13
Ham Allāh ko Kis Tarah Pasand Āeṅ
1 Ek dūsre se bhāiyoṅ kī-sī muhabbat rakhte raheṅ.
2 Mehmān-nawāzī mat bhūlnā, kyoṅki aisā karne se bāz ne nādānistā taur par farishtoṅ kī mehmān-nawāzī kī hai.
3 Jo qaid meṅ haiṅ, unheṅ yoṅ yād rakhnā jaise āp ḳhud un ke sāth qaid meṅ hoṅ. Aur jin ke sāth badsulūkī ho rahī hai unheṅ yoṅ yād rakhnā jaise āp se yih badsulūkī ho rahī ho.
4 Lāzim hai ki sab ke sab izdiwājī zindagī kā ehtirām kareṅ. Shauhar aur bīwī ek dūsre ke wafādār raheṅ, kyoṅki Allāh zinākāroṅ aur shādī kā bandhan toṛne wāloṅ kī adālat karegā.
5 Āp kī zindagī paisoṅ ke lālach se āzād ho. Usī par iktifā kareṅ jo āp ke pās hai, kyoṅki Allāh ne farmāyā hai, “Maiṅ tujhe kabhī nahīṅ chhoṛūṅgā, maiṅ tujhe kabhī tark nahīṅ karūṅga.”
6 Is lie ham etamād se kah sakte haiṅ,
“Rab merī madad karne wālā hai,
is lie maiṅ nahīṅ ḍarūṅga.
Insān merā kyā bigāṛ saktā hai?”
7 Apne rāhnumāoṅ ko yād rakheṅ jinhoṅ ne āp ko Allāh kā kalām sunāyā. Is par ġhaur kareṅ ki un ke chāl-chalan se kitnī bhalāī paidā huī hai, aur un ke īmān ke namūne par chaleṅ.
8 Īsā Masīh māzī meṅ, āj aur abad tak yaksāṅ hai.
9 Tarah tarah kī aur begānā tālīmāt āp ko idhar-udhar na bhaṭkāeṅ. Āp to Allāh ke fazl se taqwiyat pāte haiṅ aur is se nahīṅ ki āp muḳhtalif khānoṅ se parhez karte haiṅ. Is meṅ koī ḳhās fāydā nahīṅ hai.
10 Hamāre pās ek aisī qurbāngāh hai jis kī qurbānī khānā mulāqāt ke ḳhaime meṅ ḳhidmat karne wāloṅ ke lie manā hai.
11 Kyoṅki go imām-e-āzam jānwaroṅ kā ḳhūn gunāh kī qurbānī ke taur par Muqaddastarīn Kamre meṅ le jātā hai, lekin un kī lāshoṅ ko ḳhaimāgāh ke bāhar jalāyā jātā hai.
12 Is wajah se Īsā ko bhī shahr ke bāhar salībī maut sahnī paṛī tāki qaum ko apne ḳhūn se maḳhsūs-o-muqaddas kare.
13 Is lie āeṅ, ham ḳhaimāgāh se nikal kar us ke pās jāeṅ aur us kī be'izzatī meṅ sharīk ho jāeṅ.
14 Kyoṅki yahāṅ hamārā koī qāym rahne wālā shahr nahīṅ hai balki ham āne wāle shahr kī shadīd ārzū rakhte haiṅ.
15 Chunāṅche āeṅ, ham Īsā ke wasīle se Allāh ko hamd-o-sanā kī qurbānī pesh kareṅ, yānī hamāre hoṅṭoṅ se us ke nām kī tārīf karne wālā phal nikle.
16 Nīz, bhalāī karnā aur dūsroṅ ko apnī barakāt meṅ sharīk karnā mat bhūlnā, kyoṅki aisī qurbāniyāṅ Allāh ko pasand haiṅ.
17 Apne rāhnumāoṅ kī suneṅ aur un kī bāt māneṅ. Kyoṅki wuh āp kī dekh-bhāl karte karte jāgte rahte haiṅ, aur is meṅ wuh Allāh ke sāmne jawābdeh haiṅ. Un kī bāt māneṅ tāki wuh ḳhushī se apnī ḳhidmat saranjām deṅ. Warnā wuh karāhte karāhte apnī zimmedārī nibhāeṅge, aur yih āp ke lie mufīd nahīṅ hogā.
18 Hamāre lie duā kareṅ, go hameṅ yaqīn hai ki hamārā zamīr sāf hai aur ham har lihāz se achchhī zindagī guzārne ke ḳhāhishmand haiṅ.
19 Maiṅ ḳhāskar is par zor denā chāhtā hūṅ ki āp duā kareṅ ki Allāh mujhe āp ke pās jald wāpas āne kī taufīq baḳhshe.
Āḳhirī Duā
20 Ab salāmatī kā Ḳhudā jo abadī ahd ke ḳhūn se hamāre Ḳhudāwand aur bheṛoṅ ke azīm charwāhe Īsā ko murdoṅ meṅ se wāpas lāyā
21 wuh āp ko har achchhī chīz se nawāze tāki āp us kī marzī pūrī kar sakeṅ. Aur wuh Īsā Masīh ke zariye ham meṅ wuh kuchh paidā kare jo use pasand āe. Us kā jalāl azal se abad tak hotā rahe! Āmīn.
Āḳhirī Alfāz
22 Bhāiyo, mehrbānī karke nasīhat kī in bātoṅ par sanjīdagī se ġhaur kareṅ, kyoṅki maiṅ ne āp ko sirf chand alfāz likhe haiṅ.
23 Yih bāt āp ke ilm meṅ honī chāhie ki hamāre bhāī Tīmuthiyus ko rihā kar diyā gayā hai. Agar wuh jaldī pahuṅche to use sāth le kar āp se milne āūṅgā.
24 Apne tamām rāhnumāoṅ aur tamām muqaddasīn ko merā salām kahnā. Iṭalī ke īmāndār āp ko salām kahte haiṅ.
25 Allāh kā fazl āp sab ke sāth rahe.