36
Rab ke Ghar meṅ Yarmiyāh kī Kitāb kī Tilāwat
Yahūdāh ke bādshāh Yahūyaqīm bin Yūsiyāh kī hukūmat ke chauthe sāl meṅ Rab kā kalām Yarmiyāh par nāzil huā, “Tūmār le kar us meṅ Isrāīl, Yahūdāh aur bāqī tamām qaumoṅ ke bāre meṅ wuh tamām paiġhāmāt qalamband kar jo maiṅ ne Yūsiyāh kī hukūmat se le kar āj tak tujh par nāzil kie haiṅ. Shāyad Yahūdāh ke gharāne meṅ har ek apnī burī rāh se bāz ā kar wāpas āe agar us āfat kī pūrī ḳhabar un tak pahuṅche jo maiṅ is qaum par nāzil karne ko hūṅ. Phir maiṅ un kī bedīnī aur gunāh ko muāf karūṅga.”
Chunāṅche Yarmiyāh ne Bārūk bin Nairiyāh ko bulā kar us se wuh tamām paiġhāmāt tūmār meṅ likhwāe jo Rab ne us par nāzil kie the. Phir Yarmiyāh ne Bārūk se kahā, “Mujhe nazarband kiyā gayā hai, is lie maiṅ Rab ke ghar meṅ nahīṅ jā saktā. Lekin āp to jā sakte haiṅ. Roze ke din yih tūmār apne sāth le kar Rab ke ghar meṅ jāeṅ. Hāzirīn ke sāmne Rab kī un tamām bātoṅ ko paṛh kar sunāeṅ jo maiṅ ne āp se likhwāī haiṅ. Sab ko tūmār kī bāteṅ sunāeṅ, unheṅ bhī jo Yahūdāh kī dīgar ābādiyoṅ se yahāṅ pahuṅche haiṅ. Shāyad wuh iltijā kareṅ ki Rab un par rahm kare. Shāyad har ek apnī burī rāh se bāz ā kar wāpas āe. Kyoṅki jo ġhazab is qaum par nāzil hone wālā hai aur jis kā elān Rab kar chukā hai wuh bahut saḳht hai.”
Bārūk bin Nairiyāh ne aisā hī kiyā. Yarmiyāh Nabī kī hidāyat ke mutābiq us ne Rab ke ghar meṅ tūmār meṅ darj Rab ke kalām kī tilāwat kī. Us waqt log rozā rakhe hue the, kyoṅki bādshāh Yahūyaqīm bin Yūsiyāh kī hukūmat ke pāṅchweṅ sāl aur naweṅ mahīne * meṅ elān kiyā gayā thā ki Yarūshalam ke bāshinde aur Yahūdāh ke dīgar shahroṅ se āe hue tamām log Rab ke huzūr rozā rakheṅ. 10 Jab Bārūk ne tūmār kī tilāwat kī to tamām log hāzir the. Us waqt wuh Rab ke ghar meṅ shāhī muharrir Jamariyāh bin Sāfan ke kamre meṅ baiṭhā thā. Yih kamrā Rab ke ghar ke ūpar wāle sahan meṅ thā, aur sahan kā Nayā Darwāzā wahāṅ se dūr nahīṅ thā.
11 Tūmār meṅ darj Rab ke tamām paiġhāmāt sun kar Jamariyāh bin Sāfan kā beṭā Mīkāyāh 12 shāhī mahal meṅ mīrmunshī ke daftar meṅ chalā gayā. Wahāṅ tamām sarkārī afsar baiṭhe the yānī Ilīsamā mīrmunshī, Dilāyāh bin Samāyāh, Ilnātan bin Akbor, Jamariyāh bin Sāfan, Sidqiyāh bin Hananiyāh aur bāqī tamām mulāzim. 13 Mīkāyāh ne unheṅ sab kuchh sunāyā jo Bārūk ne tūmār kī tilāwat karke pesh kiyā thā. 14 Tab tamām buzurgoṅ ne Yahūdī bin Nataniyāh bin Salamiyāh bin Kūshī ko Bārūk ke pās bhej kar use ittalā dī, “Jis tūmār kī tilāwat āp ne logoṅ ke sāmne kī use le kar hamāre pās āeṅ.” Chunāṅche Bārūk bin Nairiyāh hāth meṅ tūmār ko thāme hue un ke pās āyā.
15 Afsaroṅ ne kahā, “Zarā baiṭh kar hamāre lie bhī tūmār kī tilāwat kareṅ.” Chunāṅche Bārūk ne unheṅ sab kuchh paṛh kar sunā diyā. 16 Yarmiyāh kī tamām peshgoiyāṅ sunte hī wuh ghabrā gae aur ḍar ke māre ek dūsre ko deḳhne lage. Phir unhoṅ ne Bārūk se kahā, “Lāzim hai ki ham bādshāh ko in tamām bātoṅ se āgāh kareṅ. 17 Hameṅ zarā batāeṅ, āp ne yih tamām bāteṅ kis tarah qalamband kīṅ? Kyā Yarmiyāh ne sab kuchh zabānī āp ko pesh kiyā?” 18 Bārūk ne jawāb diyā, “Jī, wuh mujhe yih tamām bāteṅ sunātā gayā, aur maiṅ sab kuchh siyāhī se is tūmār meṅ darj kartā gayā.”
