Lūqā
1
Peshlafz
1 Muhtaram Thiyufilus, bahut-se log wuh sab kuchh likh chuke haiṅ jo hamāre darmiyān wāqe huā hai.
2 Un kī koshish yih thī ki wuhī kuchh bayān kiyā jāe jis kī gawāhī wuh dete haiṅ jo shurū hī se sāth the aur āj tak Allāh kā kalām sunāne kī ḳhidmat saranjām de rahe haiṅ.
3 Maiṅ ne bhī har mumkin koshish kī hai ki sab kuchh shurū se aur ain haqīqat ke mutābiq mālūm karūṅ. Ab maiṅ yih bāteṅ tartīb se āp ke lie likhnā chāhtā hūṅ.
4 Āp yih paṛh kar jān leṅge ki jo bāteṅ āp ko sikhāī gaī haiṅ wuh sach aur durust haiṅ.
Yahyā ke bāre meṅ Peshgoī
5 Yahūdiyā ke bādshāh Herodes ke zamāne meṅ ek imām thā jis kā nām Zakariyāh thā. Baitul-muqaddas meṅ imāmoṅ ke muḳhtalif guroh ḳhidmat saranjām dete the, aur Zakariyāh kā tālluq Abiyāh ke guroh se thā. Us kī bīwī imām-e-āzam Hārūn kī nasl se thī aur us kā nām Ilīshibā thā.
6 Miyāṅ-bīwī Allāh ke nazdīk rāstbāz the aur Rab ke tamām ahkām aur hidāyāt ke mutābiq be'ilzām zindagī guzārte the.
7 Lekin wuh beaulād the. Ilīshibā ke bachche paidā nahīṅ ho sakte the. Ab wuh donoṅ būṛhe ho chuke the.
8 Ek din Baitul-muqaddas maiṅ Abiyāh ke guroh kī bārī thī aur Zakariyāh Allāh ke huzūr apnī ḳhidmat saranjām de rahā thā.
9 Dastūr ke mutābiq unhoṅ ne qurā ḍālā tāki mālūm kareṅ ki Rab ke maqdis meṅ jā kar baḳhūr kī qurbānī kaun jalāe. Zakariyāh ko chunā gayā.
10 Jab wuh muqarrarā waqt par baḳhūr jalāne ke lie Baitul-muqaddas meṅ dāḳhil huā to jamā hone wāle tamām parastār sahan meṅ duā kar rahe the.
11 Achānak Rab kā ek farishtā zāhir huā jo baḳhūr jalāne kī qurbāngāh ke dahnī taraf khaṛā thā.
12 Use dekh kar Zakariyāh ghabrāyā aur bahut ḍar gayā.
13 Lekin farishte ne us se kahā, “Zakariyāh, mat ḍar! Allāh ne terī duā sun lī hai. Terī bīwī Ilīshibā ke beṭā hogā. Us kā nām Yahyā rakhnā.
14 Wuh na sirf tere lie ḳhushī aur musarrat kā bāis hogā, balki bahut-se log us kī paidāish par ḳhushī manāeṅge.
15 Kyoṅki wuh Rab ke nazdīk azīm hogā. Lāzim hai ki wuh mai aur sharāb se parhez kare. Wuh paidā hone se pahle hī Rūhul-quds se māmūr hogā
16 aur Isrāīlī qaum meṅ se bahutoṅ ko Rab un ke Ḳhudā ke pās wāpas lāegā.
17 Wuh Iliyās kī rūh aur quwwat se Ḳhudāwand ke āge āge chalegā. Us kī ḳhidmat se wālidoṅ ke dil apne bachchoṅ kī taraf māyl ho jāeṅge aur nāfarmān log rāstbāzoṅ kī dānāī kī taraf rujū kareṅge. Yoṅ wuh is qaum ko Rab ke lie taiyār karegā.”
18 Zakariyāh ne farishte se pūchhā, “Maiṅ kis tarah jānūṅ ki yih bāt sach hai? Maiṅ ḳhud būṛhā hūṅ aur merī bīwī bhī umrrasīdā hai.”
19 Farishte ne jawāb diyā, “Maiṅ Jibrāīl hūṅ jo Allāh ke huzūr khaṛā rahtā hūṅ. Mujhe isī maqsad ke lie bhejā gayā hai ki tujhe yih ḳhushḳhabrī sunāūṅ.
20 Lekin chūṅki tū ne merī bāt kā yaqīn nahīṅ kiyā is lie tū ḳhāmosh rahegā aur us waqt tak bol nahīṅ sakegā jab tak tere beṭā paidā na ho. Merī yih bāteṅ muqarrarā waqt par hī pūrī hoṅgī.”
21 Is daurān bāhar ke log Zakariyāh ke intazār meṅ the. Wuh hairān hote jā rahe the ki use wāpas āne meṅ kyoṅ itnī der ho rahī hai.
22 Āḳhirkār wuh bāhar āyā, lekin wuh un se bāt na kar sakā. Tab unhoṅ ne jān liyā ki us ne Baitul-muqaddas meṅ royā dekhī hai. Us ne hāthoṅ se ishāre to kie, lekin ḳhāmosh rahā.
