24
Rab Isrāīl se Ahd Bāndhtā Hai
Rab ne Mūsā se kahā, “Tū, Hārūn, Nadab, Abīhū aur Isrāīl ke 70 buzurg mere pās ūpar āeṅ. Kuchh fāsile par khaṛe ho kar mujhe sijdā karo. Sirf tū akelā hī mere qarīb ā, dūsre dūr raheṅ. Aur qaum ke bāqī log tere sāth pahāṛ par na chaṛheṅ.”
Tab Mūsā ne qaum ke pās jā kar Rab kī tamām bāteṅ aur ahkām pesh kie. Jawāb meṅ sab ne mil kar kahā, “Ham Rab kī in tamām bātoṅ par amal kareṅge.”
Tab Mūsā ne Rab kī tamām bāteṅ likh līṅ. Agle din wuh subah-sawere uṭhā aur pahāṛ ke pās gayā. Us ke dāman meṅ us ne qurbāngāh banāī. Sāth hī us ne Isrāīl ke har ek qabīle ke lie ek ek patthar kā satūn khaṛā kiyā. Phir us ne kuchh Isrāīlī naujawānoṅ ko qurbānī pesh karne ke lie bulāyā tāki wuh Rab kī tāzīm meṅ bhasm hone wālī qurbāniyāṅ chaṛhāeṅ aur jawān bailoṅ ko salāmatī kī qurbānī ke taur par pesh kareṅ. Mūsā ne qurbāniyoṅ kā ḳhūn jamā kiyā. Us kā ādhā hissā us ne bāsanoṅ meṅ ḍāl diyā aur ādhā hissā qurbāngāh par chhiṛak diyā.
Phir us ne wuh kitāb lī jis meṅ Rab ke sāth ahd kī tamām sharāyt darj thīṅ aur use qaum ko paṛh kar sunāyā. Jawāb meṅ unhoṅ ne kahā, “Ham Rab kī in tamām bātoṅ par amal kareṅge. Ham us kī suneṅge.” Is par Mūsā ne bāsanoṅ meṅ se ḳhūn le kar use logoṅ par chhiṛkā aur kahā, “Yih ḳhūn us ahd kī tasdīq kartā hai jo Rab ne tumhāre sāth kiyā hai aur jo us kī tamām bātoṅ par mabnī hai.”
Is ke bād Mūsā, Hārūn, Nadab, Abīhū aur Isrāīl ke 70 buzurg Sīnā Pahāṛ par chaṛhe. 10 Wahāṅ unhoṅ ne Isrāīl ke Ḳhudā ko dekhā. Lagtā thā ki us ke pāṅwoṅ ke nīche sang-e-lājaward kā-sā taḳhtā thā. Wuh āsmān kī mānind sāf-o-shaffāf thā. 11 Agarche Isrāīl ke rāhnumāoṅ ne yih sab kuchh dekhā to bhī Rab ne unheṅ halāk na kiyā, balki wuh Allāh ko deḳhte rahe aur us ke huzūr ahd kā khānā khāte aur pīte rahe.
Patthar kī Taḳhtiyāṅ
12 Pahāṛ se utarne ke bād Rab ne Mūsā se kahā, “Mere pās pahāṛ par ā kar kuchh der ke lie ṭhahre rahnā. Maiṅ tujhe patthar kī taḳhtiyāṅ dūṅgā jin par maiṅ ne apnī sharīat aur ahkām likhe haiṅ aur jo Isrāīl kī tālīm-o-tarbiyat ke lie zarūrī haiṅ.”
13 Mūsā apne madadgār Yashua ke sāth chal paṛā aur Allāh ke pahāṛ par chaṛh gayā. 14 Pahle us ne buzurgoṅ se kahā, “Hamārī wāpasī ke intazār meṅ yahāṅ ṭhahre raho. Hārūn aur Hūr tumhāre pās raheṅge. Koī bhī muāmalā ho to log unhīṅ ke pās jāeṅ.”
Mūsā Rab se Miltā Hai
15 Jab Mūsā chaṛhnī lagā to pahāṛ par bādal chhā gayā. 16 Rab kā jalāl Koh-e-Sīnā par utar āyā. Chhih din tak bādal us par chhāyā rahā. Sātweṅ din Rab ne bādal meṅ se Mūsā ko bulāyā. 17 Rab kā jalāl Isrāīliyoṅ ko bhī nazar ātā thā. Unheṅ yoṅ lagā jaisā ki pahāṛ kī choṭī par tez āg bhaṛak rahī ho. 18 Chaṛhte chaṛhte Mūsā bādal meṅ dāḳhil huā. Wahāṅ wuh chālīs din aur chālīs rāt rahā.