3
Gunāh kā Āġhāz
Sāṅp zamīn par chalne-phirne wāle un tamām jānwaroṅ se zyādā chālāk thā jin ko Rab Ḳhudā ne banāyā thā. Us ne aurat se pūchhā, “Kyā Allāh ne wāqaī kahā ki bāġh ke kisī bhī daraḳht kā phal na khānā?” Aurat ne jawāb diyā, “Hargiz nahīṅ. Ham bāġh kā har phal khā sakte haiṅ, sirf us daraḳht ke phal se gurez karnā hai jo bāġh ke bīch meṅ hai. Allāh ne kahā ki us kā phal na khāo balki use chhūnā bhī nahīṅ, warnā tum yaqīnan mar jāoge.” Sāṅp ne aurat se kahā, “Tum hargiz na maroge, balki Allāh jāntā hai ki jab tum us kā phal khāoge to tumhārī āṅkheṅ khul jāeṅgī aur tum Allāh kī mānind ho jāoge, tum jo bhī achchhā aur burā hai use jān loge.”
Aurat ne daraḳht par ġhaur kiyā ki khāne ke lie achchhā aur deḳhne meṅ bhī dilkash hai. Sab se dilfareb bāt yih ki us se samajh hāsil ho saktī hai! Yih soch kar us ne us kā phal le kar use khāyā. Phir us ne apne shauhar ko bhī de diyā, kyoṅki wuh us ke sāth thā. Us ne bhī khā liyā. Lekin khāte hī un kī āṅkheṅ khul gaīṅ aur un ko mālūm huā ki ham nange haiṅ. Chunāṅche unhoṅ ne anjīr ke patte sī kar lungiyāṅ banā līṅ.
Shām ke waqt jab ṭhanḍī hawā chalne lagī to unhoṅ ne Rab Ḳhudā ko bāġh meṅ chalte phirte sunā. Wuh ḍar ke māre daraḳhtoṅ ke pīchhe chhup gae. Rab Ḳhudā ne pukār kar kahā, “Ādam, tū kahāṅ hai?” 10 Ādam ne jawāb diyā, “Maiṅ ne tujhe bāġh meṅ chalte hue sunā to ḍar gayā, kyoṅki maiṅ nangā hūṅ. Is lie maiṅ chhup gayā.” 11 Us ne pūchhā, “Kis ne tujhe batāyā ki tū nangā hai? Kyā tū ne us daraḳht kā phal khāyā hai jise khāne se maiṅ ne manā kiyā thā?” 12 Ādam ne kahā, “Jo aurat tū ne mere sāth rahne ke lie dī hai us ne mujhe phal diyā. Is lie maiṅ ne khā liyā.” 13 Ab Rab Ḳhudā aurat se muḳhātib huā, “Tū ne yih kyoṅ kiyā?” Aurat ne jawāb diyā, “Sāṅp ne mujhe bahkāyā to maiṅ ne khāyā.”
14 Rab Ḳhudā ne sāṅp se kahā, “Chūṅki tū ne yih kiyā, is lie tū tamām maweshiyoṅ aur janglī jānwaroṅ meṅ lānatī hai. Tū umr-bhar peṭ ke bal reṅgegā aur ḳhāk chāṭegā. 15 Maiṅ tere aur aurat ke darmiyān dushmanī paidā karūṅga. Us kī aulād terī aulād kī dushman hogī. Wuh tere sar ko kuchal ḍālegī jabki tū us kī eṛī par kāṭegā.”
16 Phir Rab Ḳhudā aurat se muḳhātib huā aur kahā, “Jab tū ummīd se hogī to maiṅ terī taklīf ko bahut baṛhāūṅgā. Jab tere bachche hoṅge to tū shadīd dard kā shikār hogī. Tū apne shauhar kī tamannā karegī lekin wuh tujh par hukūmat karegā.” 17 Ādam se us ne kahā, “Tū ne apnī bīwī kī bāt mānī aur us daraḳht kā phal khāyā jise khāne se maiṅ ne manā kiyā thā. Is lie tere sabab se zamīn par lānat hai. Us se ḳhurāk hāsil karne ke lie tujhe umr-bhar mehnat-mashaqqat karnī paṛegī. 18 Tere lie wuh ḳhārdār paude aur ūṅṭkaṭāre paidā karegī, hālāṅki tū us se apnī ḳhurāk bhī hāsil karegā. 19 Pasīnā bahā bahā kar tujhe roṭī kamāne ke lie bhāg-dauṛ karnī paṛegī. Aur yih silsilā maut tak jārī rahegā. Tū mehnat karte karte dubārā zamīn meṅ lauṭ jāegā, kyoṅki tū usī se liyā gayā hai. Tū ḳhāk hai aur dubārā ḳhāk meṅ mil jāegā.”
20 Ādam ne apnī bīwī kā nām Hawwā yānī Zindagī rakhā, kyoṅki bād meṅ wuh tamām zindoṅ kī māṅ ban gaī. 21 Rab Ḳhudā ne Ādam aur us kī bīwī ke lie khāloṅ se libās banā kar unheṅ pahnāyā. 22 Us ne kahā, “Insān hamārī mānind ho gayā hai, wuh achchhe aur bure kā ilm rakhtā hai. Ab aisā na ho ki wuh hāth baṛhā kar zindagī baḳhshne wāle daraḳht ke phal se le aur us se khā kar hameshā tak zindā rahe.” 23 Is lie Rab Ḳhudā ne use Bāġh-e-Adan se nikāl kar us zamīn kī khetībāṛī karne kī zimmedārī dī jis meṅ se use liyā gayā thā. 24 Insān ko ḳhārij karne ke bād us ne Bāġh-e-Adan ke mashriq meṅ karūbī farishte khaṛe kie aur sāth sāth ek ātishī talwār rakhī jo idhar-udhar ghūmtī thī tāki us rāste kī hifāzat kare jo zindagī baḳhshne wāle daraḳht tak pahuṅchātā thā.