Ibrāniyoṅ
1
Allāh kā Apne Farzand ke zariye Kalām
1 Māzī meṅ Allāh muḳhtalif mauqoṅ par aur kaī tarīqoṅ se hamāre bāpdādā se hamkalām huā. Us waqt us ne yih nabiyoṅ ke wasīle se kiyā
2 lekin in āḳhirī dinoṅ meṅ wuh apne Farzand ke wasīle se ham se hamkalām huā, usī ke wasīle se jise us ne sab chīzoṅ kā wāris banā diyā aur jis ke wasīle se us ne kāynāt ko bhī ḳhalaq kiyā.
3 Farzand Allāh kā shāndār jalāl mun'akis kartā aur us kī zāt kī ain shabīh hai. Wuh apne qawī kalām se sab kuchh saṅbhāle rakhtā hai. Jab wuh duniyā meṅ thā to us ne hamāre lie gunāhoṅ se pāk-sāf ho jāne kā intazām qāym kiyā. Is ke bād wuh āsmān par Qādir-e-mutlaq ke dahne hāth jā baiṭhā.
Allāh ke Farzand kī Azmat
4 Farzand farishtoṅ se kahīṅ azīm hai, itnā jitnā us kā mīrās meṅ pāyā huā nām un ke nāmoṅ se azīm hai.
5 Kyoṅki Allāh ne kis farishte se kabhī kahā,
“Tū merā Farzand hai,
āj maiṅ terā Bāp ban gayā hūṅ.”
Yih bhī us ne kisī farishte ke bāre meṅ kabhī nahīṅ kahā,
“Maiṅ us kā Bāp hūṅgā
aur wuh merā Farzand hogā.”
6 Aur jab Allāh apne pahlauṭhe Farzand ko āsmānī duniyā meṅ lātā hai to wuh farmātā hai,
“Allāh ke tamām farishte us kī parastish kareṅ.”
7 Farishtoṅ ke bāre meṅ wuh farmātā hai,
“Wuh apne farishtoṅ ko hawāeṅ
aur apne ḳhādimoṅ ko āg ke shole banā detā hai.”
8 Lekin Farzand ke bāre meṅ wuh kahtā hai,
“Ai Ḳhudā, terā taḳht azal se abad tak qāym-o-dāym rahegā,
aur insāf kā shāhī asā terī bādshāhī par hukūmat karegā.
9 Tū ne rāstbāzī se muhabbat
aur bedīnī se nafrat kī,
is lie Allāh tere Ḳhudā ne tujhe ḳhushī ke tel se masah karke
tujhe tere sāthiyoṅ se kahīṅ zyādā sarfarāz kar diyā.”
10 Wuh yih bhī farmātā hai,
“Ai Rab, tū ne ibtidā meṅ duniyā kī buniyād rakhī,
aur tere hī hāthoṅ ne āsmānoṅ ko banāyā.
11 Yih to tabāh ho jāeṅge,
lekin tū qāym rahegā.
Yih sab libās kī tarah ghis-phaṭ jāeṅge
12 aur tū inheṅ chādar kī tarah lapeṭegā,
purāne kapṛe kī tarah yih badle jāeṅge.
Lekin tū wuhī kā wuhī rahtā hai,
aur terī zindagī kabhī ḳhatm nahīṅ hotī.”
13 Allāh ne kabhī bhī apne kisī farishte se yih bāt na kahī,
“Mere dahne hāth baiṭh,
jab tak maiṅ tere dushmanoṅ ko
tere pāṅwoṅ kī chaukī na banā dūṅ.”
14 Phir farishte kyā haiṅ? Wuh to sab ḳhidmatguzār rūh haiṅ jinheṅ Allāh un kī ḳhidmat karne ke lie bhej detā hai jinheṅ mīrās meṅ najāt pānī hai.