11
Yahūdāh meṅ Ataliyāh kī Zālimānā Hukūmat
1 Jab Aḳhaziyāh kī māṅ Ataliyāh ko mālūm huā ki merā beṭā mar gayā hai to wuh Aḳhaziyāh kī tamām aulād ko qatl karne lagī.
2 Lekin Aḳhaziyāh kī sagī bahan Yahūsabā ne Aḳhaziyāh ke chhoṭe beṭe Yuās ko chupke se un shahzādoṅ meṅ se nikāl liyā jinheṅ qatl karnā thā aur use us kī dāyā ke sāth ek sṭor meṅ chhupā diyā jis meṅ bistar waġhairā mahfūz rakhe jāte the. Is tarah wuh bach gayā.
3 Bād meṅ Yuās ko Rab ke ghar meṅ muntaqil kiyā gayā jahāṅ wuh us ke sāth un chhih sāloṅ ke daurān chhupā rahā jab Ataliyāh malikā thī.
Ataliyāh kā Anjām aur Yuās Bādshāh Ban Jātā Hai
4 Ataliyāh kī hukūmat ke sātweṅ sāl meṅ Yahoyadā Imām ne sau sau sipāhiyoṅ par muqarrar afsaroṅ, Kārī nāmī dastoṅ aur shāhī muhāfizoṅ ko Rab ke ghar meṅ bulā liyā. Wahāṅ us ne qasam khilā kar un se ahd bāndhā. Phir us ne bādshāh ke beṭe Yuās ko pesh karke
5 unheṅ hidāyat kī, “Agle Sabat ke din āp meṅ se jitne ḍyūṭī par āeṅge wuh tīn hissoṅ meṅ taqsīm ho jāeṅ. Ek hissā shāhī mahal par pahrā de,
6 dūsrā Sūr nāmī darwāze par aur tīsrā shāhī muhāfizoṅ ke pīchhe ke darwāze par. Yoṅ āp Rab ke ghar kī hifāzat kareṅge.
7 Dūsre do guroh jo Sabat ke din ḍyūṭī nahīṅ karte unheṅ Rab ke ghar meṅ ā kar Yuās Bādshāh kī pahrādārī karnī hai.
8 Wuh us ke irdgird dāyrā banā kar apne hathiyāroṅ ko pakaṛe rakheṅ aur jahāṅ bhī wuh jāe use ghere rakheṅ. Jo bhī is dāyre meṅ ghusne kī koshish kare use mār ḍālnā.”
9 So sau sipāhiyoṅ par muqarrar afsaroṅ ne aisā hī kiyā. Agle Sabat ke din wuh sab apne faujiyoṅ samet Yahoyadā Imām ke pās āe. Wuh bhī āe jo ḍyūṭī par the aur wuh bhī jin kī ab chhuṭṭī thī.
10 Imām ne afsaroṅ ko Dāūd Bādshāh ke wuh neze aur ḍhāleṅ dīṅ jo ab tak Rab ke ghar meṅ mahfūz rakhī huī thīṅ.
11 Phir muhāfiz hathiyāroṅ ko hāth meṅ pakaṛe bādshāh ke gird khaṛe ho gae. Qurbāngāh aur Rab ke ghar ke darmiyān un kā dāyrā Rab ke ghar kī junūbī dīwār se le kar us kī shimālī dīwār tak phailā huā thā.
12 Phir Yahoyadā bādshāh ke beṭe Yuās ko bāhar lāyā aur us ke sar par tāj rakh kar use qawānīn kī kitāb de dī. Yoṅ Yuās ko bādshāh banā diyā gayā. Unhoṅ ne use masah karke tāliyāṅ bajāīṅ aur buland āwāz se nārā lagāne lage, “Bādshāh zindābād!”
13 Jab muhāfizoṅ aur bāqī logoṅ kā shor Ataliyāh tak pahuṅchā to wuh Rab ke ghar ke sahan meṅ un ke pās āī.
14 Wahāṅ pahuṅch kar wuh kyā deḳhtī hai ki nayā bādshāh us satūn ke pās khaṛā hai jahāṅ bādshāh riwāj ke mutābiq khaṛā hotā hai, aur wuh afsaroṅ aur turam bajāne wāloṅ se ghirā huā hai. Tamām ummat bhī sāth khaṛī turam bajā bajā kar ḳhushī manā rahī hai. Ataliyāh ranjish ke māre apne kapṛe phāṛ kar chīḳh uṭhī, “Ġhaddārī, ġhaddārī!”
15 Yahoyadā Imām ne sau sau faujiyoṅ par muqarrar un afsaroṅ ko bulāyā jin ke sapurd fauj kī gaī thī aur unheṅ hukm diyā, “Use bāhar le jāeṅ, kyoṅki munāsib nahīṅ ki use Rab ke ghar ke pās mārā jāe. Aur jo bhī us ke pīchhe āe use talwār se mār denā.”
16 Wuh Ataliyāh ko pakaṛ kar us rāste par le gae jis par chalte hue ghoṛe mahal ke pās pahuṅchte haiṅ. Wahāṅ use mār diyā gayā.
17 Phir Yahoyadā ne bādshāh aur qaum ke sāth mil kar Rab se ahd bāndh kar wādā kiyā ki ham Rab kī qaum raheṅge. Is ke alāwā bādshāh ne Yahoyadā kī mārifat qaum se bhī ahd bāndhā.
18 Is ke bād ummat ke tamām log Bāl ke mandir par ṭūṭ paṛe aur use ḍhā diyā. Us kī qurbāngāhoṅ aur butoṅ ko ṭukṛe ṭukṛe karke unhoṅ ne Bāl ke pujārī Mattān ko qurbāngāhoṅ ke sāmne hī mār ḍālā. Rab ke ghar par pahredār khaṛe karne ke bād
19 Yahoyadā sau sau faujiyoṅ par muqarrar afsaroṅ, Kārī nāmī dastoṅ, mahal ke muhāfizoṅ aur bāqī pūrī ummat ke hamrāh julūs nikāl kar bādshāh ko Rab ke ghar se mahal meṅ le gayā. Wuh muhāfizoṅ ke darwāze se ho kar dāḳhil hue. Bādshāh shāhī taḳht par baiṭh gayā,
20 aur tamām ummat ḳhushī manātī rahī. Yoṅ Yarūshalam Shahr ko sukūn milā, kyoṅki Ataliyāh ko mahal ke pās talwār se mār diyā gayā thā.
Yahūdāh kā Bādshāh Yuās
21 Yuās sāt sāl kā thā jab taḳhtnashīn huā.