6
Sabat ke bāre meṅ Sawāl
1 Ek din Īsā anāj ke khetoṅ meṅ se guzar rahā thā. Chalte chalte us ke shāgird anāj kī bāleṅ toṛne aur apne hāthoṅ se mal kar khāne lage. Sabat kā din thā.
2 Yih dekh kar kuchh Farīsiyoṅ ne kahā, “Tum yih kyoṅ kar rahe ho? Sabat ke din aisā karnā manā hai.”
3 Īsā ne jawāb diyā, “Kyā tum ne kabhī nahīṅ paṛhā ki Dāūd ne kyā kiyā jab use aur us ke sāthiyoṅ ko bhūk lagī thī?
4 Wuh Allāh ke ghar meṅ dāḳhil huā aur Rab ke lie maḳhsūsshudā roṭiyāṅ le kar khāīṅ, agarche sirf imāmoṅ ko inheṅ khāne kī ijāzat hai. Aur us ne apne sāthiyoṅ ko bhī yih roṭiyāṅ khilāīṅ.”
5 Phir Īsā ne un se kahā, “Ibn-e-Ādam Sabat kā mālik hai.”
Sūkhe Hāth kī Shafā
6 Sabat ke ek aur din Īsā ibādatḳhāne meṅ jā kar sikhāne lagā. Wahāṅ ek ādmī thā jis kā dahnā hāth sūkhā huā thā.
7 Sharīat ke ālim aur Farīsī baṛe ġhaur se dekh rahe the ki kyā Īsā is ādmī ko āj bhī shafā degā? Kyoṅki wuh us par ilzām lagāne kā koī bahānā ḍhūnḍ rahe the.
8 Lekin Īsā ne un kī soch ko jān liyā aur us sūkhe hāth wāle ādmī se kahā, “Uṭh, darmiyān meṅ khaṛā ho.” Chunāṅche wuh ādmī khaṛā huā.
9 Phir Īsā ne un se pūchhā, “Mujhe batāo, sharīat hameṅ Sabat ke din kyā karne kī ijāzat detī hai, nek kām karne kī yā ġhalat kām karne kī, kisī kī jān bachāne kī yā use tabāh karne kī?”
10 Wuh ḳhāmosh ho kar apne irdgird ke tamām logoṅ kī taraf deḳhne lagā. Phir us ne kahā, “Apnā hāth āge baṛhā.” Us ne aisā kiyā to us kā hāth bahāl ho gayā.
11 Lekin wuh āpe meṅ na rahe aur ek dūsre se bāt karne lage ki ham Īsā se kis tarah nipaṭ sakte haiṅ?
Īsā Bārah Rasūloṅ ko Muqarrar Kartā Hai
12 Unhīṅ dinoṅ meṅ Īsā nikal kar duā karne ke lie pahāṛ par chaṛh gayā. Duā karte karte pūrī rāt guzar gaī.
13 Phir us ne apne shāgirdoṅ ko apne pās bulā kar un meṅ se bārah ko chun liyā, jinheṅ us ne apne rasūl muqarrar kiyā. Un ke nām yih haiṅ:
14 Shamāūn jis kā laqab us ne Patras rakhā, us kā bhāī Andriyās, Yāqūb, Yūhannā, Filippus, Bartulmāī,
15 Mattī, Tomā, Yāqūb bin Halfaī, Shamāūn Mujāhid,
16 Yahūdāh bin Yāqūb aur Yahūdāh Iskariyotī jis ne bād meṅ use dushman ke hawāle kar diyā.
Īsā Tālīm aur Shafā Detā Hai
17 Phir wuh un ke sāth pahāṛ se utar kar ek khule aur hamwār maidān meṅ khaṛā huā. Wahāṅ shāgirdoṅ kī baṛī tādād ne use gher liyā. Sāth hī bahut-se log Yahūdiyā, Yarūshalam aur Sūr aur Saidā ke sāhilī ilāqe se
18 us kī tālīm sunane aur bīmāriyoṅ se shafā pāne ke lie āe the. Aur jinheṅ badrūheṅ tang kar rahī thīṅ unheṅ bhī shafā milī.
