46
Misr kī Shikast kī Peshgoī
Yarmiyāh par muḳhtalif qaumoṅ ke bāre meṅ bhī paiġhāmāt nāzil hue. Yih zail meṅ darj haiṅ.
Pahlā paiġhām Misr ke bāre meṅ hai. Yahūdāh ke bādshāh Yahūyaqīm bin Yūsiyāh ke chauthe sāl meṅ Shāh-e-Bābal Nabūkadnazzar ne Dariyā-e-Furāt par wāqe shahr Karkimīs ke pās Misrī fauj ko shikast dī thī. Un dinoṅ meṅ Misrī bādshāh Nikoh Firaun kī fauj ke bāre meṅ Rab kā kalām nāzil huā,
“Apnī baṛī aur chhoṭī ḍhāleṅ taiyār karke jang ke lie niklo! Ghoṛoṅ ko rathoṅ meṅ joto! Dīgar ghoṛoṅ par sawār ho jāo! Ḳhod pahan kar khaṛe ho jāo! Apne nezoṅ ko rauġhan se chamkā kar zirābaktar pahan lo! Lekin mujhe kyā nazar ā rahā hai? Misrī faujiyoṅ par dahshat tārī huī hai. Wuh pīchhe haṭ rahe haiṅ, un ke sūrmāoṅ ne hathiyār ḍāl die haiṅ. Wuh bhāg bhāg kar farār ho rahe haiṅ aur pīchhe bhī nahīṅ deḳhte. Rab farmātā hai ki chāroṅ taraf dahshat hī dahshat phail gaī hai. Kisī ko bhī bachne na do, ḳhāh wuh kitnī tezī se kyoṅ na bhāg rahā ho yā kitnā zabardast faujī kyoṅ na ho. Shimāl meṅ Dariyā-e-Furāt ke kināre hī wuh ṭhokar khā kar gir gae haiṅ.
Yih kyā hai jo Dariyā-e-Nīl kī tarah chaṛh rahā hai, jo sailāb ban kar sab kuchh ġharq kar rahā hai? Misr Dariyā-e-Nīl kī tarah chaṛh rahā hai, wuhī sailāb ban kar sab kuchh ġharq kar rahā hai. Wuh kahtā hai, ‘Maiṅ chaṛh kar pūrī zamīn ko ġharq kar dūṅgā. Maiṅ shahroṅ ko un ke bāshindoṅ samet tabāh karūṅga.’ Ai ghoṛo, dushman par ṭūṭ paṛo! Ai ratho, dīwānoṅ kī tarah dauṛo! Ai faujiyo, laṛne ke lie niklo! Ai Ethopiyā aur Libiyā ke sipāhiyo, apnī ḍhāleṅ pakaṛ kar chalo, ai Ludiyā ke tīr chalāne wālo, apne kamān tān kar āge baṛho!
10 Lekin āj Qādir-e-mutlaq, Rabbul-afwāj kā hī din hai. Intaqām ke is din wuh apne dushmanoṅ se badlā legā. Us kī talwār unheṅ khā khā kar ser ho jāegī, aur un kā ḳhūn pī pī kar us kī pyās bujhegī. Kyoṅki shimāl meṅ Dariyā-e-Furāt ke kināre unheṅ Qādir-e-mutlaq, Rabbul-afwāj ko qurbān kiyā jāegā.
11 Ai kuṅwārī Misr Beṭī, Mulk-e-Jiliyād meṅ jā kar apne zaḳhmoṅ ke lie balsān ḳharīd le. Lekin kyā fāydā? Ḳhāh tū kitnī dawāī kyoṅ na istemāl kare terī choṭeṅ bhar hī nahīṅ saktīṅ! 12 Terī sharmindagī kī ḳhabar dīgar aqwām meṅ phail gaī hai, terī chīḳheṅ pūrī duniyā meṅ gūṅj rahī haiṅ. Kyoṅki tere sūrme ek dūsre se ṭhokar khā kar gir gae haiṅ.”
Shāh-e-Bābal ke Misr meṅ Ghus Āne kī Peshgoī
13 Jab Shāh-e-Bābal Nabūkadnazzar Misr par hamlā karne āyā to Rab is ke bāre meṅ Yarmiyāh se hamkalām huā,
14 “Misrī shahroṅ Mijdāl, Memfis aur Tahfanhīs meṅ elān karo, ‘Jang kī taiyāriyāṅ karke laṛne ke lie khaṛe ho jāo! Kyoṅki talwār tumhāre ās-pās sab kuchh khā rahī hai.’