19 Yih sun kar afsaroṅ ne Bārūk se kahā, “Ab chale jāeṅ, āp aur Yarmiyāh donoṅ chhup jāeṅ! Kisī ko bhī patā na chale ki āp kahāṅ haiṅ.”
Yahūyaqīm Tūmār ko Jalā Detā Hai
20 Afsaroṅ ne tūmār ko shāhī mīrmunshī Ilīsamā ke daftar meṅ mahfūz rakh diyā, phir darbār meṅ dāḳhil ho kar bādshāh ko sab kuchh batā diyā. 21 Bādshāh ne Yahūdī ko tūmār le āne kā hukm diyā. Yahūdī, Ilīsamā mīrmunshī ke daftar se tūmār ko le kar bādshāh aur tamām afsaroṅ kī maujūdagī meṅ us kī tilāwat karne lagā.
22 Chūṅki nawāṅ mahīnā thā is lie bādshāh mahal ke us hisse meṅ baiṭhā thā jo sardiyoṅ ke mausam ke lie banāyā gayā thā. Us ke sāmne paṛī angīṭhī meṅ āg jal rahī thī. 23 Jab bhī Yahūdī tīn yā chār kālam paṛhne se fāriġh huā to bādshāh ne munshī kī chhurī le kar unheṅ tūmār se kāṭ liyā aur āg meṅ phaiṅk diyā. Yahūdī paṛhtā aur bādshāh kāṭtā gayā. Āḳhirkār pūrā tūmār rākh ho gayā thā.
24 Go bādshāh aur us ke tamām mulāzimoṅ ne yih tamām bāteṅ sunīṅ to bhī na wuh ghabrāe, na unhoṅ ne pareshān ho kar apne kapṛe phāṛe. 25 Aur go Ilnātan, Dilāyāh aur Jamariyāh ne bādshāh se minnat kī ki wuh tūmār ko na jalāe to bhī us ne un kī na mānī 26 balki bād meṅ Yarahmiyel shāhzādā, Sirāyāh bin Azriyel aur Salamiyāh bin Abdiyel ko bhejā tāki wuh Bārūk munshī aur Yarmiyāh Nabī ko giriftār kareṅ. Lekin Rab ne unheṅ chhupāe rakhā thā.
Allāh kā Kalām Dubārā Qalamband Kiyā Jātā Hai
27 Bādshāh ke tūmār ko jalāne ke bād Rab Yarmiyāh se dubārā hamkalām huā,
28 “Nayā tūmār le kar us meṅ wuhī tamām paiġhāmāt qalamband kar jo us tūmār meṅ darj the jise Shāh-e-Yahūdāh ne jalā diyā thā. 29 Sāth sāth Yahūyaqīm ke bāre meṅ elān kar ki Rab farmātā hai, ‘Tū ne tūmār ko jalā kar Yarmiyāh se shikāyat kī ki tū ne is kitāb meṅ kyoṅ likhā hai ki Shāh-e-Bābal zarūr ā kar is mulk ko tabāh karegā, aur is meṅ na insān, na haiwān rahegā?’ 30 Chunāṅche Yahūdāh ke bādshāh ke bāre meṅ Rab kā faislā sun!
Āindā us ke ḳhāndān kā koī bhī fard Dāūd ke taḳht par nahīṅ baiṭhegā. Yahūyaqīm kī lāsh bāhar phaiṅkī jāegī, aur wahāṅ wuh khule maidān meṅ paṛī rahegī. Koī bhī use din kī taptī garmī yā rāt kī shadīd sardī se bachāe nahīṅ rakhegā. 31 Maiṅ use us ke bachchoṅ aur mulāzimoṅ samet un kī bedīnī kā munāsib ajr dūṅgā. Kyoṅki maiṅ un par aur Yarūshalam aur Yahūdāh ke bāshindoṅ par wuh tamām āfat nāzil karūṅga jis kā elān maiṅ kar chukā hūṅ. Afsos, unhoṅ ne merī nahīṅ sunī.”
32 Chunāṅche Yarmiyāh ne nayā tūmār le kar use Bārūk bin Nairiyāh ko de diyā. Phir us ne Bārūk munshī se wuh tamām paiġhāmāt dubārā likhwāe jo us tūmār meṅ darj the jise Shāh-e-Yahūdāh Yahūyaqīm ne jalā diyā thā. Un ke alāwā mazīd bahut-se paiġhāmāt kā izāfā huā.
* 36:9 Nawambar tā Disambar. 36:22 Taqrīban Disambar.