36
Esau kī Aulād
Yih Esau kī aulād kā nasabnāmā hai (Esau ko Adom bhī kahā jātā hai):
Esau ne tīn Kanānī auratoṅ se shādī kī: Hittī ādmī Ailon kī beṭī Adā se, Anā kī beṭī Uhlībāmā se jo Hiwwī ādmī Sibaon kī nawāsī thī aur Ismāīl kī beṭī Bāsamat se jo Nabāyot kī bahan thī. Adā kā ek beṭā Ilīfaz aur Bāsamat kā ek beṭā Raūel paidā huā. Uhlībāmā ke tīn beṭe paidā hue, Yaūs, Yālām aur Qorah. Esau ke yih tamām beṭe Mulk-e-Kanān meṅ paidā hue.
Bād meṅ Esau dūsre mulk meṅ chalā gayā. Us ne apnī bīwiyoṅ, beṭe-beṭiyoṅ aur ghar ke rahne wāloṅ ko apne tamām maweshiyoṅ aur Mulk-e-Kanān meṅ hāsil kie hue māl samet apne sāth liyā. Wuh is wajah se chalā gayā ki donoṅ bhāiyoṅ ke pās itne rewaṛ the ki charāne kī jagah kam paṛ gaī. Chunāṅche Esau pahāṛī ilāqe Saīr meṅ ābād huā. Esau kā dūsrā nām Adom hai.
Yih Esau yānī Saīr ke pahāṛī ilāqe meṅ ābād Adomiyoṅ kā nasabnāmā hai: 10 Esau kī bīwī Adā kā ek beṭā Ilīfaz thā jabki us kī bīwī Bāsamat kā ek beṭā Raūel thā. 11 Ilīfaz ke beṭe Temān, Omar, Safo, Jātām, Qanaz 12 aur Amālīq the. Amālīq Ilīfaz kī haram Timnā kā beṭā thā. Yih sab Esau kī bīwī Adā kī aulād meṅ shāmil the. 13 Raūel ke beṭe Nahat, Zārah, Sammā aur Mizzā the. Yih sab Esau kī bīwī Bāsamat kī aulād meṅ shāmil the. 14 Esau kī bīwī Uhlībāmā jo Anā kī beṭī aur Sibaon kī nawāsī thī ke tīn beṭe Yaūs, Yālām aur Qorah the.
15 Esau se muḳhtalif qabīloṅ ke sardār nikle. Us ke pahlauṭhe Ilīfaz se yih qabāylī sardār nikle: Temān, Omar, Safo, Qanaz, 16 Qorah, Jātām aur Amālīq. Yih sab Esau kī bīwī Adā kī aulād the. 17 Esau ke beṭe Raūel se yih qabāylī sardār nikle: Nahat, Zārah, Sammā aur Mizzā. Yih sab Esau kī bīwī Bāsamat kī aulād the. 18 Esau kī bīwī Uhlībāmā yānī Anā kī beṭī se yih qabāylī sardār nikle: Yaūs, Yālām aur Qorah. 19 Yih tamām sardār Esau kī aulād haiṅ.
Saīr kī Aulād
20 Mulk-e-Adom ke kuchh bāshinde Horī ādmī Saīr kī aulād the. Un ke nām Lotān, Sobal, Sibaon, Anā, 21 Dīson, Esar aur Dīsān the. Saīr ke yih beṭe Mulk-e-Adom meṅ Horī qabīloṅ ke sardār the.
22 Lotān Horī aur Hemām kā bāp thā. (Timnā Lotān kī bahan thī.) 23 Sobal ke beṭe Alwān, Mānahat, Aibāl, Safo aur Onām the. 24 Sibaon ke beṭe Aiyāh aur Anā the. Isī Anā ko garm chashme mile jab wuh bayābān meṅ apne bāp ke gadhe charā rahā thā. 25 Anā kā ek beṭā Dīson aur ek beṭī Uhlībāmā thī. 26 Dīson ke chār beṭe Hamdān, Ishbān, Yitrān aur Kirān the. 27 Esar ke tīn beṭe Bilhān, Zāwān aur Aqān the. 28 Dīsān ke do beṭe Ūz aur Arān the.
29-30 Yihī yānī Lotān, Sobal, Sibaon, Anā, Dīson, Esar aur Dīsān Saīr ke mulk meṅ Horī qabāyl ke sardār the.
Adom ke Bādshāh
31 Is se pahle ki Isrāīliyoṅ kā koī bādshāh thā zail ke bādshāh yake bād dīgare Mulk-e-Adom meṅ hukūmat karte the:
32 Bālā bin Bor jo Dinhābā Shahr kā thā Mulk-e-Adom kā pahlā bādshāh thā.
33 Us kī maut par Yūbāb bin Zārah jo Busrā Shahr kā thā.
34 Us kī maut par Hushām jo Temāniyoṅ ke mulk kā thā.
35 Us kī maut par Hadad bin Bidad jis ne Mulk-e-Moāb meṅ Midiyāniyoṅ ko shikast dī. Wuh Awīt kā thā.
36 Us kī maut par Samlā jo Masriqā kā thā.
37 Us kī maut par Sāūl jo Dariyā-e-Furāt par Rahobot Shahr kā thā.
38 Us kī maut par Bāl-hanān bin Akbor.
39 Us kī maut par Hadad jo Fāū Shahr kā thā. (Bīwī kā nām Mahetabel bint Matrid bint Mezāhāb thā.)
40-43 Esau se Adomī qabīloṅ ke yih sardār nikle: Timnā, Alwah, Yatet, Uhlībāmā, Ailā, Fīnon, Qanaz, Temān, Mibsār, Majdiyel aur Irām. Adom ke sardāroṅ kī yih fahrist un kī maurūsī zamīn kī ābādiyoṅ aur qabīloṅ ke mutābiq hī bayān kī gaī hai. Esau un kā bāp hai.