8
Ahd kā Sandūq Rab ke Ghar meṅ Lāyā Jātā Hai
Phir Sulemān ne Isrāīl ke tamām buzurgoṅ aur qabīloṅ aur kunboṅ ke tamām sarparastoṅ ko apne pās Yarūshalam meṅ bulāyā, kyoṅki Rab ke ahd kā sandūq ab tak Yarūshalam ke us hisse meṅ thā jo ‘Dāūd kā Shahr’ yā Siyyūn kahlātā hai. Sulemān chāhtā thā ki qaum ke numāinde hāzir hoṅ jab sandūq ko wahāṅ se Rab ke ghar meṅ pahuṅchāyā jāe. Chunāṅche Isrāīl ke tamām mard sāl ke sātweṅ mahīne Itānīm * meṅ Sulemān Bādshāh ke pās Yarūshalam meṅ jamā hue. Isī mahīne meṅ Jhoṅpṛiyoṅ kī Īd manāī jātī thī.
Jab sab jamā hue to imām Rab ke sandūq ko uṭhā kar Rab ke ghar meṅ lāe. Lāwiyoṅ ke sāth mil kar unhoṅ ne mulāqāt ke ḳhaime ko bhī us ke tamām muqaddas sāmān samet Rab ke ghar meṅ pahuṅchāyā. Wahāṅ sandūq ke sāmne Sulemān Bādshāh aur bāqī tamām jamā hue Isrāīliyoṅ ne itnī bheṛ-bakriyāṅ aur gāy-bail qurbān kie ki un kī tādād ginī nahīṅ jā saktī thī.
Imāmoṅ ne Rab ke ahd kā sandūq pichhle yānī Muqaddastarīn Kamre meṅ lā kar karūbī farishtoṅ ke paroṅ ke nīche rakh diyā. Farishtoṅ ke par pūre sandūq par us kī uṭhāne kī lakaṛiyoṅ samet phaile rahe. To bhī uṭhāne kī yih lakaṛiyāṅ itnī lambī thīṅ ki un ke sire sāmne wāle yānī Muqaddas Kamre se nazar āte the. Lekin wuh bāhar se dekhe nahīṅ jā sakte the. Āj tak wuh wahīṅ maujūd haiṅ. Sandūq meṅ sirf patthar kī wuh do taḳhtiyāṅ thīṅ jin ko Mūsā ne Horib yānī Koh-e-Sīnā ke dāman meṅ us meṅ rakh diyā thā, us waqt jab Rab ne Misr se nikle hue Isrāīliyoṅ ke sāth ahd bāndhā thā.
10-11 Jab imām Muqaddas Kamre se nikal kar sahan meṅ āe to Rab kā ghar ek bādal se bhar gayā. Imām apnī ḳhidmat anjām na de sake, kyoṅki Rab kā ghar us ke jalāl ke bādal se māmūr ho gayā thā. 12 Yih dekh kar Sulemān ne duā kī, “Rab ne farmāyā hai ki maiṅ ghane bādal ke andhere meṅ rahūṅgā. 13 Yaqīnan maiṅ ne tere lie azīm sukūnatgāh banāī hai, ek maqām jo terī abadī sukūnat ke lāyq hai.”
Rab ke Ghar kī Maḳhsūsiyat par Sulemān kī Taqrīr
14 Phir bādshāh ne muṛ kar Rab ke ghar ke sāmne khaṛī Isrāīl kī pūrī jamāt kī taraf ruḳh kiyā. Us ne unheṅ barkat de kar kahā,
15 “Rab Isrāīl ke Ḳhudā kī tārīf ho jis ne wuh wādā pūrā kiyā hai jo us ne mere bāp Dāūd se kiyā thā. Kyoṅki us ne farmāyā, 16 ‘Jis din maiṅ apnī qaum Isrāīl ko Misr se nikāl lāyā us din se le kar āj tak maiṅ ne kabhī na farmāyā ki Isrāīlī qabīloṅ ke kisī shahr meṅ mere nām kī tāzīm meṅ ghar banāyā jāe. Lekin maiṅ ne Dāūd ko apnī qaum Isrāīl kā bādshāh banāyā hai.’
17 Mere bāp Dāūd kī baṛī ḳhāhish thī ki Rab Isrāīl ke Ḳhudā ke nām kī tāzīm meṅ ghar banāe. 18 Lekin Rab ne etarāz kiyā, ‘Maiṅ ḳhush hūṅ ki tū mere nām kī tāzīm meṅ ghar tāmīr karnā chāhtā hai, 19 lekin tū nahīṅ balki terā beṭā hī use banāegā.’
