8
Sailāb kā Iḳhtitām
Lekin Allāh ko Nūh aur tamām jānwar yād rahe jo kashtī meṅ the. Us ne hawā chalā dī jis se pānī kam hone lagā. Zamīn ke chashme aur āsmān par ke pānī ke darīche band ho gae. Aur bārish ruk gaī. Pānī ghaṭtā gayā. 150 din ke bād wuh kāfī kam ho gayā thā. Sātweṅ mahīne ke 17weṅ din kashtī Arārāt ke ek pahāṛ par ṭik gaī. Dasweṅ mahīne ke pahle din pānī itnā kam ho gayā thā ki pahāṛoṅ kī choṭiyāṅ nazar āne lagī thīṅ.
6-7 Chālīs din ke bād Nūh ne kashtī kī khiṛkī khol kar ek kawwā chhoṛ diyā, aur wuh uṛ kar chalā gayā. Lekin jab tak zamīn par pānī thā wuh ātā jātā rahā. Phir Nūh ne ek kabūtar chhoṛ diyā tāki patā chale ki zamīn pānī se nikal āī hai yā nahīṅ. Lekin kabūtar ko kahīṅ bhī baiṭhne kī jagah na milī, kyoṅki ab tak pūrī zamīn par pānī hī pānī thā. Wuh kashtī aur Nūh ke pās wāpas ā gayā, aur Nūh ne apnā hāth baṛhāyā aur kabūtar ko pakaṛ kar apne pās kashtī meṅ rakh liyā.
10 Us ne ek haftā aur intazār karke kabūtar ko dubārā chhoṛ diyā. 11 Shām ke waqt wuh lauṭ āyā. Is dafā us kī choṅch meṅ zaitūn kā tāzā pattā thā. Tab Nūh ko mālūm huā ki zamīn pānī se nikal āī hai.
12 Us ne mazīd ek hafte ke bād kabūtar ko chhoṛ diyā. Is dafā wuh wāpas na āyā.
13 Jab Nūh 601 sāl kā thā to pahle mahīne ke pahle din zamīn kī satah par pānī ḳhatm ho gayā. Tab Nūh ne kashtī kī chhat khol dī aur dekhā ki zamīn kī satah par pānī nahīṅ hai. 14 Dūsre mahīne ke 27weṅ din zamīn bilkul ḳhushk ho gaī.
15 Phir Allāh ne Nūh se kahā, 16 “Apnī bīwī, beṭoṅ aur bahuoṅ ke sāth kashtī se nikal ā. 17 Jitne bhī jānwar sāth haiṅ unheṅ nikāl de, ḳhāh parinde hoṅ, ḳhāh zamīn par phirne yā reṅgne wāle jānwar. Wuh duniyā meṅ phail jāeṅ, nasl baṛhāeṅ aur tādād meṅ baṛhte jāeṅ.” 18 Chunāṅche Nūh apne beṭoṅ, apnī bīwī aur bahuoṅ samet nikal āyā. 19 Tamām jānwar aur parinde bhī apnī apnī qism ke gurohoṅ meṅ kashtī se nikle.
20 Us waqt Nūh ne Rab ke lie qurbāngāh banāī. Us ne tamām phirne aur uṛne wāle pāk jānwaroṅ meṅ se kuchh chun kar unheṅ zabah kiyā aur qurbāngāh par pūrī tarah jalā diyā. 21 Yih qurbāniyāṅ dekh kar Rab ḳhush huā aur apne dil meṅ kahā, “Ab se maiṅ kabhī zamīn par insān kī wajah se lānat nahīṅ bhejūṅgā, kyoṅki us kā dil bachpan hī se burāī kī taraf māyl hai. Ab se maiṅ kabhī is tarah tamām jān rakhne wālī maḳhlūqāt ko rū-e-zamīn par se nahīṅ miṭāūṅgā. 22 Duniyā ke muqarrarā auqāt jārī raheṅge. Bīj bone aur fasal kāṭne kā waqt, ṭhanḍ aur tapish, garmiyoṅ aur sardiyoṅ kā mausam, din aur rāt, yih sab kuchh duniyā ke Aḳhīr tak qāym rahegā.”