25
Bildad: Allāh ke sāmne Koī Rāstbāz Nahīṅ Ṭhahar Saktā
1 Phir Bildad Sūḳhī ne jawāb de kar kahā,
2 “Allāh kī hukūmat dahshatnāk hai. Wuhī apnī bulandiyoṅ par salāmatī qāym rakhtā hai.
3 Kyā koī us ke dastoṅ kī tādād gin saktā hai? Us kā nūr kis par nahīṅ chamaktā?
4 To phir insān Allāh ke sāmne kis tarah rāstbāz ṭhahar saktā hai? Jo aurat se paidā huā wuh kis tarah pāk-sāf sābit ho saktā hai?
5 Us kī nazar meṅ na chāṅd purnūr hai, na sitāre pāk haiṅ.
6 To phir insān kis tarah pāk ṭhahar saktā hai jo kīṛā hī hai? Ādamzād to makoṛā hī hai.”