13
Īsā Apne Shāgirdoṅ ke Pāṅw Dhotā Hai
1 Fasah kī Īd ab shurū hone wālī thī. Īsā jāntā thā ki wuh waqt ā gayā hai ki mujhe is duniyā ko chhoṛ kar Bāp ke pās jānā hai. Go us ne hameshā duniyā meṅ apne logoṅ se muhabbat rakhī thī, lekin ab us ne āḳhirī had tak un par apnī muhabbat kā izhār kiyā.
2 Phir shām kā khānā taiyār huā. Us waqt Iblīs Shamāūn Iskariyotī ke beṭe Yahūdāh ke dil meṅ Īsā ko dushman ke hawāle karne kā irādā ḍāl chukā thā.
3 Īsā jāntā thā ki Bāp ne sab kuchh mere sapurd kar diyā hai aur ki maiṅ Allāh meṅ se nikal āyā aur ab us ke pās wāpas jā rahā hūṅ.
4 Chunāṅche us ne dastarḳhwān se uṭh kar apnā libās utār diyā aur kamr par tauliyā bāndh liyā.
5 Phir wuh bāsan meṅ pānī ḍāl kar shāgirdoṅ ke pāṅw dhone aur bandhe hue tauliyā se poṅchh kar ḳhushk karne lagā.
6 Jab Patras kī bārī āī to us ne kahā, “Ḳhudāwand, āp mere pāṅw dhonā chāhte haiṅ?”
7 Īsā ne jawāb diyā, “Is waqt tū nahīṅ samajhtā ki maiṅ kyā kar rahā hūṅ, lekin bād meṅ yih terī samajh meṅ ā jāegā.”
8 Patras ne etarāz kiyā, “Maiṅ kabhī bhī āp ko mere pāṅw dhone nahīṅ dūṅgā!”
Īsā ne jawāb diyā, “Agar maiṅ tujhe na dho'ūṅ to mere sāth terā koī hissā nahīṅ hogā.”
9 Yih sun kar Patras ne kahā, “To phir Ḳhudāwand, na sirf mere pāṅwoṅ balki mere hāthoṅ aur sar ko bhī dhoeṅ!”
10 Īsā ne jawāb diyā, “Jis shaḳhs ne nahā liyā hai use sirf apne pāṅwoṅ ko dhone kī zarūrat hotī hai, kyoṅki wuh pūre taur par pāk-sāf hai. Tum pāk-sāf ho, lekin sab ke sab nahīṅ.”
11 (Īsā ko mālūm thā ki kaun use dushman ke hawāle karegā. Is lie us ne kahā ki sab ke sab pāk-sāf nahīṅ haiṅ.)
12 Un sab ke pāṅw dhone ke bād Īsā dubārā apnā libās pahan kar baiṭh gayā. Us ne sawāl kiyā, “Kyā tum samajhte ho ki maiṅ ne tumhāre lie kyā kiyā hai?
13 Tum mujhe ‘ustād’ aur ‘Ḳhudāwand’ kah kar muḳhātib karte ho aur yih sahīh hai, kyoṅki maiṅ yihī kuchh hūṅ.
14 Maiṅ, tumhāre Ḳhudāwand aur ustād ne tumhāre pāṅw dhoe. Is lie ab tumhārā farz bhī hai ki ek dūsre ke pāṅw dhoyā karo.
15 Maiṅ ne tum ko ek namūnā diyā hai tāki tum bhī wuhī karo jo maiṅ ne tumhāre sāth kiyā hai.
16 Maiṅ tum ko sach batātā hūṅ ki ġhulām apne mālik se baṛā nahīṅ hotā, na paiġhambar apne bhejne wāle se.
17 Agar tum yih jānte ho to is par amal bhī karo, phir hī tum mubārak hoge.
18 Maiṅ tum sab kī bāt nahīṅ kar rahā. Jinheṅ maiṅ ne chun liyā hai unheṅ maiṅ jāntā hūṅ. Lekin kalām-e-muqaddas kī us bāt kā pūrā honā zarūr hai, ‘Jo merī roṭī khātā hai us ne mujh par lāt uṭhāī hai.’
