9
Maweshiyoṅ meṅ Wabā
Phir Rab ne Mūsā se kahā, “Firaun ke pās jā kar use batā ki Rab Ibrāniyoṅ kā Ḳhudā farmātā hai, ‘Merī qaum ko jāne de tāki wuh merī ibādat kar sakeṅ.’ Agar āp inkār kareṅ aur unheṅ rokte raheṅ to Rab apnī qudrat kā izhār karke āp ke maweshiyoṅ meṅ bhayānak wabā phailā degā jo āp ke ghoṛoṅ, gadhoṅ, ūṅṭoṅ, gāy-bailoṅ, bheṛ-bakriyoṅ aur menḍhoṅ meṅ phail jāegī. Lekin Rab Isrāīl aur Misr ke maweshiyoṅ meṅ imtiyāz karegā. Isrāīliyoṅ kā ek bhī jānwar nahīṅ maregā. Rab ne faislā kar liyā hai ki wuh kal hī aisā karegā.”
Agle din Rab ne aisā hī kiyā. Misr ke tamām maweshī mar gae. Lekin Isrāīliyoṅ kā ek bhī jānwar na marā. Firaun ne kuchh logoṅ ko un ke pās bhej diyā to patā chalā ki ek bhī jānwar nahīṅ marā. Tāham Firaun aṛā rahā. Us ne Isrāīliyoṅ ko jāne na diyā.
Phoṛe-Phuṅsiyāṅ
Phir Rab ne Mūsā aur Hārūn se kahā, “Apnī muṭṭhiyāṅ kisī bhaṭṭī kī rākh se bhar kar Firaun ke pās jāo. Phir Mūsā Firaun ke sāmne yih rākh hawā meṅ uṛā de. Yih rākh bārīk dhūl kā bādal ban jāegī jo pūre mulk par chhā jāegā. Us ke asar se logoṅ aur jānwaroṅ ke jismoṅ par phoṛe-phuṅsiyāṅ phūṭ nikleṅge.”
10 Mūsā aur Hārūn ne aisā hī kiyā. Wuh kisī bhaṭṭī se rākh le kar Firaun ke sāmne khaṛe ho gae. Mūsā ne rākh ko hawā meṅ uṛā diyā to insānoṅ aur jānwaroṅ ke jismoṅ par phoṛe-phuṅsiyāṅ nikal āe. 11 Is martabā jādūgar Mūsā ke sāmne khaṛe bhī na ho sake kyoṅki un ke jismoṅ par bhī phoṛe nikal āe the. Tamām Misriyoṅ kā yihī hāl thā. 12 Lekin Rab ne Firaun ko ziddī banāe rakhā, is lie us ne Mūsā aur Hārūn kī na sunī. Yoṅ waisā hī huā jaisā Rab ne Mūsā ko batāyā thā.
Ole
13 Is ke bād Rab ne Mūsā se kahā, “Subah-sawere uṭh aur Firaun ke sāmne khaṛe ho kar use batā ki Rab Ibrāniyoṅ kā Ḳhudā farmātā hai, ‘Merī qaum ko jāne de tāki wuh merī ibādat kar sakeṅ. 14 Warnā maiṅ apnī tamām āfateṅ tujh par, tere ohdedāroṅ par aur terī qaum par āne dūṅgā. Phir tū jān legā ki tamām duniyā meṅ mujh jaisā koī nahīṅ hai. 15 Agar maiṅ chāhtā to apnī qudrat se aisī wabā phailā saktā ki tujhe aur terī qaum ko duniyā se miṭā diyā jātā. 16 Lekin maiṅ ne tujhe is lie barpā kiyā hai ki tujh par apnī qudrat kā izhār karūṅ aur yoṅ tamām duniyā meṅ mere nām kā prachār kiyā jāe. 17 Tū abhī tak apne āp ko sarfarāz karke merī qaum ke ḳhilāf hai aur unheṅ jāne nahīṅ detā. 18 Is lie kal maiṅ isī waqt bhayānak qism ke oloṅ kā tūfān bhej dūṅgā. Misrī qaum kī ibtidā se le kar āj tak Misr meṅ oloṅ kā aisā tūfān kabhī nahīṅ āyā hogā. 19 Apne bandoṅ ko abhī bhejnā tāki wuh tere maweshiyoṅ ko aur khetoṅ meṅ paṛe tere māl ko lā kar mahfūz kar leṅ. Kyoṅki jo bhī khule maidān meṅ rahegā wuh oloṅ se mar jāegā, ḳhāh insān ho yā haiwān.’ ”
20 Firaun ke kuchh ohdedār Rab kā paiġhām sun kar ḍar gae aur bhāg kar apne jānwaroṅ aur ġhulāmoṅ ko gharoṅ meṅ le āe. 21 Lekin dūsroṅ ne Rab ke paiġhām kī parwā na kī. Un ke jānwar aur ġhulām bāhar khule maidān meṅ rahe.