15 Ai Misr, tere sūrmāoṅ ko ḳhāk meṅ kyoṅ milāyā gayā hai? Wuh khaṛe nahīṅ rah sakte, kyoṅki Rab ne unheṅ dabā diyā hai. 16 Us ne muta'addid afrād ko ṭhokar khāne diyā, aur wuh ek dūsre par gir gae. Unhoṅ ne kahā, ‘Āo, ham apnī hī qaum aur apne watan meṅ wāpas chale jāeṅ jahāṅ zālim kī talwār ham tak nahīṅ pahuṅch saktī.’ 17 Wahāṅ wuh pukār uṭhe, ‘Misr kā bādshāh shor to bahut machātā hai lekin is ke pīchhe kuchh bhī nahīṅ. Jo sunahrā mauqā use milā wuh jātā rahā hai.’ ”
18 Duniyā kā Bādshāh jis kā nām Rabbul-afwāj hai farmātā hai, “Merī hayāt kī qasam, jo tum par hamlā karne ā rahā hai wuh dūsroṅ se utnā baṛā hai jitnā Tabūr dīgar pahāṛoṅ se aur Karmil samundar se ūṅchā hai. 19 Ai Misr ke bāshindo, apnā māl-o-asbāb bāndh kar jilāwatan hone kī taiyāriyāṅ karo. Kyoṅki Memfis mismār ho kar nazar-e-ātish ho jāegā. Us meṅ koī nahīṅ rahegā.
20 Misr ḳhūbsūrat-sī jawān gāy hai, lekin shimāl se mohlak makkhī ā kar us par dhāwā bol rahī hai. Hāṅ, wuh ā rahī hai. 21 Misrī fauj ke bhāṛe ke faujī moṭe-tāze bachhṛe haiṅ, lekin wuh bhī muṛ kar farār ho jāeṅge. Ek bhī qāym nahīṅ rahegā. Kyoṅki āfat kā din un par āne wālā hai, wuh waqt jab unheṅ pūrī sazā milegī. 22 Misr sāṅp kī tarah phunkārte hue pīchhe haṭ jāegā jab dushman ke faujī pūre zor se us par hamlā kareṅge, jab wuh lakaṛhāroṅ kī tarah apnī kulhāṛiyāṅ pakaṛe hue us par ṭūṭ paṛeṅge.” 23 Rab farmātā hai, “Tab wuh Misr kā jangal kāṭ ḍāleṅge, go wuh kitnā ghanā kyoṅ na ho. Kyoṅki un kī tādād ṭiḍḍiyoṅ se zyādā hogī balki wuh anginat hoṅge. 24 Misr Beṭī kī be'izzatī kī jāegī, use shimālī qaum ke hawāle kiyā jāegā.”
25 Rabbul-afwāj jo Isrāīl kā Ḳhudā hai farmātā hai, “Maiṅ Thības Shahr ke dewatā Āmūn, Firaun aur tamām Misr ko us ke dewatāoṅ aur bādshāhoṅ samet sazā dūṅgā. Hāṅ, maiṅ Firaun aur us par etamād rakhne wāle tamām logoṅ kī adālat karūṅga.” 26 Rab farmātā hai, “Maiṅ unheṅ un ke jānī dushmanoṅ ke hawāle kar dūṅgā, aur wuh Shāh-e-Bābal Nabūkadnazzar aur us ke afsaroṅ ke qābū meṅ ā jāeṅge. Lekin bād meṅ Misr pahle kī tarah dubārā ābād ho jāegā.
27 Jahāṅ tak terā tālluq hai, ai Yāqūb mere ḳhādim, ḳhauf mat khā! Ai Isrāīl, hauslā mat hār! Dekh, maiṅ tujhe dūr-darāz mulk se chhuṭkārā dūṅgā. Terī aulād ko maiṅ us mulk se najāt dūṅgā jahāṅ use jilāwatan kiyā gayā hai. Phir Yāqūb wāpas ā kar ārām-o-sukūn kī zindagī guzāregā. Koī nahīṅ hogā jo use haibatzadā kare.” 28 Rab farmātā hai, “Ai Yāqūb mere ḳhādim, ḳhauf na khā, kyoṅki maiṅ tere sāth hūṅ. Maiṅ un tamām qaumoṅ ko nest-o-nābūd kar dūṅgā jin meṅ maiṅ ne tujhe muntashir kar diyā hai, lekin tujhe maiṅ is tarah safhā-e-hastī se nahīṅ miṭāūṅgā. Albattā maiṅ munāsib had tak terī tambīh karūṅga, kyoṅki maiṅ tujhe sazā die baġhair nahīṅ chhoṛ saktā.”