20 Aur wāqaī, Rab ne apnā wādā pūrā kiyā hai. Maiṅ Rab ke wāde ke ain mutābiq apne bāp Dāūd kī jagah Isrāīl kā bādshāh ban kar taḳht par baiṭh gayā hūṅ. Aur ab maiṅ ne Rab Isrāīl ke Ḳhudā ke nām kī tāzīm meṅ ghar bhī banāyā hai. 21 Us meṅ maiṅ ne us sandūq ke lie maqām taiyār kar rakhā hai jis meṅ sharīat kī taḳhtiyāṅ paṛī haiṅ, us ahd kī taḳhtiyāṅ jo Rab ne hamāre bāpdādā se Misr se nikālte waqt bāndhā thā.”
Rab ke Ghar kī Maḳhsūsiyat par Sulemān kī Duā
22 Phir Sulemān Isrāīl kī pūrī jamāt ke deḳhte deḳhte Rab kī qurbāngāh ke sāmne khaṛā huā. Us ne apne hāth āsmān kī taraf uṭhā kar 23 duā kī,
“Ai Rab Isrāīl ke Ḳhudā, tujh jaisā koī Ḳhudā nahīṅ hai, na āsmān aur na zamīn par. Tū apnā wuh ahd qāym rakhtā hai jise tū ne apnī qaum ke sāth bāndhā hai aur apnī mehrbānī un sab par zāhir kartā hai jo pūre dil se terī rāh par chalte haiṅ. 24 Tū ne apne ḳhādim Dāūd se kiyā huā wādā pūrā kiyā hai. Jo bāt tū ne apne muṅh se mere bāp se kī wuh tū ne apne hāth se āj hī pūrī kī hai. 25 Ai Rab Isrāīl ke Ḳhudā, ab apnī dūsrī bāt bhī pūrī kar jo tū ne apne ḳhādim Dāūd se kī thī. Kyoṅki tū ne mere bāp se wādā kiyā thā, ‘Agar terī aulād terī tarah apne chāl-chalan par dhyān de kar mere huzūr chaltī rahe to Isrāīl par us kī hukūmat hameshā tak qāym rahegī.’ 26 Ai Isrāīl ke Ḳhudā, ab barāh-e-karm apnā yih wādā pūrā kar jo tū ne apne ḳhādim mere bāp Dāūd se kiyā hai.
27 Lekin kyā Allāh wāqaī zamīn par sukūnat karegā? Nahīṅ, tū to bulandtarīn āsmān meṅ bhī samā nahīṅ saktā! To phir yih makān jo maiṅ ne banāyā hai kis tarah terī sukūnatgāh ban saktā hai? 28 Ai Rab mere Ḳhudā, to bhī apne ḳhādim kī duā aur iltijā sun jab maiṅ āj tere huzūr pukārte hue iltamās kartā hūṅ 29 ki barāh-e-karm din rāt is imārat kī nigarānī kar! Kyoṅki yih wuh jagah hai jis ke bāre meṅ tū ne ḳhud farmāyā, ‘Yahāṅ merā nām sukūnat karegā.’ Chunāṅche apne ḳhādim kī guzārish sun jo maiṅ is maqām kī taraf ruḳh kie hue kartā hūṅ. 30 Jab ham is maqām kī taraf ruḳh karke duā kareṅ to apne ḳhādim aur apnī qaum kī iltijā sun. Āsmān par apne taḳht se hamārī sun. Aur jab sunegā to hamāre gunāhoṅ ko muāf kar!
31 Agar kisī par ilzām lagāyā jāe aur use yahāṅ terī qurbāngāh ke sāmne lāyā jāe tāki halaf uṭhā kar wādā kare ki maiṅ bequsūr hūṅ 32 to barāh-e-karm āsmān par se sun kar apne ḳhādimoṅ kā insāf kar. Qusūrwār ko mujrim ṭhahrā kar us ke apne sar par wuh kuchh āne de jo us se sarzad huā hai, aur bequsūr ko be'ilzām qarār de kar us kī rāstbāzī kā badlā de.
33 Ho saktā hai kisī waqt terī qaum Isrāīl terā gunāh kare aur natīje meṅ dushman ke sāmne shikast khāe. Agar Isrāīlī āḳhirkār tere pās lauṭ āeṅ aur tere nām kī tamjīd karke yahāṅ is ghar meṅ tujh se duā aur iltamās kareṅ 34 to āsmān par se un kī fariyād sun lenā. Apnī qaum Isrāīl kā gunāh muāf karke unheṅ dubārā us mulk meṅ wāpas lānā jo tū ne un ke bāpdādā ko de diyā thā.
