40
Allāh kī Qaum ko Tasallī
1 Tumhārā Rab farmātā hai, “Tasallī do, merī qaum ko tasallī do!
2 Narmī se Yarūshalam se bāt karo, buland āwāz se use batāo ki terī ġhulāmī ke din pūre ho gae haiṅ, terā qusūr muāf ho gayā hai. Kyoṅki tujhe Rab ke hāth se tamām gunāhoṅ kī dugnī sazā mil gaī hai.”
3 Ek āwāz pukār rahī hai, “Registān meṅ Rab kī rāh taiyār karo! Bayābān meṅ hamāre Ḳhudā kā rāstā sīdhā banāo.
4 Lāzim hai ki har wādī bhar dī jāe, zarūrī hai ki har pahāṛ aur buland jagah maidān ban jāe. Jo ṭeṛhā hai use sīdhā kiyā jāe, jo nāhamwār hai use hamwār kiyā jāe.
5 Tab Allāh kā jalāl zāhir ho jāegā, aur tamām insān mil kar use dekheṅge. Yih Rab ke apne muṅh kā farmān hai.”
6 Ek āwāz ne kahā, “Zor se āwāz de!” Maiṅ ne pūchhā, “Maiṅ kyā kahūṅ?” “Yih ki tamām insān ghās hī haiṅ, un kī tamām shān-o-shaukat janglī phūl kī mānind hai.
7 Jab Rab kā sāṅs un par se guzare to ghās murjhā jātī aur phūl gir jātā hai, kyoṅki insān ghās hī hai.
8 Ghās to murjhā jātī aur phūl gir jātā hai, lekin hamāre Ḳhudā kā kalām abad tak qāym rahtā hai.”
9 Ai Siyyūn, ai ḳhushḳhabrī ke paiġhambar, bulandiyoṅ par chaṛh jā! Ai Yarūshalam, ai ḳhushḳhabrī ke paiġhambar, zor se āwāz de! Pukār kar kah aur ḳhauf mat khā. Yahūdāh ke shahroṅ ko batā, “Wuh dekho, tumhārā Ḳhudā!”
10 Dekho, Rab Qādir-e-mutlaq baṛī qudrat ke sāth ā rahā hai, wuh baṛī tāqat ke sāth hukūmat karegā. Dekho, us kā ajr us ke pās hai, aur us kā inām us ke āge āge chaltā hai.
11 Wuh charwāhe kī tarah apne galle kī gallābānī karegā. Wuh bheṛ ke bachchoṅ ko apne bāzuoṅ meṅ mahfūz rakh kar sīne ke sāth lagāe phiregā aur un kī māoṅ ko baṛe dhyān se apne sāth le chalegā.
Allāh kī Nāqābil-e-Bayān Azmat
12 Kis ne apne hāth se duniyā kā pānī nāp liyā hai? Kis ne apne hāth se āsmān kī paimāish kī hai? Kis ne zamīn kī miṭṭī kī miqdār mālūm kī yā tarāzū se pahāṛoṅ kā kul wazn muta'ayyin kiyā hai?
13 Kis ne Rab ke Rūh kī tahqīq kar pāī? Kyā us kā koī mushīr hai jo use tālīm de?
14 Kyā use kisī se mashwarā lene kī zarūrat hai tāki use samajh ā kar rāst rāh kī tālīm mil jāe? Hargiz nahīṅ! Kyā kisī ne kabhī use ilm-o-irfān yā samajhdār zindagī guzārne kā fan sikhāyā hai? Hargiz nahīṅ!
15 Yaqīnan tamām aqwām Rab ke nazdīk bālṭī ke ek qatre yā tarāzū meṅ gard kī mānind haiṅ. Jazīroṅ ko wuh ret ke zarroṅ kī tarah uṭhā letā hai.
16 Ḳhāh Lubnān ke tamām daraḳht aur jānwar Rab ke lie qurbān kyoṅ na hote to bhī munāsib qurbānī ke lie kāfī na hote.
17 Us ke sāmne tamām aqwām kuchh bhī nahīṅ haiṅ. Us kī nazar meṅ wuh hech aur nāchīz haiṅ.
18 Allāh kā muwāzanā kis se ho saktā hai? Us kā muqābalā kis taswīr yā mujassame se ho saktā hai?
19 But to yoṅ bantā hai ki pahle dastkār use ḍhāl detā hai, phir sunār us par sonā chaṛhā kar use chāṅdī kī zanjīroṅ se sajā detā hai.
20 Jo ġhurbat ke bāis yih nahīṅ karwā saktā wuh kam az kam koī aisī lakaṛī chun letā hai jo gal saṛ nahīṅ jātī. Phir wuh kisī māhir dastkār se but ko yoṅ banwātā hai ki wuh apnī jagah se na hile.
21 Kyā tum ko mālūm nahīṅ? Kyā tum ne bāt nahīṅ sunī? Kyā tumheṅ ibtidā se sunāyā nahīṅ gayā? Kyā tumheṅ duniyā ke qiyām se le kar āj tak samajh nahīṅ āī?
22 Rab rū-e-zamīn ke ūpar bulandiyoṅ par taḳhtnashīn hai jahāṅ se insān ṭiḍḍiyoṅ jaise lagte haiṅ. Wuh āsmān ko parde kī tarah tān kar aur har taraf khīṅch kar rahne ke qābil ḳhaimā banā detā hai.
23 Wuh sardāroṅ ko nāchīz aur duniyā ke qāziyoṅ ko hech banā detā hai.
24 Wuh nae paudoṅ kī mānind haiṅ jin kī panīrī abhī abhī lagī hai, bīj abhī abhī boe gae haiṅ, paudoṅ ne abhī abhī jaṛ pakaṛī hai ki Rab un par phūṅk mārtā hai aur wuh murjhā jāte haiṅ. Tab āṅdhī unheṅ bhūse kī tarah uṛā le jātī hai.
25 Quddūs Ḳhudā farmātā hai, “Tum merā muwāzanā kis se karnā chāhte ho? Kaun mere barābar hai?”
26 Apnī nazar uṭhā kar āsmān kī taraf dekho. Kis ne yih sab kuchh ḳhalaq kiyā? Wuh jo āsmānī lashkar kī pūrī tādād bāhar lā kar har ek ko nām le kar bulātā hai. Us kī qudrat aur zabardast tāqat itnī azīm hai ki ek bhī dūr nahīṅ rahtā.
27 Ai Yāqūb kī qaum, tū kyoṅ kahtī hai ki merī rāh Rab kī nazar se chhupī rahtī hai? Ai Isrāīl, tū kyoṅ shikāyat kartā hai ki merā muāmalā mere Ḳhudā ke ilm meṅ nahīṅ ātā?
28 Kyā tujhe mālūm nahīṅ, kyā tū ne nahīṅ sunā ki Rab lāzawāl Ḳhudā aur duniyā kī intahā tak kā Ḳhāliq hai? Wuh kabhī nahīṅ thaktā, kabhī niḍhāl nahīṅ hotā. Koī bhī us kī samajh kī gahrāiyoṅ tak nahīṅ pahuṅch saktā.
29 Wuh thakemāndoṅ ko tāzagī aur bebasoṅ ko taqwiyat detā hai.
30 Go naujawān thak kar niḍhāl ho jāeṅ aur jawān ādmī ṭhokar khā kar gir jāeṅ,
31 lekin Rab se ummīd rakhne wāle naī tāqat pāeṅge aur uqāb ke-se par phailā kar bulandiyoṅ tak uṛeṅge. Na wuh dauṛte hue thakeṅge, na chalte hue niḍhāl ho jāeṅge.