3
Allāh Isrāīl ko Kanānī Qaumoṅ se Āzmātā Hai
1 Rab ne kaī ek qaumoṅ ko Mulk-e-Kanān meṅ rahne diyā tāki un tamām Isrāīliyoṅ ko āzmāe jo ḳhud Kanān kī jangoṅ meṅ sharīk nahīṅ hue the.
2 Nīz, wuh naī nasl ko jang karnā sikhānā chāhtā thā, kyoṅki wuh jang karne se nāwāqif thī. Zail kī qaumeṅ Kanān meṅ rah gaī thīṅ:
3 Filistī un ke pāṅch hukmrānoṅ samet, tamām Kanānī, Saidānī aur Lubnān ke pahāṛī ilāqe meṅ rahne wāle Hiwwī jo Bāl-harmūn Pahāṛ se le kar Labo-hamāt tak ābād the.
4 Un se Rab Isrāīliyoṅ ko āzmānā chāhtā thā. Wuh deḳhnā chāhtā thā ki kyā yih mere un ahkām par amal karte haiṅ yā nahīṅ jo maiṅ ne Mūsā kī mārifat un ke bāpdādā ko die the.
Ġhutniyel Qāzī
5 Chunāṅche Isrāīlī Kanāniyoṅ, Hittiyoṅ, Amoriyoṅ, Farizziyoṅ, Hiwwiyoṅ aur Yabūsiyoṅ ke darmiyān hī ābād ho gae.
6 Na sirf yih balki wuh in qaumoṅ se apne beṭe-beṭiyoṅ kā rishtā bāndh kar un ke dewatāoṅ kī pūjā bhī karne lage.
7 Isrāīliyoṅ ne aisī harkateṅ kīṅ jo Rab kī nazar meṅ burī thīṅ. Rab ko bhūl kar unhoṅ ne Bāl Dewatā aur Yasīrat Dewī kī ḳhidmat kī.
8 Tab Rab kā ġhazab un par nāzil huā, aur us ne unheṅ Masoputāmiyā ke bādshāh Kūshan-ris'ataim ke hawāle kar diyā. Isrāīlī āṭh sāl tak Kūshan ke ġhulām rahe.
9 Lekin jab unhoṅ ne madad ke lie Rab ko pukārā to us ne un ke lie ek najātdahindā barpā kiyā. Kālib ke chhoṭe bhāī Ġhutniyel bin Qanaz ne unheṅ dushman ke hāth se bachāyā.
10 Us waqt Ġhutniyel par Rab kā Rūh nāzil huā, aur wuh Isrāīl kā qāzī ban gayā. Jab wuh jang karne ke lie niklā to Rab ne Masoputāmiyā ke bādshāh Kūshan-ris'ataim ko us ke hawāle kar diyā, aur wuh us par ġhālib ā gayā.
11 Tab mulk meṅ chālīs sāl tak amn-o-amān qāym rahā. Lekin jab Ġhutniyel bin Qanaz faut huā
12 to Isrāīlī dubārā wuh kuchh karne lage jo Rab kī nazar meṅ burā thā. Is lie us ne Moāb ke bādshāh Ijlūn ko Isrāīl par ġhālib āne diyā.
13 Ijlūn ne Ammoniyoṅ aur Amālīqiyoṅ ke sāth mil kar Isrāīliyoṅ se jang kī aur unheṅ shikast dī. Us ne Khajūroṅ ke Shahr par qabzā kiyā,
14 aur Isrāīl 18 sāl tak us kī ġhulāmī meṅ rahā.
Ahūd Qāzī kī Chālākī
15 Isrāīliyoṅ ne dubārā madad ke lie Rab ko pukārā, aur dubārā us ne unheṅ najātdahindā atā kiyā yānī Binyamīn ke qabīle kā Ahūd bin Jīrā jo bāeṅ hāth se kām karne kā ādī thā. Isī shaḳhs ko Isrāīliyoṅ ne Ijlūn Bādshāh ke pās bhej diyā tāki wuh use ḳharāj ke paise adā kare.
16 Ahūd ne apne lie ek dodhārī talwār banā lī jo taqrīban ḍeṛh fuṭ lambī thī. Jāte waqt us ne use apnī kamr ke dāīṅ taraf bāndh kar apne libās meṅ chhupā liyā.