35 Ho saktā hai Isrāīlī terā itnā sangīn gunāh kareṅ ki kāl paṛe aur baṛī der tak bārish na barse. Agar wuh āḳhirkār is ghar kī taraf ruḳh karke tere nām kī tamjīd kareṅ aur terī sazā ke bāis apnā gunāh chhoṛ kar lauṭ āeṅ 36 to āsmān par se un kī fariyād sun lenā. Apne ḳhādimoṅ aur apnī qaum Isrāīl ko muāf kar, kyoṅki tū hī unheṅ achchhī rāh kī tālīm detā hai. Tab us mulk par dubārā bārish barsā de jo tū ne apnī qaum ko mīrās meṅ de diyā hai.
37 Ho saktā hai Isrāīl meṅ kāl paṛ jāe, anāj kī fasal kisī bīmārī, phaphūṅdī, ṭiḍḍiyoṅ yā kīṛoṅ se muta'assir ho jāe, yā dushman kisī shahr kā muhāsarā kare. Jo bhī musībat yā bīmārī ho, 38 agar koī Isrāīlī yā terī pūrī qaum us kā sabab jān kar apne hāthoṅ ko is ghar kī taraf baṛhāe aur tujh se iltamās kare 39 to āsmān par apne taḳht se un kī fariyād sun lenā. Unheṅ muāf karke wuh kuchh kar jo zarūrī hai. Har ek ko us kī tamām harkatoṅ kā badlā de, kyoṅki sirf tū hī har insān ke dil ko jāntā hai. 40 Phir jitnī der wuh us mulk meṅ zindagī guzāreṅge jo tū ne hamāre bāpdādā ko diyā thā utnī der wuh terā ḳhauf māneṅge.
41 Āindā pardesī bhī tere nām ke sabab se dūr-darāz mamālik se āeṅge. Agarche wuh terī qaum Isrāīl ke nahīṅ hoṅge 42 to bhī wuh tere azīm nām, terī baṛī qudrat aur tere zabardast kāmoṅ ke bāre meṅ sun kar āeṅge aur is ghar kī taraf ruḳh karke duā kareṅge. 43 Tab āsmān par se un kī fariyād sun lenā. Jo bhī darḳhāst wuh pesh kareṅ wuh pūrī karnā tāki duniyā kī tamām aqwām terā nām jān kar terī qaum Isrāīl kī tarah hī terā ḳhauf māneṅ aur jān leṅ ki jo imārat maiṅ ne tāmīr kī hai us par tere hī nām kā ṭhappā lagā hai.
44 Ho saktā hai terī qaum ke mard terī hidāyat ke mutābiq apne dushman se laṛne ke lie nikleṅ. Agar wuh tere chune hue shahr aur us imārat kī taraf ruḳh karke duā kareṅ jo maiṅ ne tere nām ke lie tāmīr kī hai 45 to āsmān par se un kī duā aur iltamās sun kar un ke haq meṅ insāf qāym rakhnā.
46 Ho saktā hai wuh terā gunāh kareṅ, aisī harkateṅ to ham sab se sarzad hotī rahtī haiṅ, aur natīje meṅ tū nārāz ho kar unheṅ dushman ke hawāle kar de jo unheṅ qaid karke apne kisī dūr-darāz yā qarībī mulk meṅ le jāe. 47 Shāyad wuh jilāwatanī meṅ taubā karke dubārā terī taraf rujū kareṅ aur tujh se iltamās kareṅ, ‘Ham ne gunāh kiyā hai, ham se ġhaltī huī hai, ham ne bedīn harkateṅ kī haiṅ.’ 48 Agar wuh aisā karke dushman ke mulk meṅ apne pūre dil-o-jān se dubārā terī taraf rujū kareṅ aur terī taraf se bāpdādā ko die gae mulk, tere chune hue shahr aur us imārat kī taraf ruḳh karke duā kareṅ jo maiṅ ne tere nām ke lie tāmīr kī hai 49 to āsmān par apne taḳht se un kī duā aur iltamās sun lenā. Un ke haq meṅ insāf qāym karnā, 50 aur apnī qaum ke gunāhoṅ ko muāf kar denā. Jis bhī jurm se unhoṅ ne terā gunāh kiyā hai wuh muāf kar denā. Baḳhsh de ki unheṅ giriftār karne wāle un par rahm kareṅ. 51 Kyoṅki yih terī hī qaum ke afrād haiṅ, terī hī mīrās jise tū Misr ke bhaṛakte bhaṭṭe se nikāl lāyā.
