2
Thissalunīke meṅ Paulus kā Kām
Bhāiyo, āp jānte haiṅ ki hamārā āp ke pās ānā befāydā na huā. Āp us dukh se bhī wāqif haiṅ jo hameṅ āp ke pās āne se pahle sahnā paṛā, ki Filippī Shahr meṅ hamāre sāth kitnī badsulūkī huī thī. To bhī ham ne apne Ḳhudā kī madad se āp ko us kī ḳhushḳhabrī sunāne kī jurrat kī hālāṅki bahut muḳhālafat kā sāmnā karnā paṛā. Kyoṅki jab ham āp ko ubhārte haiṅ to is ke pīchhe na to koī ġhalat nīyat hotī hai, na koī nāpāk maqsad yā chālākī. Nahīṅ, Allāh ne ḳhud hameṅ jāṅch kar is lāyq samjhā ki ham us kī ḳhushḳhabrī sunāne kī zimmedārī saṅbhāleṅ. Isī binā par ham bolte haiṅ, insānoṅ ko ḳhush rakhne ke lie nahīṅ balki Allāh ko jo hamāre diloṅ ko parakhtā hai. Āp ko bhī mālūm hai ki ham ne na ḳhushāmad se kām liyā, na ham pas-e-pardā lālchī the—Allāh hamārā gawāh hai! Ham is maqsad se kām nahīṅ kar rahe the ki log hamārī izzat kareṅ, ḳhāh āp hoṅ yā dīgar log. Masīh ke rasūloṅ kī haisiyat se ham āp ke lie mālī bojh ban sakte the, lekin ham āp ke darmiyān hote hue narmdil rahe, aisī māṅ kī tarah jo apne chhoṭe bachchoṅ kī parwarish kartī hai. Hamārī āp ke lie chāhat itnī shadīd thī ki ham āp ko na sirf Allāh kī ḳhushḳhabrī kī barkat meṅ sharīk karne ko taiyār the balki apnī zindagiyioṅ meṅ bhī. Hāṅ, āp hameṅ itne azīz the! Bhāiyo, beshak āp ko yād hai ki ham ne kitnī saḳht mehnat-mashaqqat kī. Din rāt ham kām karte rahe tāki Allāh kī ḳhushḳhabrī sunāte waqt kisī par bojh na baneṅ.
10 Āp aur Allāh hamāre gawāh haiṅ ki āp īmān lāne wāloṅ ke sāth hamārā sulūk kitnā muqaddas, rāst aur be'ilzām thā. 11 Kyoṅki āp jānte haiṅ ki ham ne āp meṅ se har ek se aisā sulūk kiyā jaisā bāp apne bachchoṅ ke sāth kartā hai. 12 Ham āp kī hauslā-afzāī karte, āp ko tasallī dete aur āp ko samjhāte rahe ki āp Allāh ke lāyq zindagī guzāreṅ, kyoṅki wuh āp ko apnī bādshāhī aur jalāl meṅ hissā lene ke lie bulātā hai.
13 Ek aur wajah hai ki ham har waqt Ḳhudā kā shukr karte haiṅ. Jab ham ne āp tak Allāh kā paiġhām pahuṅchāyā to āp ne use sun kar yoṅ qabūl kiyā jaisā yih haqīqat meṅ hai yānī Allāh kā kalām jo insānoṅ kī taraf se nahīṅ hai aur jo āp īmāndāroṅ meṅ kām kar rahā hai. 14 Bhāiyo, na sirf yih balki āp Yahūdiyā meṅ Allāh kī un jamātoṅ ke namūne par chal paṛe jo Masīh Īsā meṅ haiṅ. Kyoṅki āp ko apne hamwatanoṅ ke hāthoṅ wuh kuchh sahnā paṛā jo unheṅ pahle hī apne hamwatan Yahūdiyoṅ se sahnā paṛā thā. 15 Hāṅ, Yahūdiyoṅ ne na sirf Ḳhudāwand Īsā aur nabiyoṅ ko qatl kiyā balki hameṅ bhī apne bīch meṅ se nikāl diyā. Yih log Allāh ko pasand nahīṅ āte aur tamām logoṅ ke ḳhilāf ho kar 16 hameṅ is se rokne kī koshish karte haiṅ ki Ġhairyahūdiyoṅ ko Allāh kī ḳhushḳhabrī sunāeṅ, aisā na ho ki wuh najāt pāeṅ. Yoṅ wuh har waqt apne gunāhoṅ kā pyālā kināre tak bharte jā rahe haiṅ. Lekin Allāh kā pūrā ġhazab un par nāzil ho chukā hai.
Paulus kī Un se Dubārā Milne kī Ḳhāhish
17 Bhāiyo, jab hameṅ kuchh der ke lie āp se alag kar diyā gayā (go ham dil se āp ke sāth rahe) to ham ne baṛī ārzū se āp se milne kī pūrī koshish kī. 18 Kyoṅki ham āp ke pās ānā chāhte the. Hāṅ, maiṅ Paulus ne bār bār āne kī koshish kī, lekin Iblīs ne hameṅ rok liyā. 19 Āḳhir āp hī hamārī ummīd aur ḳhushī kā bāis haiṅ. Āp hī hamārā inām aur hamārā tāj haiṅ jis par ham apne Ḳhudāwand Īsā ke huzūr faḳhr kareṅge jab wuh āegā. 20 Hāṅ, āp hamārā jalāl aur ḳhushī haiṅ.