35
Qaum kī Rihāī
1 Registān aur pyāsī zamīn bāġh bāġh hoṅge, bayābān ḳhushī manā kar khil uṭhegā. Us ke phūl sosan kī tarah
2 phūṭ nikleṅge, aur wuh zor se shādiyānā bajā kar ḳhushī ke nāre lagāegā. Use Lubnān kī shān, Karmil aur Shārūn kā pūrā husn-o-jamāl diyā jāegā. Log Rab kā jalāl aur hamāre Ḳhudā kī shān-o-shaukat dekheṅge.
3 Niḍhāl hāthoṅ ko taqwiyat do, ḍāṅwāṅḍol ghuṭnoṅ ko mazbūt karo!
4 Dhaṛakte hue diloṅ se kaho, “Hauslā rakho, mat ḍaro. Dekho, tumhārā Ḳhudā intaqām lene ke lie ā rahā hai. Wuh har ek ko jazā-o-sazā de kar tumheṅ bachāne ke lie ā rahā hai.”
5 Tab andhoṅ kī āṅkhoṅ ko aur bahroṅ ke kānoṅ ko kholā jāegā.
6 Langaṛe hiran kī-sī chhalāṅgeṅ lagāeṅge, aur gūṅge ḳhushī ke nāre lagāeṅge. Registān meṅ chashme phūṭ nikleṅge, aur bayābān meṅ se nadiyāṅ guzareṅgī.
7 Jhulastī huī ret kī jagah johaṛ banegā, aur pyāsī zamīn kī jagah pānī ke sote phūṭ nikleṅge. Jahāṅ pahle gīdaṛ ārām karte the wahāṅ harī ghās, sarkanḍe aur ābī narsal kī nasho-numā hogī.
8 Mulk meṅ se shāhrāh guzaregī jo ‘Shāhrāh-e-Muqaddas’ kahlāegī. Nāpāk log us par safr nahīṅ kareṅge, kyoṅki wuh sahīh rāh par chalne wāloṅ ke lie maḳhsūs hai. Ahmaq us par bhaṭakne nahīṅ pāeṅge.
9 Us par na sherbabar hogā, na koī aur wahshī jānwar āegā yā pāyā jāegā. Sirf wuh us par chaleṅge jinheṅ Allāh ne ewazānā de kar chhuṛā liyā hai.
10 Jitnoṅ ko Rab ne fidyā de kar rihā kiyā hai wuh wāpas āeṅge aur gīt gāte hue Siyyūn meṅ dāḳhil hoṅge. Un ke sar par abadī ḳhushī kā tāj hogā, aur wuh itne masrūr aur shādmān hoṅge ki mātam aur giryā-o-zārī un ke āge āge bhāg jāegī.