21
Is'hāq kī Paidāish
1 Tab Rab ne Sārā ke sāth waisā hī kiyā jaisā us ne farmāyā thā. Jo wādā us ne Sārā ke bāre meṅ kiyā thā use us ne pūrā kiyā.
2 Wuh hāmilā huī aur beṭā paidā huā. Ain us waqt būṛhe Ibrāhīm ke hāṅ beṭā paidā huā jo Allāh ne muqarrar karke use batāyā thā.
3 Ibrāhīm ne apne is beṭe kā nām Is'hāq yānī ‘Wuh Haṅstā Hai’ rakhā.
4 Jab Is'hāq āṭh din kā thā to Ibrāhīm ne us kā ḳhatnā karāyā, jis tarah Allāh ne use hukm diyā thā.
5 Jab Is'hāq paidā huā us waqt Ibrāhīm 100 sāl kā thā.
6 Sārā ne kahā, “Allāh ne mujhe haṅsāyā, aur har koī jo mere bāre meṅ yih sunegā haṅsegā.
7 Is se pahle kaun Ibrāhīm se yih kahne kī jurrat kar saktā thā ki Sārā apne bachchoṅ ko dūdh pilāegī? Aur ab mere hāṅ beṭā paidā huā hai, agarche Ibrāhīm būṛhā ho gayā hai.”
8 Is'hāq baṛā hotā gayā. Jab us kā dūdh chhuṛāyā gayā to Ibrāhīm ne us ke lie baṛī ziyāfat kī.
Ibrāhīm Hājirā aur Ismāīl ko Nikāl Detā Hai
9 Ek din Sārā ne dekhā ki Misrī launḍī Hājirā kā beṭā Ismāīl Is'hāq kā mazāq uṛā rahā hai.
10 Us ne Ibrāhīm se kahā, “Is launḍī aur us ke beṭe ko ghar se nikāl deṅ, kyoṅki wuh mere beṭe Is'hāq ke sāth mīrās nahīṅ pāegā.”
11 Ibrāhīm ko yih bāt bahut burī lagī. Āḳhir Ismāīl bhī us kā beṭā thā.
12 Lekin Allāh ne us se kahā, “Jo bāt Sārā ne apnī launḍī aur us ke beṭe ke bāre meṅ kahī hai wuh tujhe burī na lage. Sārā kī bāt mān le, kyoṅki terī nasl Is'hāq hī se qāym rahegī.
13 Lekin maiṅ Ismāīl se bhī ek qaum banāūṅgā, kyoṅki wuh terā beṭā hai.”
14 Ibrāhīm subah-sawere uṭhā. Us ne roṭī aur pānī kī mashk Hājirā ke kandhoṅ par rakh kar use laṛke ke sāth ghar se nikāl diyā. Hājirā chalte chalte Bair-sabā ke registān meṅ idhar-udhar phirne lagī.
15 Phir pānī ḳhatm ho gayā. Hājirā laṛke ko kisī jhāṛī ke nīche chhoṛ kar
16 koī 300 fuṭ dūr baiṭh gaī. Kyoṅki us ne dil meṅ kahā, “Maiṅ use marte nahīṅ dekh saktī.” Wuh wahāṅ baiṭh kar rone lagī.
17 Lekin Allāh ne beṭe kī rotī huī āwāz sun lī. Allāh ke farishte ne āsmān par se pukār kar Hājirā se bāt kī, “Hājirā, kyā bāt hai? Mat ḍar, kyoṅki Allāh ne laṛke kā jo wahāṅ paṛā hai ronā sun liyā hai.
18 Uṭh, laṛke ko uṭhā kar us kā hāth thām le, kyoṅki maiṅ us se ek baṛī qaum banāūṅgā.”
19 Phir Allāh ne Hājirā kī āṅkheṅ khol dīṅ, aur us kī nazar ek kueṅ par paṛī. Wuh wahāṅ gaī aur mashk ko pānī se bhar kar laṛke ko pilāyā.
20 Allāh laṛke ke sāth thā. Wuh jawān huā aur tīrandāz ban kar bayābān meṅ rahne lagā.
21 Jab wuh Fārān ke registān meṅ rahtā thā to us kī māṅ ne use ek Misrī aurat se byāh diyā.
Abīmalik ke sāth Ahd
22 Un dinoṅ meṅ Abīmalik aur us ke sipāhsālār Fīkul ne Ibrāhīm se kahā, “Jo kuchh bhī āp karte haiṅ Allāh āp ke sāth hai.
23 Ab mujh se Allāh kī qasam khāeṅ ki āp mujhe aur merī āl-o-aulād ko dhokā nahīṅ deṅge. Mujh par aur is mulk par jis meṅ āp pardesī haiṅ wuhī mehrbānī kareṅ jo maiṅ ne āp par kī hai.”
24 Ibrāhīm ne jawāb diyā, “Maiṅ qasam khātā hūṅ.”
25 Phir us ne Abīmalik se shikāyat karte hue kahā, “Āp ke bandoṅ ne hamāre ek kueṅ par qabzā kar liyā hai.”
26 Abīmalik ne kahā, “Mujhe nahīṅ mālūm ki kis ne aisā kiyā hai. Āp ne bhī mujhe nahīṅ batāyā. Āj maiṅ pahlī dafā yih bāt sun rahā hūṅ.”
27 Tab Ibrāhīm ne Abīmalik ko bheṛ-bakriyāṅ aur gāy-bail die, aur donoṅ ne ek dūsre ke sāth ahd bāndhā.
28 Phir Ibrāhīm ne bheṛ ke sāt mādā bachchoṅ ko alag kar liyā.
29 Abīmalik ne pūchhā, “Āp ne yih kyoṅ kiyā?”
30 Ibrāhīm ne jawāb diyā, “Bheṛ ke in sāt bachchoṅ ko mujh se le leṅ. Yih is ke gawāh hoṅ ki maiṅ ne is kueṅ ko khodā hai.”
31 Is lie us jagah kā nām Bair-sabā yānī ‘Qasam kā Kuāṅ’ rakhā gayā, kyoṅki wahāṅ un donoṅ mardoṅ ne qasam khāī.
32 Yoṅ unhoṅ ne Bair-sabā meṅ ek dūsre se ahd bāndhā. Phir Abīmalik aur Fīkul Filistiyoṅ ke mulk wāpas chale gae.
33 Is ke bād Ibrāhīm ne Bair-sabā meṅ jhāū kā daraḳht lagāyā. Wahāṅ us ne Rab kā nām le kar us kī ibādat kī jo abadī Ḳhudā hai.
34 Ibrāhīm bahut arse tak Filistiyoṅ ke mulk meṅ ābād rahā, lekin ajnabī kī haisiyat se.