5
Ādam se Nūh tak kā Nasabnāmā
1 Zail meṅ Ādam kā nasabnāmā darj hai.
Jab Allāh ne insān ko ḳhalaq kiyā to us ne use apnī sūrat par banāyā.
2 Us ne unheṅ mard aur aurat paidā kiyā. Aur jis din us ne unheṅ ḳhalaq kiyā us ne unheṅ barkat de kar un kā nām Ādam yānī Insān rakhā.
3 Ādam kī umr 130 sāl thī jab us kā beṭā Set paidā huā. Set sūrat ke lihāz se apne bāp kī mānind thā, wuh us se mushābahat rakhtā thā.
4 Set kī paidāish ke bād Ādam mazīd 800 sāl zindā rahā. Us ke aur beṭe-beṭiyāṅ bhī paidā hue.
5 Wuh 930 sāl kī umr meṅ faut huā.
6 Set 105 sāl kā thā jab us kā beṭā Anūs paidā huā.
7 Is ke bād wuh mazīd 807 sāl zindā rahā. Us ke aur beṭe-beṭiyāṅ bhī paidā hue.
8 Wuh 912 sāl kī umr meṅ faut huā.
9 Anūs 90 baras kā thā jab us kā beṭā Qīnān paidā huā.
10 Is ke bād wuh mazīd 815 sāl zindā rahā. Us ke aur beṭe-beṭiyāṅ bhī paidā hue.
11 Wuh 905 sāl kī umr meṅ faut huā.
12 Qīnān 70 sāl kā thā jab us kā beṭā Mahalalel paidā huā.
13 Is ke bād wuh mazīd 840 sāl zindā rahā. Us ke aur beṭe-beṭiyāṅ bhī paidā hue.
14 Wuh 910 sāl kī umr meṅ faut huā.
15 Mahalalel 65 sāl kā thā jab us kā beṭā Yārid paidā huā.
16 Is ke bād wuh mazīd 830 sāl zindā rahā. Us ke aur beṭe-beṭiyāṅ bhī paidā hue.
17 Wuh 895 sāl kī umr meṅ faut huā.
18 Yārid 162 sāl kā thā jab us kā beṭā Hanūk paidā huā.
19 Is ke bād wuh mazīd 800 sāl zindā rahā. Us ke aur beṭe-beṭiyāṅ bhī paidā hue.
20 Wuh 962 sāl kī umr meṅ faut huā.
21 Hanūk 65 sāl kā thā jab us kā beṭā Matūsilah paidā huā.
22 Is ke bād wuh mazīd 300 sāl Allāh ke sāth chaltā rahā. Us ke aur beṭe-beṭiyāṅ bhī paidā hue.
23 Wuh kul 365 sāl duniyā meṅ rahā.
24 Hanūk Allāh ke sāth sāth chaltā thā. 365 sāl kī umr meṅ wuh ġhāyb huā, kyoṅki Allāh ne use uṭhā liyā.
25 Matūsilah 187 sāl kā thā jab us kā beṭā Lamak paidā huā.
26 Wuh mazīd 782 sāl zindā rahā. Us ke aur beṭe aur beṭiyāṅ bhī paidā hue.
27 Wuh 969 sāl kī umr meṅ faut huā.
28 Lamak 182 sāl kā thā jab us kā beṭā paidā huā.
29 Us ne us kā nām Nūh yānī Tasallī rakhā, kyoṅki us ne us ke bāre meṅ kahā, “Hamārā khetībāṛī kā kām nihāyat taklīfdeh hai, is lie ki Allāh ne zamīn par lānat bhejī hai. Lekin ab ham beṭe kī mārifat tasallī pāeṅge.”
30 Is ke bād wuh mazīd 595 sāl zindā rahā. Us ke aur beṭe-beṭiyāṅ bhī paidā hue.
31 Wuh 777 sāl kī umr meṅ faut huā.
32 Nūh 500 sāl kā thā jab us ke beṭe Sim, Hām aur Yāfat paidā hue.