23 Zakariyāh muqarrarā waqt tak Baitul-muqaddas meṅ apnī ḳhidmat anjām detā rahā, phir apne ghar wāpas chalā gayā.
24 Thoṛe dinoṅ ke bād us kī bīwī Ilīshibā hāmilā ho gaī aur wuh pāṅch māh tak ghar meṅ chhupī rahī.
25 Us ne kahā, “Ḳhudāwand ne mere lie kitnā baṛā kām kiyā hai, kyoṅki ab us ne merī fikr kī aur logoṅ ke sāmne se merī ruswāī dūr kar dī.”
Īsā kī Paidāish kī Peshgoī
26-27 Ilīshibā chhih māh se ummīd se thī jab Allāh ne Jibrāīl farishte ko ek kuṅwārī ke pās bhejā jo Nāsarat meṅ rahtī thī. Nāsarat Galīl kā ek shahr hai aur kuṅwārī kā nām Mariyam thā. Us kī mangnī ek mard ke sāth ho chukī thī jo Dāūd Bādshāh kī nasl se thā aur jis kā nām Yūsuf thā.
28 Farishte ne us ke pās ā kar kahā, “Ai ḳhātūn jis par Rab kā ḳhās fazl huā hai, salām! Rab tere sāth hai.”
29 Mariyam yih sun kar ghabrā gaī aur sochā, “Yih kis tarah kā salām hai?”
30 Lekin farishte ne apnī bāt jārī rakhī aur kahā, “Ai Mariyam, mat ḍar, kyoṅki tujh par Allāh kā fazl huā hai.
31 Tū ummīd se ho kar ek beṭe ko janm degī. Tujhe us kā nām Īsā (Najāt Dene Wālā) rakhnā hai.
32 Wuh azīm hogā aur Allāh T'ālā kā Farzand kahlāegā. Rab hamārā Ḳhudā use us ke bāp Dāūd ke taḳht par biṭhāegā
33 aur wuh hameshā tak Isrāīl par hukūmat karegā. Us kī saltanat kabhī ḳhatm na hogī.”
34 Mariyam ne farishte se kahā, “Yih kyoṅkar ho saktā hai? Abhī to maiṅ kuṅwārī hūṅ.”
35 Farishte ne jawāb diyā, “Rūhul-quds tujh par nāzil hogā, Allāh T'ālā kī qudrat kā sāyā tujh par chhā jāegā. Is lie yih bachchā quddūs hogā aur Allāh kā Farzand kahlāegā.
36 Aur dekh, terī rishtedār Ilīshibā ke bhī beṭā hogā hālāṅki wuh umrrasīdā hai. Go use bāṅjh qarār diyā gayā thā, lekin wuh chhih māh se ummīd se hai.
37 Kyoṅki Allāh ke nazdīk koī kām nāmumkin nahīṅ hai.”
38 Mariyam ne jawāb diyā, “Maiṅ Rab kī ḳhidmat ke lie hāzir hūṅ. Mere sāth waisā hī ho jaisā āp ne kahā hai.” Is par farishtā chalā gayā.
Mariyam Ilīshibā se Miltī Hai
39 Un dinoṅ meṅ Mariyam Yahūdiyā ke pahāṛī ilāqe ke ek shahr ke lie rawānā huī. Us ne jaldī jaldī safr kiyā.
40 Wahāṅ pahuṅch kar wuh Zakariyāh ke ghar meṅ dāḳhil huī aur Ilīshibā ko salām kiyā.
41 Mariyam kā yih salām sun kar Ilīshibā kā bachchā us ke peṭ meṅ uchhal paṛā aur Ilīshibā ḳhud Rūhul-quds se bhar gaī.
42 Us ne buland āwāz se kahā, “Tū tamām auratoṅ meṅ mubārak hai aur mubārak hai terā bachchā!
43 Maiṅ kaun hūṅ ki mere Ḳhudāwand kī māṅ mere pās āī!
44 Jyoṅ hī maiṅ ne terā salām sunā bachchā mere peṭ meṅ ḳhushī se uchhal paṛā.
45 Tū kitnī mubārak hai, kyoṅki tū īmān lāī ki jo kuchh Rab ne farmāyā hai wuh takmīl tak pahuṅchegā.”
Mariyam kā Gīt
46 Is par Mariyam ne kahā,
“Merī jān Rab kī tāzīm kartī hai
47 aur merī rūh apne Najātdahindā Allāh se nihāyat ḳhush hai.
48 Kyoṅki us ne apnī ḳhādimā kī pastī par nazar kī hai.
Hāṅ, ab se tamām nasleṅ mujhe mubārak kaheṅgī,
49 kyoṅki Qādir-e-mutlaq ne mere lie baṛe baṛe kām kie haiṅ.
Us kā nām quddūs hai.
50 Jo us kā ḳhauf mānte haiṅ
un par wuh pusht-dar-pusht apnī rahmat zāhir karegā.
