4
Yūnus Allāh kī Mehrbānī Dekh Kar Nārāz Ho Jātā Hai
Yih bāt Yūnus ko nihāyat burī lagī, aur wuh ġhusse huā. Us ne Rab se duā kī, “Ai Rab, kyā yih wuhī bāt nahīṅ jo maiṅ ne us waqt kī jab abhī apne watan meṅ thā? Isī lie maiṅ itnī tezī se bhāg kar Tarsīs ke lie rawānā huā thā. Maiṅ jāntā thā ki tū mehrbān aur rahīm Ḳhudā hai. Tū tahammul aur shafqat se bharpūr hai aur jald hī sazā dene se pachhtātā hai. Ai Rab, ab mujhe jān se mār de! Jīne se behtar yihī hai ki maiṅ kūch kar jāūṅ.”
Lekin Rab ne jawāb diyā, “Kyā tū ġhusse hone meṅ haq bajānib hai?”
Yūnus shahr se nikal kar us ke mashriq meṅ ruk gayā. Wahāṅ wuh apne lie jhoṅpṛī banā kar us ke sāye meṅ baiṭh gayā. Kyoṅki wuh deḳhnā chāhtā thā ki shahr ke sāth kyā kuchh ho jāegā.
Tab Rab Ḳhudā ne ek bel ko phūṭne diyā jo baṛhte baṛhte Yūnus ke ūpar phail gaī tāki sāyā de kar us kī nārāzī dūr kare. Yih dekh kar Yūnus bahut ḳhush huā. Lekin agle din jab pau phaṭne lagī to Allāh ne ek kīṛā bhejā jis ne bel par hamlā kiyā. Bel jald hī murjhā gaī.
Jab sūraj tulū huā to Allāh ne mashriq se jhulastī lū bhejī. Dhūp itnī shadīd thī ki Yūnus ġhash khāne lagā. Āḳhirkār wuh marnā hī chāhtā thā. Wuh bolā, “Jīne se behtar yihī hai ki maiṅ kūch kar jāūṅ.”
Tab Allāh ne us se pūchhā, “Kyā tū bel ke sabab se ġhusse hone meṅ haq bajānib hai?” Yūnus ne jawāb diyā, “Jī hāṅ, maiṅ marne tak ġhusse hūṅ, aur is meṅ maiṅ haq bajānib bhī hūṅ.”
10 Rab ne jawāb diyā, “Tū is bel par ġham khātā hai, hālāṅki tū ne us ke phalne-phūlne ke lie ek unglī bhī nahīṅ hilāī. Yih bel ek rāt meṅ paidā huī aur aglī rāt ḳhatm huī 11 jabki Nīnwā bahut baṛā shahr hai, us meṅ 1,20,000 afrād aur muta'addid jānwar baste haiṅ. Aur yih log itne jāhil haiṅ ki apne dāeṅ aur bāeṅ hāth meṅ imtiyāz nahīṅ kar pāte. Kyā mujhe is baṛe shahr par ġham nahīṅ khānā chāhie.?”