52 Ai Allāh, terī āṅkheṅ merī iltijāoṅ aur terī qaum Isrāīl kī fariyādoṅ ke lie khulī raheṅ. Jab bhī wuh madad ke lie tujhe pukāreṅ to un kī sun lenā! 53 Kyoṅki tū, ai Rab Qādir-e-mutlaq ne Isrāīl ko duniyā kī tamām qaumoṅ se alag karke apnī ḳhās milkiyat banā liyā hai. Hamāre bāpdādā ko Misr se nikālte waqt tū ne Mūsā kī mārifat is haqīqat kā elān kiyā.”
Āḳhirī Duā aur Barkat
54 Is duā ke bād Sulemān khaṛā huā, kyoṅki duā ke daurān us ne Rab kī qurbāngāh ke sāmne apne ghuṭne ṭeke aur apne hāth āsmān kī taraf uṭhāe hue the. 55 Ab wuh Isrāīl kī pūrī jamāt ke sāmne khaṛā huā aur buland āwāz se use barkat dī,
56 “Rab kī tamjīd ho jis ne apne wāde ke ain mutābiq apnī qaum Isrāīl ko ārām-o-sukūn farāham kiyā hai. Jitne bhī ḳhūbsūrat wāde us ne apne ḳhādim Mūsā kī mārifat kie haiṅ wuh sab ke sab pūre ho gae haiṅ. 57 Jis tarah Rab hamārā Ḳhudā hamāre bāpdādā ke sāth thā usī tarah wuh hamāre sāth bhī rahe. Na wuh hameṅ chhoṛe, na tark kare 58 balki hamāre diloṅ ko apnī taraf māyl kare tāki ham us kī tamām rāhoṅ par chaleṅ aur un tamām ahkām aur hidāyāt ke tābe raheṅ jo us ne hamāre bāpdādā ko dī haiṅ.
59 Rab ke huzūr merī yih fariyād din rāt Rab hamāre Ḳhudā ke qarīb rahe tāki wuh merā aur apnī qaum kā insāf qāym rakhe aur hamārī rozānā zarūriyāt pūrī kare. 60 Tab tamām aqwām jān leṅgī ki Rab hī Ḳhudā hai aur ki us ke siwā koī aur mābūd nahīṅ hai.
61 Lekin lāzim hai ki āp Rab hamāre Ḳhudā ke pūre dil se wafādār raheṅ. Hameshā us kī hidāyāt aur ahkām ke mutābiq zindagī guzāreṅ, bilkul usī tarah jis tarah āp āj kar rahe haiṅ.”
Rab ke Ghar kī Maḳhsūsiyat par Jashn
62-63 Phir bādshāh aur tamām Isrāīl ne Rab ke huzūr qurbāniyāṅ pesh karke Rab ke ghar ko maḳhsūs kiyā. Is silsile meṅ Sulemān ne 22,000 gāy-bailoṅ aur 1,20,000 bheṛ-bakriyoṅ ko salāmatī kī qurbāniyoṅ ke taur par zabah kiyā. 64 Usī din bādshāh ne sahan kā darmiyānī hissā qurbāniyāṅ chaṛhāne ke lie maḳhsūs kiyā. Wajah yih thī ki pītal kī qurbāngāh itnī qurbāniyāṅ pesh karne ke lie chhoṭī thī, kyoṅki bhasm hone wālī qurbāniyoṅ aur ġhallā kī nazaroṅ kī tādād bahut zyādā thī. Is ke alāwā salāmatī kī beshumār qurbāniyoṅ kī charbī ko bhī jalānā thā.
65 Īd 14 din tak manāī gaī. Pahle hafte meṅ Sulemān aur tamām Isrāīl ne Rab ke ghar kī maḳhsūsiyat manāī aur dūsre hafte meṅ Jhoṅpṛiyoṅ kī Īd. Bahut zyādā log sharīk hue. Wuh dūr-darāz ilāqoṅ se Yarūshalam āe the, shimāl meṅ Labo-hamāt se le kar junūb meṅ us wādī tak jo Misr kī sarhad thī. 66 Do haftoṅ ke bād Sulemān ne Isrāīliyoṅ ko ruḳhsat kiyā. Bādshāh ko barkat de kar wuh apne apne ghar chale gae. Sab shādmān aur dil se ḳhush the ki Rab ne apne ḳhādim Dāūd aur apnī qaum Isrāīl par itnī mehrbānī kī hai.
* 8:2 Sitambar tā Aktūbar.