22 Rab ne Mūsā se kahā, “Apnā hāth āsmān kī taraf baṛhā de. Phir Misr ke tamām insānoṅ, jānwaroṅ aur khetoṅ ke paudoṅ par ole paṛeṅge.” 23 Mūsā ne apnī lāṭhī āsmān kī taraf uṭhāī to Rab ne ek zabardast tūfān bhej diyā. Ole paṛe, bijlī girī aur bādal garajte rahe. 24 Ole paṛte rahe aur bijlī chamaktī rahī. Misrī qaum kī ibtidā se le kar ab tak aise ḳhatarnāk ole kabhī nahīṅ paṛe the. 25 Insānoṅ se le kar haiwānoṅ tak khetoṅ meṅ sab kuchh barbād ho gayā. Oloṅ ne khetoṅ meṅ tamām paude aur daraḳht bhī toṛ die. 26 Wuh sirf Jushan ke ilāqe meṅ na paṛe jahāṅ Isrāīlī ābād the.
27 Tab Firaun ne Mūsā aur Hārūn ko bulāyā. Us ne kahā, “Is martabā maiṅ ne gunāh kiyā hai. Rab haq par hai. Mujh se aur merī qaum se ġhaltī huī hai. 28 Ole aur Allāh kī garajtī āwāzeṅ had se zyādā haiṅ. Rab se duā karo tāki ole ruk jāeṅ. Ab maiṅ tumheṅ jāne dūṅgā. Ab se tumheṅ yahāṅ rahnā nahīṅ paṛegā.”
29 Mūsā ne Firaun se kahā, “Maiṅ shahr se nikal kar donoṅ hāth Rab kī taraf uṭhā kar duā karūṅga. Phir garaj aur ole ruk jāeṅge aur āp jān leṅge ki pūrī duniyā Rab kī hai. 30 Lekin maiṅ jāntā hūṅ ki āp aur āp ke ohdedār abhī tak Rab Ḳhudā kā ḳhauf nahīṅ mānte.”
31 Us waqt san ke phūl nikal chuke the aur jau kī bāleṅ lag gaī thīṅ. Is lie yih fasleṅ tabāh ho gaīṅ. 32 Lekin gehūṅ aur ek aur qism kī gandum jo bād meṅ paktī hai barbād na huī.
33 Mūsā Firaun ko chhoṛ kar shahr se niklā. Us ne Rab kī taraf apne hāth uṭhāe to garaj, ole aur bārish kā tūfān ruk gayā. 34 Jab Firaun ne dekhā ki tūfān ḳhatm ho gayā hai to wuh aur us ke ohdedār dubārā gunāh karke akaṛ gae. 35 Firaun aṛā rahā aur Isrāīliyoṅ ko jāne na diyā. Waisā hī huā jaisā Rab ne Mūsā se kahā thā.