2
Ayyūb par Bīmārī kā Hamlā
1 Ek din farishte dubārā apne āp ko Rab ke huzūr pesh karne āe. Iblīs bhī un ke darmiyān maujūd thā.
2 Rab ne Iblīs se pūchhā, “Tū kahāṅ se āyā hai?” Iblīs ne jawāb diyā, “Maiṅ duniyā meṅ idhar-udhar ghūmtā-phirtā rahā.”
3 Rab bolā, “Kyā tū ne mere bande Ayyūb par tawajjuh dī? Zamīn par us jaisā koī aur nahīṅ. Wuh be'ilzām hai, wuh sīdhī rāh par chaltā, Allāh kā ḳhauf māntā aur har burāī se dūr rahtā hai. Abhī tak wuh apne be'ilzām kirdār par qāym hai hālāṅki tū ne mujhe use bilāwajah tabāh karne par uksāyā.”
4 Iblīs ne jawāb diyā, “Khāl kā badlā khāl hī hotā hai! Insān apnī jān ko bachāne ke lie apnā sab kuchh de detā hai.
5 Lekin wuh kyā karegā agar tū apnā hāth zarā baṛhā kar us kā jism chhū de? Tab wuh tere muṅh par hī tujh par lānat karegā.”
6 Rab ne Iblīs se kahā, “Ṭhīk hai, wuh tere hāth meṅ hai. Lekin us kī jān ko mat chheṛnā.”
7 Iblīs Rab ke huzūr se chalā gayā aur Ayyūb ko satāne lagā. Chāṅd se le kar talwe tak Ayyūb ke pūre jism par badtarīn qism ke phoṛe nikal āe.
8 Tab Ayyūb rākh meṅ baiṭh gayā aur ṭhīkre se apnī jild ko khurachne lagā.
9 Us kī bīwī bolī, “Kyā tū ab tak apne be'ilzām kirdār par qāym hai? Allāh par lānat karke dam chhoṛ de!”
10 Lekin us ne jawāb diyā, “Tū ahmaq aurat kī-sī bāteṅ kar rahī hai. Allāh kī taraf se bhalāī to ham qabūl karte haiṅ, to kyā munāsib nahīṅ ki us ke hāth se musībat bhī qabūl kareṅ?” Is sāre muāmale meṅ Ayyūb ne apne muṅh se gunāh na kiyā.
Ayyūb ke Tīn Dost
11 Ayyūb ke tīn dost the. Un ke nām Ilīfaz Temānī, Bildad Sūḳhī aur Zūfar Nāmātī the. Jab unheṅ ittalā milī ki Ayyūb par yih tamām āfat ā gaī hai to har ek apne ghar se rawānā huā. Unhoṅ ne mil kar faislā kiyā ki ikaṭṭhe afsos karne aur Ayyūb ko tasallī dene jāeṅge.
12 Jab unhoṅ ne dūr se apnī nazar uṭhā kar Ayyūb ko dekhā to us kī itnī burī hālat thī ki wuh pahchānā nahīṅ jātā thā. Tab wuh zār-o-qatār rone lage. Apne kapṛe phāṛ kar unhoṅ ne apne saroṅ par ḳhāk ḍālī.
13 Phir wuh us ke sāth zamīn par baiṭh gae. Sāt din aur sāt rāt wuh isī hālat meṅ rahe. Is pūre arse meṅ unhoṅ ne Ayyūb se ek bhī bāt na kī, kyoṅki unhoṅ ne dekhā ki wuh shadīd dard kā shikār hai.