3
Isrāīlī Dariyā-e-Yardan ko Ubūr Karte Haiṅ
1 Subah-sawere uṭh kar Yashua aur tamām Isrāīlī Shittīm se rawānā hue. Jab wuh Dariyā-e-Yardan par pahuṅche to use ubūr na kiyā balki rāt ke lie kināre par ruk gae.
2 Wuh tīn din wahāṅ rahe. Phir nigahbānoṅ ne ḳhaimāgāh meṅ se guzar kar
3 logoṅ ko hukm diyā, “Jab āp dekheṅ ki Lāwī ke qabīle ke imām Rab āp ke Ḳhudā ke ahd kā sandūq uṭhāe hue haiṅ to apne apne maqām se rawānā ho kar us ke pīchhe ho leṅ.
4 Phir āp ko patā chalegā ki kahāṅ jānā hai, kyoṅki āp pahle kabhī wahāṅ nahīṅ gae. Lekin sandūq ke taqrīban ek kilomīṭar pīchhe raheṅ aur zyādā qarīb na jāeṅ.”
5 Yashua ne logoṅ ko batāyā, “Apne āp ko maḳhsūs-o-muqaddas kareṅ, kyoṅki kal Rab āp ke darmiyān hairatangez kām karegā.”
6 Agle din Yashua ne imāmoṅ se kahā, “Ahd kā sandūq uṭhā kar logoṅ ke āge āge dariyā ko pār kareṅ.” Chunāṅche imām sandūq ko uṭhā kar āge āge chal die.
7 Aur Rab ne Yashua se farmāyā, “Maiṅ tujhe tamām Isrāīliyoṅ ke sāmne sarfarāz kar dūṅgā, aur āj hī maiṅ yih kām shurū karūṅga tāki wuh jān leṅ ki jis tarah maiṅ Mūsā ke sāth thā usī tarah tere sāth bhī hūṅ.
8 Ahd kā sandūq uṭhāne wāle imāmoṅ ko batā denā, ‘Jab āp Dariyā-e-Yardan ke kināre pahuṅcheṅge to wahāṅ pānī meṅ ruk jāeṅ.’ ”
9 Yashua ne Isrāīliyoṅ se kahā, “Mere pās āeṅ aur Rab apne Ḳhudā ke farmān sun leṅ.
10 Āj āp jān leṅge ki zindā Ḳhudā āp ke darmiyān hai aur ki wuh yaqīnan āp ke āge āge jā kar dūsrī qaumoṅ ko nikāl degā, ḳhāh wuh Kanānī, Hittī, Hiwwī, Farizzī, Jirjāsī, Amorī yā Yabūsī hoṅ.
11 Yih yoṅ zāhir hogā ki ahd kā yih sandūq jo tamām duniyā ke mālik kā hai āp ke āge āge Dariyā-e-Yardan meṅ jāegā.
12 Ab aisā kareṅ ki har qabīle meṅ se ek ek ādmī ko chun leṅ tāki bārah afrād jamā ho jāeṅ.
13 Phir imām tamām duniyā ke mālik Rab ke ahd kā sandūq uṭhā kar dariyā meṅ jāeṅge. Aur jyoṅ hī wuh apne pāṅw pānī meṅ rakheṅge to pānī kā bahāw ruk jāegā aur āne wālā pānī ḍher ban kar khaṛā rahegā.”
14 Chunāṅche Isrāīlī apne ḳhaimoṅ ko sameṭ kar rawānā hue, aur ahd kā sandūq uṭhāne wāle imām un ke āge āge chal die.
15 Fasal kī kaṭāī kā mausam thā, aur dariyā kā pānī kināroṅ se bāhar ā gayā thā. Lekin jyoṅ hī sandūq ko uṭhāne wāle imāmoṅ ne dariyā ke kināre pahuṅch kar pānī meṅ qadam rakhā
16 to āne wāle pānī kā bahāw ruk gayā. Wuh un se dūr ek shahr ke qarīb ḍher ban gayā jis kā nām Ādam thā aur jo Zartān ke nazdīk hai. Jo pānī dūsrī yānī Bahīrā-e-Murdār kī taraf bah rahā thā wuh pūrī tarah utar gayā. Tab Isrāīliyoṅ ne Yarīhū Shahr ke muqābil dariyā ko pār kiyā.
17 Rab kā ahd kā sandūq uṭhāne wāle imām Dariyā-e-Yardan ke bīch meṅ ḳhushk zamīn par khaṛe rahe jabki bāqī log ḳhushk zamīn par se guzar gae. Imām us waqt tak wahāṅ khaṛe rahe jab tak tamām Isrāīliyoṅ ne ḳhushk zamīn par chal kar dariyā ko pār na kar liyā.