lie rozā rakh kar tīn din aur tīn rāt na kuchh khāeṅ, na pieṅ. Maiṅ bhī apnī naukarāniyoṅ ke sāth mil kar rozā rakhūṅgī. Is ke bād bādshāh ke pās jāūṅgī, go yih qānūn ke ḳhilāf hai. Agar marnā hai to mar hī jāūṅgī.”
17 Tab Mardakī chalā gayā aur waisā hī kiyā jaisā Āstar ne use hidāyat kī thī.