45
Yūsuf Apne Āp ko Zāhir Kartā Hai
1 Yih sun kar Yūsuf apne āp par qābū na rakh sakā. Us ne ūṅchī āwāz se hukm diyā ki tamām mulāzim kamre se nikal jāeṅ. Koī aur shaḳhs kamre meṅ nahīṅ thā jab Yūsuf ne apne bhāiyoṅ ko batāyā ki wuh kaun hai.
2 Wuh itne zor se ro paṛā ki Misriyoṅ ne us kī āwāz sunī aur Firaun ke gharāne ko patā chal gayā.
3 Yūsuf ne apne bhāiyoṅ se kahā, “Maiṅ Yūsuf hūṅ. Kyā merā bāp ab tak zindā hai?”
Lekin us ke bhāī yih sun kar itne ghabrā gae ki wuh jawāb na de sake.
4 Phir Yūsuf ne kahā, “Mere qarīb āo.” Wuh qarīb āe to us ne kahā, “Maiṅ tumhārā bhāī Yūsuf hūṅ jise tum ne bech kar Misr bhijwāyā.
5 Ab merī bāt suno. Na ghabrāo aur na apne āp ko ilzām do ki ham ne Yūsuf ko bech diyā. Asal meṅ Allāh ne ḳhud mujhe tumhāre āge yahāṅ bhej diyā tāki ham sab bache raheṅ.
6 Yih kāl kā dūsrā sāl hai. Pāṅch aur sāl ke daurān na hal chalegā, na fasal kaṭegī.
7 Allāh ne mujhe tumhāre āge bhejā tāki duniyā meṅ tumhārā ek bachā-khuchā hissā mahfūz rahe aur tumhārī jān ek baṛī maḳhlasī kī mārifat chhūṭ jāe
8 chunāṅche tum ne mujhe yahāṅ nahīṅ bhejā balki Allāh ne. Us ne mujhe Firaun kā bāp, us ke pūre gharāne kā mālik aur Misr kā hākim banā diyā hai.
9 Ab jaldī se mere bāp ke pās wāpas jā kar un se kaho, ‘Āp kā beṭā Yūsuf āp ko ittalā detā hai ki Allāh ne mujhe Misr kā mālik banā diyā hai. Mere pās ā jāeṅ, der na kareṅ.
10 Āp Jushan ke ilāqe meṅ rah sakte haiṅ. Wahāṅ āp mere qarīb hoṅge, āp, āp kī āl-o-aulād, gāy-bail, bheṛ-bakriyāṅ aur jo kuchh bhī āp kā hai.
11 Wahāṅ maiṅ āp kī zarūriyāt pūrī karūṅga, kyoṅki kāl ko abhī pāṅch sāl aur lageṅge. Warnā āp, āp ke ghar wāle aur jo bhī āp ke haiṅ bad-hāl ho jāeṅge.’
12 Tum ḳhud aur merā bhāī Binyamīn dekh sakte ho ki maiṅ Yūsuf hī hūṅ jo tumhāre sāth bāt kar rahā hūṅ.
13 Mere bāp ko Misr meṅ mere asar-o-rasūḳh ke bāre meṅ ittalā do. Unheṅ sab kuchh batāo jo tum ne dekhā hai. Phir jald hī mere bāp ko yahāṅ le āo.”
14 Yih kah kar wuh apne bhāī Binyamīn ko gale lagā kar ro paṛā. Binyamīn bhī us ke gale lag kar rone lagā.
15 Phir Yūsuf ne rote hue apne har ek bhāī ko bosā diyā. Is ke bād us ke bhāī us ke sāth bāteṅ karne lage.
16 Jab yih ḳhabar bādshāh ke mahal tak pahuṅchī ki Yūsuf ke bhāī āe haiṅ to Firaun aur us ke tamām afsarān ḳhush hue.
17 Us ne Yūsuf se kahā, “Apne bhāiyoṅ ko batā ki apne jānwaroṅ par ġhallā lād kar Mulk-e-Kanān wāpas chale jāo.
18 Wahāṅ apne bāp aur ḳhāndānoṅ ko le kar mere pās ā jāo. Maiṅ tum ko Misr kī sab se achchhī zamīn de dūṅgā, aur tum is mulk kī behtarīn paidāwār khā sakoge.
19 Unheṅ yih hidāyat bhī de ki apne bāl-bachchoṅ ke lie Misr se gāṛiyāṅ le jāo aur apne bāp ko bhī biṭhā kar yahāṅ le āo.
20 Apne māl kī zyādā fikr na karo, kyoṅki tumheṅ Mulk-e-Misr kā behtarīn māl milegā.”
21 Yūsuf ke bhāiyoṅ ne aisā hī kiyā. Yūsuf ne unheṅ bādshāh ke hukm ke mutābiq gāṛiyāṅ aur safr ke lie ḳhurāk dī.
22 Us ne har ek bhāī ko kapṛoṅ kā ek joṛā bhī diyā. Lekin Binyamīn ko us ne chāṅdī ke 300 sikke aur pāṅch joṛe die.
23 Us ne apne bāp ko das gadhe bhijwā die jo Misr ke behtarīn māl se lade hue the aur das gadhiyāṅ jo anāj, roṭī aur bāp ke safr ke lie khāne se ladī huī thīṅ.
24 Yoṅ us ne apne bhāiyoṅ ko ruḳhsat karke kahā, “Rāste meṅ jhagaṛā na karnā.”
25 Wuh Misr se rawānā ho kar Mulk-e-Kanān meṅ apne bāp ke pās pahuṅche.
26 Unhoṅ ne us se kahā, “Yūsuf zindā hai! Wuh pūre Misr kā hākim hai.” Lekin Yāqūb hakkā-bakkā rah gayā, kyoṅki use yaqīn na āyā.
27 Tāham unhoṅ ne use sab kuchh batāyā jo Yūsuf ne un se kahā thā, aur us ne ḳhud wuh gāṛiyāṅ dekhīṅ jo Yūsuf ne use Misr le jāne ke lie bhijwā dī thīṅ. Phir Yāqūb kī jān meṅ jān ā gaī,
28 aur us ne kahā, “Merā beṭā Yūsuf zindā hai! Yihī kāfī hai. Marne se pahle maiṅ jā kar us se milūṅgā.”