10
Sabā kī Malikā Sulemān se Miltī Hai
1 Sulemān kī shohrat Sabā kī malikā tak pahuṅch gaī. Jab us ne us ke bāre meṅ sunā aur yih bhī ki us ne Rab ke nām ke lie kyā kuchh kiyā hai to wuh Sulemān se milne ke lie rawānā huī tāki use mushkil paheliyāṅ pesh karke us kī dānishmandī jāṅch le.
2 Wuh nihāyat baṛe qāfile ke sāth Yarūshalam pahuṅchī jis ke ūṅṭ balsān, kasrat ke sone aur qīmtī jawāhar se lade hue the.
Malikā kī Sulemān se mulāqāt huī to us ne us se wuh tamām mushkil sawālāt pūchhe jo us ke zahan meṅ the.
3 Sulemān us ke har sawāl kā jawāb de sakā. Koī bhī bāt itnī pechīdā nahīṅ thī ki bādshāh us kā matlab malikā ko batā na saktā.
4 Sabā kī malikā Sulemān kī wasī hikmat aur us ke nae mahal se bahut muta'assir huī.
5 Us ne bādshāh kī mezoṅ par ke muḳhtalif khāne dekhe aur yih ki us ke afsar kis tartīb se us par biṭhāe jāte the. Us ne bairoṅ kī ḳhidmat, un kī shāndār wardiyoṅ aur sāqiyoṅ par bhī ġhaur kiyā. Jab us ne in bātoṅ ke alāwā bhasm hone wālī wuh qurbāniyāṅ bhī dekhīṅ jo Sulemān Rab ke ghar meṅ chaṛhātā thā to malikā hakkā-bakkā rah gaī.
6 Wuh bol uṭhī, “Wāqaī, jo kuchh maiṅ ne apne mulk meṅ āp ke shāhkāroṅ aur hikmat ke bāre meṅ sunā thā wuh durust hai.
7 Jab tak maiṅ ne ḳhud ā kar yih sab kuchh apnī āṅkhoṅ se na dekhā mujhe yaqīn nahīṅ ātā thā. Balki haqīqat meṅ mujhe āp ke bāre meṅ ādhā bhī nahīṅ batāyā gayā thā. Āp kī hikmat aur daulat un riporṭoṅ se kahīṅ zyādā hai jo mujh tak pahuṅchī thīṅ.
8 Āp ke log kitne mubārak haiṅ! Āp ke afsar kitne mubārak haiṅ jo musalsal āp ke sāmne khaṛe rahte aur āp kī dānish bharī bāteṅ sunte haiṅ!
9 Rab āp ke Ḳhudā kī tamjīd ho jis ne āp ko pasand karke Isrāīl ke taḳht par biṭhāyā hai. Rab Isrāīl se abadī muhabbat rakhtā hai, isī lie us ne āp ko bādshāh banā diyā hai tāki insāf aur rāstbāzī qāym rakheṅ.”
10 Phir malikā ne Sulemān ko taqrīban 4,000 kilogrām sonā, bahut zyādā balsān aur jawāhar die. Bād meṅ kabhī bhī utnā balsān Isrāīl meṅ nahīṅ lāyā gayā jitnā us waqt Sabā kī malikā lāī.
11 Hīrām ke jahāz Ofīr se na sirf sonā lāe balki unhoṅ ne qīmtī lakaṛī aur jawāhar bhī baṛī miqdār meṅ Isrāīl tak pahuṅchāe.
12 Jitnī qīmtī lakaṛī un dinoṅ meṅ darāmad huī utnī āj tak kabhī Yahūdāh meṅ nahīṅ lāī gaī. Is lakaṛī se bādshāh ne Rab ke ghar aur apne mahal ke lie kaṭahre banwāe. Yih mausīqāroṅ ke sarod aur sitār banāne ke lie bhī istemāl huī.
13 Sulemān Bādshāh ne apnī taraf se Sabā kī malikā ko bahut-se tohfe die. Nīz, jo kuchh bhī malikā chāhtī thī yā us ne māṅgā wuh use diyā gayā. Phir wuh apne naukar-chākaroṅ aur afsaroṅ ke hamrāh apne watan wāpas chalī gaī.
