24
Yahūyaqīm kī hukūmat ke daurān Bābal ke bādshāh Nabūkadnazzar ne Yahūdāh par hamlā kiyā. Natīje meṅ Yahūyaqīm us ke tābe ho gayā. Lekin tīn sāl ke bād wuh sarkash ho gayā. Tab Rab ne Bābal, Shām, Moāb aur Ammon se ḍākuoṅ ke jatthe bhej die tāki use tabāh kareṅ. Waisā hī huā jis tarah Rab ne apne ḳhādimoṅ yānī nabiyoṅ kī mārifat farmāyā thā. Yih āfateṅ is lie Yahūdāh par āīṅ ki Rab ne in kā hukm diyā thā. Wuh Manassī ke sangīn gunāhoṅ kī wajah se Yahūdāh ko apne huzūr se ḳhārij karnā chāhtā thā.
Wuh yih haqīqat bhī nazarandāz na kar sakā ki Manassī ne Yarūshalam ko bequsūr logoṅ ke ḳhūn se bhar diyā thā. Rab yih muāf karne ke lie taiyār nahīṅ thā. Bāqī jo kuchh Yahūyaqīm kī hukūmat ke daurān huā aur jo kuchh us ne kiyā wuh ‘Shāhān-e-Yahūdāh kī Tārīḳh’ kī kitāb meṅ darj hai. Jab wuh mar kar apne bāpdādā se jā milā to us kā beṭā Yahūyākīn taḳhtnashīn huā. Us waqt Misr kā bādshāh dubārā apne mulk se nikal na sakā, kyoṅki Bābal ke bādshāh ne Misr kī sarhad banām Wādī-e-Misr se le kar Dariyā-e-Furāt tak kā sārā ilāqā Misr ke qabze se chhīn liyā thā.
Yahūyākīn kī Hukūmat aur Yarūshalam par Bābal kā Qabzā
Yahūyākīn 18 sāl kī umr meṅ bādshāh banā, aur Yarūshalam meṅ us kī hukūmat kā daurāniyā tīn māh thā. Us kī māṅ Nahushtā bint Ilnātan Yarūshalam kī rahne wālī thī. Apne bāp kī tarah Yahūyākīn bhī aisā kām kartā rahā jo Rab ko nāpasand thā.
10 Us kī hukūmat ke daurān Bābal ke bādshāh Nabūkadnazzar kī fauj Yarūshalam tak baṛh kar us kā muhāsarā karne lagī. 11 Nabūkadnazzar ḳhud shahr ke muhāsare ke daurān pahuṅch gayā. 12 Tab Yahūyākīn ne shikast mān kar apne āp ko apnī māṅ, mulāzimoṅ, afsaroṅ aur darbāriyoṅ samet Bābal ke bādshāh ke hawāle kar diyā. Bādshāh ne use giriftār kar liyā.
Yih Nabūkadnazzar kī hukūmat ke āṭhweṅ sāl meṅ huā. 13 Jis kā elān Rab ne pahle kiyā thā wuh ab pūrā huā, Nabūkadnazzar ne Rab ke ghar aur shāhī mahal ke tamām ḳhazāne chhīn lie. Us ne sone kā wuh sārā sāmān bhī lūṭ liyā jo Sulemān ne Rab ke ghar ke lie banwāyā thā. 14 Aur jitne khāte-pīte log Yarūshalam meṅ the un sab ko bādshāh ne jilāwatan kar diyā. Un meṅ tamām afsar, faujī, dastkār aur dhātoṅ kā kām karne wāle shāmil the, kul 10,000 afrād. Ummat ke sirf ġharīb log pīchhe rah gae. 15 Nabūkadnazzar Yahūyākīn ko bhī qaidī banā kar Bābal le gayā aur us kī māṅ, bīwiyoṅ, darbāriyoṅ aur mulk ke tamām asar-o-rasūḳh rakhne wāloṅ ko bhī. 16 Us ne faujiyoṅ ke 7,000 afrād aur 1,000 dastkāroṅ aur dhātoṅ kā kām karne wāloṅ ko jilāwatan karke Bābal meṅ basā diyā. Yih sab māhir aur jang karne ke qābil ādmī the. 17 Yarūshalam meṅ Bābal ke bādshāh ne Yahūyākīn kī jagah us ke chachā Mattaniyāh ko taḳht par biṭhā kar us kā nām Sidqiyāh meṅ badal diyā.
Yahūdāh kā Bādshāh Sidqiyāh
18 Sidqiyāh 21 sāl kī umr meṅ bādshāh banā, aur Yarūshalam meṅ us kī hukūmat kā daurāniyā 11 sāl thā. Us kī māṅ Hamūtal bint Yarmiyāh Libnā Shahr kī rahne wālī thī. 19 Yahūyaqīm kī tarah Sidqiyāh aisā kām kartā rahā jo Rab ko nāpasand thā. 20 Rab Yarūshalam aur Yahūdāh ke bāshindoṅ se itnā nārāz huā ki āḳhir meṅ us ne unheṅ apne huzūr se ḳhārij kar diyā.
Sidqiyāh kā Farār aur Giriftārī
Ek din Sidqiyāh Bābal ke bādshāh se sarkash huā,