51 Us kī qudrat ne azīm kām kar dikhāe haiṅ,
aur dil se maġhrūr log titar-bitar ho gae haiṅ.
52 Us ne hukmrānoṅ ko un ke taḳht se haṭā kar
pasthāl logoṅ ko sarfarāz kar diyā hai.
53 Bhūkoṅ ko us ne achchhī chīzoṅ se mālāmāl karke
amīroṅ ko ḳhālī hāth lauṭā diyā hai.
54 Wuh apne ḳhādim Isrāīl kī madad ke lie ā gayā hai.
Hāṅ, us ne apnī rahmat ko yād kiyā hai,
55 yānī wuh dāymī wādā jo us ne hamāre buzurgoṅ ke sāth kiyā thā,
Ibrāhīm aur us kī aulād ke sāth.”
56 Mariyam taqrīban tīn māh Ilīshibā ke hāṅ ṭhahrī rahī, phir apne ghar lauṭ gaī.
Yahyā Baptismā Dene Wāle kī Paidāish
57 Phir Ilīshibā kā bachche ko janm dene kā din ā pahuṅchā aur us ke beṭā huā.
58 Jab us ke hamsāyoṅ aur rishtedāroṅ ko ittalā milī ki Rab kī us par kitnī baṛī rahmat huī hai to unhoṅ ne us ke sāth ḳhushī manāī.
59 Jab bachchā āṭh din kā thā to wuh us kā ḳhatnā karwāne kī rasm ke lie āe. Wuh bachche kā nām us ke bāp ke nām par Zakariyāh rakhnā chāhte the,
60 lekin us kī māṅ ne etarāz kiyā. Us ne kahā, “Nahīṅ, us kā nām Yahyā ho.”
61 Unhoṅ ne kahā, “Āp ke rishtedāroṅ meṅ to aisā nām kahīṅ bhī nahīṅ pāyā jātā.”
62 Tab unhoṅ ne ishāroṅ se bachche ke bāp se pūchhā ki wuh kyā nām rakhnā chāhtā hai.
63 Jawāb meṅ Zakariyāh ne taḳhtī mangwā kar us par likhā, “Is kā nām Yahyā hai.” Yih dekh kar sab hairān hue.
64 Usī lamhe Zakariyāh dubārā bolne ke qābil ho gayā, aur wuh Allāh kī tamjīd karne lagā.
65 Tamām hamsāyoṅ par ḳhauf chhā gayā aur is bāt kā charchā Yahūdiyā ke pūre ilāqe meṅ phail gayā.
66 Jis ne bhī sunā us ne sanjīdagī se is par ġhaur kiyā aur sochā, “Is bachche kā kyā banegā?” Kyoṅki Rab kī qudrat us ke sāth thī.
Zakariyāh kī Nabuwwat
67 Us kā bāp Zakariyāh Rūhul-quds se māmūr ho gayā aur nabuwwat karke kahā,
68 “Rab Isrāīl ke Allāh kī tamjīd ho!
Kyoṅki wuh apnī qaum kī madad ke lie āyā hai,
us ne fidyā de kar use chhuṛāyā hai.
69 Us ne apne ḳhādim Dāūd ke gharāne meṅ
hamāre lie ek azīm Najātdahindā khaṛā kiyā hai.
70 Aisā hī huā jis tarah us ne qadīm zamānoṅ meṅ
apne muqaddas nabiyoṅ kī mārifat farmāyā thā,
71 ki wuh hameṅ hamāre dushmanoṅ se najāt dilāegā,
un sab ke hāth se
jo ham se nafrat rakhte haiṅ.
72 Kyoṅki us ne farmāyā thā ki wuh hamāre bāpdādā par rahm karegā
73 aur apne muqaddas ahd ko yād rakhegā,
us wāde ko jo us ne qasam khā kar
Ibrāhīm ke sāth kiyā thā.
74 Ab us kā yih wādā pūrā ho jāegā:
Ham apne dushmanoṅ se maḳhlasī pā kar
ḳhauf ke baġhair Allāh kī ḳhidmat kar sakeṅge,
75 jīte-jī us ke huzūr muqaddas aur rāst zindagī guzār sakeṅge.
76 Aur tū, mere bachche, Allāh T'ālā kā nabī kahlāegā.
Kyoṅki tū Ḳhudāwand ke āge āge
us ke rāste taiyār karegā.
77 Tū us kī qaum ko najāt kā rāstā dikhāegā,
ki wuh kis tarah apne gunāhoṅ kī muāfī pāegī.
78 Hamāre Allāh kī baṛī rahmat kī wajah se
ham par ilāhī nūr chamkegā.
79 Us kī raushnī un par phail jāegī jo andhere
aur maut ke sāye meṅ baiṭhe haiṅ,
hāṅ wuh hamāre qadmoṅ ko salāmatī kī rāh par pahuṅchāegī.”
80 Yahyā parwān chaṛhā aur us kī rūh ne taqwiyat pāī. Us ne us waqt tak registān meṅ zindagī guzārī jab tak use Isrāīl kī ḳhidmat karne ke lie bulāyā na gayā.