17 Jab wuh Ijlūn ke darbār meṅ pahuṅch gayā to us ne Moāb ke bādshāh ko ḳharāj pesh kiyā. Ijlūn bahut moṭā ādmī thā.
18 Phir Ahūd ne un ādmiyoṅ ko ruḳhsat kar diyā jinhoṅ ne us ke sāth ḳharāj uṭhā kar use darbār tak pahuṅchāyā thā.
19-20 Ahūd bhī wahāṅ se rawānā huā, lekin Jiljāl ke butoṅ ke qarīb wuh muṛ kar Ijlūn ke pās wāpas gayā.
Ijlūn bālāḳhāne meṅ baiṭhā thā jo zyādā ṭhanḍā thā aur us ke zātī istemāl ke lie maḳhsūs thā. Ahūd ne andar jā kar bādshāh se kahā, “Merī āp ke lie ḳhufiyā ḳhabar hai.” Bādshāh ne kahā, “Ḳhāmosh!” Bāqī tamām hāzirīn kamre se chale gae to Ahūd ne kahā, “Jo ḳhabar mere pās āp ke lie hai wuh Allāh kī taraf se hai!” Yih sun kar Ijlūn khaṛā hone lagā,
21 lekin Ahūd ne usī lamhe apne bāeṅ hāth se kamr ke dāīṅ taraf bandhī huī talwār ko pakaṛ kar use miyān se nikālā aur Ijlūn ke peṭ meṅ dhaṅsā diyā.
22 Talwār itnī dhaṅs gaī ki us kā dastā bhī charbī meṅ ġhāyb ho gayā aur us kī nok ṭāṅgoṅ meṅ se niklī. Talwār ko us meṅ chhoṛ kar
23 Ahūd ne kamre ke darwāzoṅ ko band karke kunḍī lagāī aur sāth wāle kamre meṅ se nikal kar chalā gayā.
24 Thoṛī der ke bād bādshāh ke naukaroṅ ne ā kar dekhā ki darwāzoṅ par kunḍī lagī hai. Unhoṅ ne ek dūsre se kahā, “Wuh hājat rafā kar rahe hoṅge,”
25 is lie kuchh der ke lie ṭhahre. Lekin darwāzā na khulā. Intazār karte karte wuh thak gae. Lekin besūd, bādshāh ne darwāzā na kholā. Āḳhirkār unhoṅ ne chābī ḍhūnḍ kar darwāzoṅ ko khol diyā aur dekhā ki mālik kī lāsh farsh par paṛī huī hai.
26 Naukaroṅ ke jhijakne kī wajah se Ahūd bach niklā aur Jiljāl ke butoṅ se guzar kar saīrā pahuṅch gayā jahāṅ wuh mahfūz thā.
27 Wahāṅ Ifrāīm ke pahāṛī ilāqe meṅ us ne narsingā phūṅk diyā tāki Isrāīlī laṛne ke lie jamā ho jāeṅ. Wuh ikaṭṭhe hue aur us kī rāhnumāī meṅ Wādī-e-Yardan meṅ utar gae.
28 Ahūd bolā, “Mere pīchhe ho leṅ, kyoṅki Allāh ne āp ke dushman Moāb ko āp ke hawāle kar diyā hai.” Chunāṅche wuh us ke pīchhe pīchhe wādī meṅ utar gae. Pahle unhoṅ ne Dariyā-e-Yardan ke kam-gahre maqāmoṅ par qabzā karke kisī ko dariyā pār karne na diyā.
29 Us waqt unhoṅ ne Moāb ke 10,000 tāqatwar aur jang karne ke qābil ādmiyoṅ ko mār ḍālā. Ek bhī na bachā.
30 Us din Isrāīl ne Moāb ko zer kar diyā, aur 80 sāl tak mulk meṅ amn-o-amān qāym rahā.
Shamjar Qāzī
31 Ahūd ke daur ke bād Isrāīl kā ek aur najātdahindā ubhar āyā, Shamjar bin Anāt. Us ne bail ke āṅkus se 600 Filistiyoṅ ko mār ḍālā.