4
1 Dekheṅ, jo beṭā apne bāp kī milkiyat kā wāris hai wuh us waqt tak ġhulāmoṅ se farq nahīṅ jab tak wuh bāliġh na ho, hālāṅki wuh pūrī milkiyat kā mālik hai.
2 Bāp kī taraf se muqarrar kī huī umr tak dūsre us kī dekh-bhāl karte aur us kī milkiyat saṅbhālte haiṅ.
3 Isī tarah ham bhī jab bachche the duniyā kī kuwwatoṅ ke ġhulām the.
4 Lekin jab muqarrarā waqt ā gayā to Allāh ne apne Farzand ko bhej diyā. Ek aurat se paidā ho kar wuh sharīat ke tābe huā
5 tāki fidyā de kar hameṅ jo sharīat ke tābe the āzād kar de. Yoṅ hameṅ Allāh ke farzand hone kā martabā milā hai.
6 Ab chūṅki āp us ke farzand haiṅ is lie Allāh ne apne Farzand ke Rūh ko hamāre diloṅ meṅ bhej diyā, wuh Rūh jo “Abbā” yānī “Ai Bāp” kah kar pukārtā rahtā hai.
7 Ġharz ab āp ġhulām na rahe balki beṭe kī haisiyat rakhte haiṅ. Aur beṭā hone kā yih matlab hai ki Allāh ne āp ko wāris bhī banā diyā hai.
Paulus kī Galatiyoṅ ke lie Fikr
8 Māzī meṅ jab āp Allāh ko nahīṅ jānte the to āp un ke ġhulām the jo haqīqat meṅ Ḳhudā nahīṅ haiṅ.
9 Lekin ab āp Allāh ko jānte haiṅ, balki ab Allāh ne āp ko jān liyā hai. To phir āp muṛ kar in kamzor aur ghaṭiyā usūloṅ kī taraf kyoṅ wāpas jāne lage haiṅ? Kyā āp dubārā in kī ġhulāmī meṅ ānā chāhte haiṅ?
10 Āp baṛī fikrmandī se ḳhās din, māh, mausam aur sāl manāte haiṅ.
11 Mujhe āp ke bāre meṅ ḍar hai, kahīṅ merī āp par mehnat-mashaqqat zāe na jāe.
12 Bhāiyo, maiṅ āp se iltijā kartā hūṅ ki merī mānind ban jāeṅ, kyoṅki maiṅ to āp kī mānind ban gayā hūṅ. Āp ne mere sāth koī ġhalat sulūk nahīṅ kiyā.
13 Āp ko mālūm hai ki jab maiṅ ne pahlī dafā āp ko Allāh kī ḳhushḳhabrī sunāī to is kī wajah mere jism kī kamzor hālat thī.
14 Lekin agarche merī yih hālat āp ke lie āzmāish kā bāis thī to bhī āp ne mujhe haqīr na jānā, na mujhe nīch samjhā, balki āp ne mujhe yoṅ ḳhushāmdīd kahā jaisā ki maiṅ Allāh kā koī farishtā yā Masīh Īsā ḳhud hūṅ.
15 Us waqt āp itne ḳhush the! Ab kyā huā hai? Maiṅ gawāh hūṅ, us waqt agar āp ko mauqā miltā to āp apnī āṅkheṅ nikāl kar mujhe de dete.
16 To kyā ab maiṅ āp ko haqīqat batāne kī wajah se āp kā dushman ban gayā hūṅ?
17 Wuh dūsre log āp kī dostī pāne kī pūrī jidd-o-jahd kar rahe haiṅ, lekin un kī nīyat sāf nahīṅ hai. Bas wuh āp ko mujh se judā karnā chāhte haiṅ tāki āp unhīṅ ke haq meṅ jidd-o-jahd karte raheṅ.
18 Jab log āp kī dostī pāne kī jidd-o-jahd karte haiṅ to yih hai to ṭhīk, lekin is kā maqsad achchhā honā chāhie. Hāṅ, sahīh jidd-o-jahd har waqt achchhī hotī hai, na sirf is waqt jab maiṅ āp ke darmiyān hūṅ.
19 Mere pyāre bachcho! Ab maiṅ dubārā āp ko janm dene kā-sā dard mahsūs kar rahā hūṅ aur us waqt tak kartā rahūṅgā jab tak Masīh āp meṅ sūrat na pakaṛe.
20 Kāsh maiṅ us waqt āp ke pās hotā tāki farq andāz meṅ āp se bāt kar saktā, kyoṅki maiṅ āp ke sabab se baṛī uljhan meṅ hūṅ!
Hājirā aur Sārā kī Misāl
21 Āp jo sharīat ke tābe rahnā chāhte haiṅ mujhe ek bāt batāeṅ, kyā āp wuh bāt nahīṅ sunte jo sharīat kahtī hai?
22 Wuh kahtī hai ki Ibrāhīm ke do beṭe the. Ek launḍī kā beṭā thā, ek āzād aurat kā.
23 Launḍī ke beṭe kī paidāish hasb-e-māmūl thī, lekin āzād aurat ke beṭe kī paidāish ġhairmāmūlī thī, kyoṅki us meṅ Allāh kā wādā pūrā huā.
24 Jab yih kināyatan samjhā jāe to yih do ḳhawātīn Allāh ke do ahdoṅ kī numāindagī kartī haiṅ. Pahlī ḳhātūn Hājirā Sīnā Pahāṛ par bandhe hue ahd kī numāindagī kartī hai, aur jo bachche us se paidā hote haiṅ wuh ġhulāmī ke lie muqarrar haiṅ.
25 Hājirā jo Arab meṅ wāqe pahāṛ Sīnā kī alāmat hai maujūdā shahr Yarūshalam se mutābiqat rakhtī hai. Wuh aur us ke tamām bachche ġhulāmī meṅ zindagī guzārte haiṅ.
26 Lekin āsmānī Yarūshalam āzād hai aur wuhī hamārī māṅ hai.
27 Kyoṅki kalām-e-muqaddas meṅ likhā hai,
“Ḳhush ho jā, tū jo beaulād hai,
jo bachche ko janm hī nahīṅ de saktī.
Buland āwāz se shādiyānā bajā,
tū jise paidāish kā dard na huā.
Kyoṅki ab tark kī huī aurat ke bachche
shādīshudā aurat ke bachchoṅ se zyādā haiṅ.”
28 Bhāiyo, āp Is'hāq kī tarah Allāh ke wāde ke farzand haiṅ.
29 Us waqt Ismāīl ne jo hasb-e-māmūl paidā huā thā Is'hāq ko satāyā jo Rūhul-quds kī qudrat se paidā huā thā. Āj bhī aisā hī hai.
30 Lekin kalām-e-muqaddas meṅ kyā farmāyā gayā hai? “Is launḍī aur is ke beṭe ko ghar se nikāl deṅ, kyoṅki wuh āzād aurat ke beṭe ke sāth wirsā nahīṅ pāegā.”
31 Ġharz bhāiyo, ham launḍī ke farzand nahīṅ haiṅ balki āzād aurat ke.