Sulemān kī Daulat aur Shohrat
14 Jo sonā Sulemān ko sālānā miltā thā us kā wazn taqrīban 23,000 kilogrām thā.
15 Is meṅ wuh ṭaiks shāmil nahīṅ the jo use saudāgaroṅ, tājiroṅ, Arab bādshāhoṅ aur ziloṅ ke afsaroṅ se milte the.
16-17 Sulemān Bādshāh ne 200 baṛī aur 300 chhoṭī ḍhāleṅ banwāīṅ. Un par sonā manḍhā gayā. Har baṛī ḍhāl ke lie taqrīban 7 kilogrām sonā istemāl huā aur har chhoṭī ḍhāl ke lie taqrīban sāṛhe 3 kilogrām. Sulemān ne unheṅ ‘Lubnān kā Jangal’ nāmī mahal meṅ mahfūz rakhā.
18 In ke alāwā bādshāh ne hāthīdāṅt se ārāstā ek baṛā taḳht banwāyā jis par ḳhālis sonā chaṛhāyā gayā.
19-20 Taḳht kī pusht kā ūpar kā hissā gol thā, aur us ke har bāzū ke sāth sherbabar kā mujassamā thā. Taḳht kuchh ūṅchā thā, aur bādshāh chhih pāe wālī sīṛhī par chaṛh kar us par baiṭhtā thā. Dāīṅ aur bāīṅ taraf har pāe par sherbabar kā mujassamā thā. Is qism kā taḳht kisī aur saltanat meṅ nahīṅ pāyā jātā thā.
21 Sulemān ke tamām pyāle sone ke the, balki ‘Lubnān kā Jangal’ nāmī mahal meṅ tamām bartan ḳhālis sone ke the. Koī bhī chīz chāṅdī kī nahīṅ thī, kyoṅki Sulemān ke zamāne meṅ chāṅdī kī koī qadar nahīṅ thī.
22 Bādshāh ke apne bahrī jahāz the jo Hīrām ke jahāzoṅ ke sāth mil kar muḳhtalif jaghoṅ par jāte the. Har tīn sāl ke bād wuh sone-chāṅdī, hāthīdāṅt, bandaroṅ aur moroṅ se lade hue wāpas āte the.
23 Sulemān kī daulat aur hikmat duniyā ke tamām bādshāhoṅ se kahīṅ zyādā thī.
24 Pūrī duniyā us se milne kī koshish kartī rahī tāki wuh hikmat sun le jo Allāh ne us ke dil meṅ ḍāl dī thī.
25 Sāl basāl jo bhī Sulemān ke darbār meṅ ātā wuh koī na koī tohfā lātā. Yoṅ use sone-chāṅdī ke bartan, qīmtī libās, hathiyār, balsān, ghoṛe aur ḳhachchar milte rahe.
26 Sulemān ke 1,400 rath aur 12,000 ghoṛe the. Kuchh us ne rathoṅ ke lie maḳhsūs kie gae shahroṅ meṅ aur kuchh Yarūshalam meṅ apne pās rakhe.
27 Bādshāh kī sargarmiyoṅ ke bāis chāṅdī patthar jaisī ām ho gaī aur deodār kī qīmtī lakaṛī Yahūdāh ke maġhrib ke nashebī pahāṛī ilāqe kī anjīr-tūt kī sastī lakaṛī jaisī ām ho gaī.
28 Bādshāh apne ghoṛe Misr aur que yānī Kilikiyā se darāmad kartā thā. Us ke tājir in jaghoṅ par jā kar unheṅ ḳharīd lāte the.
29 Bādshāh ke rath Misr se darāmad hote the. Har rath kī qīmat chāṅdī ke 600 sikke aur har ghoṛe kī qīmat chāṅdī ke 150 sikke thī. Sulemān ke tājir yih ghoṛe barāmad karte hue tamām Hittī aur Arāmī bādshāhoṅ tak bhī pahuṅchāte the.