19 Maiṅ tum ko is se pahle ki wuh pesh āe yih abhī batā rahā hūṅ, tāki jab wuh pesh āe to tum īmān lāo ki maiṅ wuhī hūṅ.
20 Maiṅ tum ko sach batātā hūṅ ki jo shaḳhs use qabūl kartā hai jise maiṅ ne bhejā hai wuh mujhe qabūl kartā hai. Aur jo mujhe qabūl kartā hai wuh use qabūl kartā hai jis ne mujhe bhejā hai.”
Īsā ko Dushman ke Hawāle Kiyā Jātā Hai
21 In alfāz ke bād Īsā nihāyat muztarib huā aur kahā, “Maiṅ tum ko sach batātā hūṅ ki tum meṅ se ek mujhe dushman ke hawāle kar degā.”
22 Shāgird uljhan meṅ ek dūsre ko dekh kar sochne lage ki Īsā kis kī bāt kar rahā hai.
23 Ek shāgird jise Īsā pyār kartā thā us ke qarībtarīn baiṭhā thā.
24 Patras ne use ishārā kiyā ki wuh us se dariyāft kare ki wuh kis kī bāt kar rahā hai.
25 Us shāgird ne Īsā kī taraf sar jhukā kar pūchhā, “Ḳhudāwand, yih kaun hai?”
26 Īsā ne jawāb diyā, “Jise maiṅ roṭī kā luqmā shorb meṅ ḍubo kar dūṅ, wuhī hai.” Phir luqme ko ḍubo kar us ne Shamāūn Iskariyotī ke beṭe Yahūdāh ko de diyā.
27 Jyoṅ hī Yahūdāh ne yih luqmā le liyā Iblīs us meṅ samā gayā. Īsā ne use batāyā, “Jo kuchh karnā hai wuh jaldī se kar le.”
28 Lekin mez par baiṭhe logoṅ meṅ se kisī ko mālūm na huā ki Īsā ne yih kyoṅ kahā.
29 Bāz kā ḳhayāl thā ki chūṅki Yahūdāh ḳhazāṅchī thā is lie wuh use batā rahā hai ki īd ke lie darkār chīzeṅ ḳharīd le yā ġharīboṅ meṅ kuchh taqsīm kar de.
30 Chunāṅche Īsā se yih luqmā lete hī Yahūdāh bāhar nikal gayā. Rāt kā waqt thā.
Īsā kā Nayā Hukm
31 Yahūdāh ke chale jāne ke bād Īsā ne kahā, “Ab Ibn-e-Ādam ne jalāl pāyā aur Allāh ne us meṅ jalāl pāyā hai.
32 Hāṅ, chūṅki Allāh ko us meṅ jalāl mil gayā hai is lie Allāh apne meṅ Farzand ko jalāl degā. Aur wuh yih jalāl fauran degā.
33 Mere bachcho, maiṅ thoṛī der aur tumhāre pās ṭhahrūṅga. Tum mujhe talāsh karoge, aur jo kuchh maiṅ Yahūdiyoṅ ko batā chukā hūṅ wuh ab tum ko bhī batātā hūṅ, jahāṅ maiṅ jā rahā hūṅ wahāṅ tum nahīṅ ā sakte.
34 Maiṅ tum ko ek nayā hukm detā hūṅ, yih ki ek dūsre se muhabbat rakho. Jis tarah maiṅ ne tum se muhabbat rakhī usī tarah tum bhī ek dūsre se muhabbat karo.
35 Agar tum ek dūsre se muhabbat rakhoge to sab jān leṅge ki tum mere shāgird ho.”
Patras ke Inkār kī Peshgoī
36 Patras ne pūchhā, “Ḳhudāwand, āp kahāṅ jā rahe haiṅ?”
Īsā ne jawāb diyā, “Jahāṅ maiṅ jā rahā hūṅ wahāṅ tū mere pīchhe nahīṅ ā saktā. Lekin bād meṅ tū mere pīchhe ā jāegā.”
37 Patras ne sawāl kiyā, “Ḳhudāwand, maiṅ āp ke pīchhe abhī kyoṅ nahīṅ jā saktā? Maiṅ āp ke lie apnī jān tak dene ko taiyār hūṅ.”
38 Lekin Īsā ne jawāb diyā, “Tū mere lie apnī jān denā chāhtā hai? Maiṅ tujhe sach batātā hūṅ ki murġh ke bāṅg dene se pahle pahle tū tīn martabā mujhe jānane se inkār kar chukā hogā.