28
Hananiyāh Nabī kī Muḳhālafat
1 Usī sāl ke pāṅchweṅ mahīne meṅ Jibaūn kā rahne wālā nabī Hananiyāh bin Azzūr Rab ke ghar meṅ āyā. Us waqt yānī Sidqiyāh kī hukūmat ke chauthe sāl meṅ wuh imāmoṅ aur qaum kī maujūdagī meṅ mujh se muḳhātib huā,
2 “Rabbul-afwāj jo Isrāīl kā Ḳhudā hai farmātā hai ki maiṅ Shāh-e-Bābal kā juā toṛ ḍālūṅgā.
3 Do sāl ke andar andar maiṅ Rab ke ghar kā wuh sārā sāmān is jagah wāpas pahuṅchāūṅgā jo Shāh-e-Bābal Nabūkadnazzar yahāṅ se nikāl kar Bābal le gayā thā.
4 Us waqt maiṅ Yahūdāh ke bādshāh Yahūyākīn bin Yahūyaqīm aur Yahūdāh ke dīgar tamām jilāwatanoṅ ko bhī Bābal se wāpas lāūṅgā. Kyoṅki maiṅ yaqīnan Shāh-e-Bābal kā juā toṛ ḍālūṅgā. Yih Rab kā farmān hai.”
5 Yih sun kar Yarmiyāh ne imāmoṅ aur Rab ke ghar meṅ khaṛe bāqī parastāroṅ kī maujūdagī meṅ Hananiyāh nabī se kahā,
6 “Āmīn! Rab aisā hī kare, wuh terī peshgoī pūrī karke Rab ke ghar kā sāmān aur tamām jilāwatanoṅ ko Bābal se is jagah wāpas lāe.
7 Lekin us par tawajjuh de jo maiṅ terī aur pūrī qaum kī maujūdagī meṅ bayān kartā hūṅ!
8 Qadīm zamāne se le kar āj tak jitne nabī mujh se aur tujh se pahle ḳhidmat karte āe haiṅ unhoṅ ne muta'addid mulkoṅ aur baṛī baṛī saltanatoṅ ke bāre meṅ nabuwwat kī thī ki un par jang, āfat aur mohlak bīmāriyāṅ nāzil hoṅgī.
9 Chunāṅche ḳhabardār! Jo nabī salāmatī kī peshgoī kare us kī tasdīq us waqt hogī jab us kī peshgoī pūrī ho jāegī. Usī waqt log jān leṅge ki use wāqaī Rab kī taraf se bhejā gayā hai.”
10 Tab Hananiyāh ne lakaṛī ke jue ko Yarmiyāh kī gardan par se utār kar use toṛ diyā.
11 Tamām logoṅ ke sāmne us ne kahā, “Rab farmātā hai ki do sāl ke andar andar maiṅ isī tarah Shāh-e-Bābal Nabūkadnazzar kā juā tamām qaumoṅ kī gardan par se utār kar toṛ ḍālūṅgā.” Tab Yarmiyāh wahāṅ se chalā gayā.
12 Is wāqiye ke thoṛī der bād Rab Yarmiyāh se hamkalām huā,
13 “Jā, Hananiyāh ko batā, ‘Rab farmātā hai ki tū ne lakaṛī kā juā to toṛ diyā hai, lekin us kī jagah tū ne apnī gardan par lohe kā juā rakh liyā hai.’
14 Kyoṅki Rabbul-afwāj jo Isrāīl kā Ḳhudā hai farmātā hai ki maiṅ ne lohe kā juā in tamām qaumoṅ par rakh diyā hai tāki wuh Nabūkadnazzar kī ḳhidmat kareṅ. Aur na sirf yih us kī ḳhidmat kareṅge balki maiṅ janglī jānwaroṅ ko bhī us ke hāth meṅ kar dūṅgā.”
15 Phir Yarmiyāh ne Hananiyāh se kahā, “Ai Hananiyāh, sun! Go Rab ne tujhe nahīṅ bhejā to bhī tū ne is qaum ko jhūṭ par bharosā rakhne par āmādā kiyā hai.
16 Is lie Rab farmātā hai, ‘Maiṅ tujhe rū-e-zamīn par se miṭāne ko hūṅ. Isī sāl tū mar jāegā, is lie ki tū ne Rab se sarkash hone kā mashwarā diyā hai.’ ”
17 Aur aisā hī huā. Usī sāl ke sātweṅ mahīne yānī do mahīne ke bād Hananiyāh nabī kūch kar gayā.