12
Bedīnoṅ ko Itnī Kāmyābī Kyoṅ Hāsil Hotī Hai?
1 Ai Rab, tū hameshā haq par hai, lihāzā adālat meṅ tujh se shikāyat karne kā kyā fāydā? Tāham maiṅ apnā muāmalā tujhe pesh karnā chāhtā hūṅ. Bedīnoṅ ko itnī kāmyābī kyoṅ hāsil hotī hai? Ġhaddār itne sukūn se zindagī kyoṅ guzārte haiṅ?
2 Tū ne unheṅ zamīn meṅ lagā diyā, aur ab wuh jaṛ pakaṛ kar ḳhūb ugne lage balki phal bhī lā rahe haiṅ. Go terā nām un kī zabān par rahtā hai, lekin un kā dil tujh se dūr hai.
3 Lekin ai Rab, tū mujhe jāntā hai. Tū merā mulāhazā karke mere dil ko parakhtā rahtā hai. Guzārish hai ki tū unheṅ bheṛoṅ kī tarah ghasīṭ kar zabah karne ke lie le jā. Unheṅ qatl-o-ġhārat ke din ke lie maḳhsūs kar!
4 Mulk kab tak kāl kī girift meṅ rahegā? Khetoṅ meṅ hariyālī kab tak murjhāī huī nazar āegī? Bāshindoṅ kī burāī ke bāis jānwar aur parinde ġhāyb ho gae haiṅ. Kyoṅki log kahte haiṅ, “Allāh ko nahīṅ mālūm ki hamāre sāth kyā ho jāegā.”
5 Rab mujh se hamkalām huā, “Paidal chalne wāloṅ se dauṛ kā muqābalā karnā tujhe thakā detā hai, to phir tū kis tarah ghoṛoṅ kā muqābalā karegā? Tū apne āp ko sirf wahāṅ mahfūz samajhtā hai jahāṅ chāroṅ taraf amn-o-amān phailā huā hai, to phir tū Dariyā-e-Yardan ke gunjān jangal se kis tarah nipṭegā?
6 Kyoṅki tere sage bhāī, hāṅ tere bāp kā ghar bhī tujh se bewafā ho gayā hai. Yih bhī buland āwāz se tere pīchhe tujhe gāliyāṅ dete haiṅ. Un par etamād mat karnā, ḳhāh wuh tere sāth achchhī bāteṅ kyoṅ na kareṅ.
Allāh Apne Mulk par Mātam Kartā Hai
7 Maiṅ ne apne ghar Isrāīl ko tark kar diyā hai. Jo merī maurūsī milkiyat thī use maiṅ ne radd kiyā hai. Maiṅ ne apne laḳht-e-jigar ko us ke dushmanoṅ ke hawāle kar diyā hai.
8 Kyoṅki merī qaum jo merī maurūsī milkiyat hai mere sāth burā sulūk kartī hai. Jangal meṅ sherbabar kī tarah wuh mere ḳhilāf dahāṛtī hai, is lie maiṅ us se nafrat kartā hūṅ.
9 Ab merī maurūsī milkiyat us rangīn shikārī parinde kī mānind hai jise dīgar shikārī parindoṅ ne gher rakhā hai. Jāo, tamām darindoṅ ko ikaṭṭhā karo tāki wuh ā kar use khā jāeṅ.
10 Muta'addid gallābānoṅ ne mere angūr ke bāġh ko ḳharāb kar diyā hai. Mere pyāre khet ko unhoṅ ne pāṅwoṅ tale raund kar registān meṅ badal diyā hai.
11 Ab wuh banjar zamīn ban kar ujāṛ hālat meṅ mere sāmne mātam kartā hai. Pūrā mulk wīrān-o-sunsān hai, lekin koī parwā nahīṅ kartā.
12 Tabāhkun faujī bayābān kī banjar bulandiyoṅ par se utar kar qarīb pahuṅch rahe haiṅ. Kyoṅki Rab kī talwār mulk ke ek sire se dūsre sire tak sab kuchh khā jāegī. Koī bhī nahīṅ bachegā.
13 Is qaum ne gandum kā bīj boyā, lekin kāṅṭoṅ kī fasal pak gaī. Ḳhūb mehnat-mashaqqat karne ke bāwujūd bhī kuchh hāsil na huā, kyoṅki Rab kā saḳht ġhazab qaum par nāzil ho rahā hai. Chunāṅche ab ruswāī kī fasal kāṭo!”
Allāh kā Paṛosī Mamālik ke lie Paiġhām
14 Rab farmātā hai, “Maiṅ un tamām sharīr paṛosī mamālik ko jaṛ se ukhāṛ dūṅgā jo merī qaum Isrāīl kī milkiyat ko chhīnane kī koshish kar rahe haiṅ, wuh milkiyat jo maiṅ ne ḳhud unheṅ mīrās meṅ dī thī. Sāth sāth maiṅ Yahūdāh ko bhī jaṛ se un ke darmiyān se nikāl dūṅgā.
15 Lekin bād meṅ maiṅ un par tars khā kar har ek ko phir us kī apnī maurūsī zamīn aur apne mulk meṅ pahuṅchā dūṅgā.
16 Pahle un dīgar qaumoṅ ne merī qaum ko Bāl Dewatā kī qasam khāne kā tarz sikhāyā. Lekin ab agar wuh merī qaum kī rāheṅ achchhī tarah sīkh kar mere hī nām aur merī hī hayāt kī qasam khāeṅ to merī qaum ke darmiyān rah kar az sar-e-nau qāym ho jāeṅgī.
17 Lekin jo qaum merī nahīṅ sunegī use maiṅ hatmī taur par jaṛ se ukhāṛ kar nest kar dūṅgā.” Yih Rab kā farmān hai.