19 Tamām log use chhūne kī koshish kar rahe the, kyoṅki us meṅ se quwwat nikal kar sab ko shafā de rahī thī.
Kaun Mubārak Hai?
20 Phir Īsā ne apne shāgirdoṅ kī taraf dekh kar kahā,
“Mubārak ho tum jo zarūratmand ho,
kyoṅki Allāh kī bādshāhī tum ko hī hāsil hai.
21 Mubārak ho tum jo is waqt bhūke ho,
kyoṅki ser ho jāoge.
Mubārak ho tum jo is waqt rote ho,
kyoṅki ḳhushī se haṅsoge.
22 Mubārak ho tum jab log is lie tum se nafrat karte aur tumhārā huqqā-pānī band karte haiṅ ki tum Ibn-e-Ādam ke pairokār ban gae ho. Hāṅ, mubārak ho tum jab wuh isī wajah se tumheṅ lān-tān karte aur tumhārī badnāmī karte haiṅ.
23 Jab wuh aisā karte haiṅ to shādmān ho kar ḳhushī se nācho, kyoṅki āsmān par tum ko baṛā ajr milegā. Un ke bāpdādā ne yihī sulūk nabiyoṅ ke sāth kiyā thā.
24 Magar tum par afsos jo ab daulatmand ho,
kyoṅki tumhārā sukūn yihīṅ ḳhatm ho jāegā.
25 Tum par afsos jo is waqt ḳhūb ser ho,
kyoṅki bād meṅ tum bhūke hoge.
Tum par afsos jo ab haṅs rahe ho,
kyoṅki ek waqt āegā ki ro ro kar mātam karoge.
26 Tum par afsos jin kī tamām log tārīf karte haiṅ, kyoṅki un ke bāpdādā ne yihī sulūk jhūṭe nabiyoṅ ke sāth kiyā thā.
Apne Dushmanoṅ se Muhabbat Rakhnā
27 Lekin tum ko jo sun rahe ho maiṅ yih batātā hūṅ, apne dushmanoṅ se muhabbat rakho, aur un se bhalāī karo jo tum se nafrat karte haiṅ.
28 Jo tum par lānat karte haiṅ unheṅ barkat do, aur jo tum se burā sulūk karte haiṅ un ke lie duā karo.
29 Agar koī tumhāre ek gāl par thappaṛ māre to use dūsrā gāl bhī pesh kar do. Isī tarah agar koī tumhārī chādar chhīn le to use qamīs lene se bhī na roko.
30 Jo bhī tum se kuchh māṅgtā hai use do. Aur jis ne tum se kuchh liyā hai us se use wāpas dene kā taqāzā na karo.
31 Logoṅ ke sāth waisā sulūk karo jaisā tum chāhte ho ki wuh tumhāre sāth kareṅ.
32 Agar tum sirf unhīṅ se muhabbat karo jo tum se karte haiṅ to is meṅ tumhārī kyā ḳhās mehrbānī hogī? Gunāhgār bhī aisā hī karte haiṅ.
33 Aur agar tum sirf unhīṅ se bhalāī karo jo tum se bhalāī karte haiṅ to is meṅ tumhārī kyā ḳhās mehrbānī hogī? Gunāhgār bhī aisā hī karte haiṅ.
34 Isī tarah agar tum sirf unhīṅ ko udhār do jin ke bāre meṅ tumheṅ andāzā hai ki wuh wāpas kar deṅge to is meṅ tumhārī kyā ḳhās mehrbānī hogī? Gunāhgār bhī gunāhgāroṅ ko udhār dete haiṅ jab unheṅ sab kuchh wāpas milne kā yaqīn hotā hai.
35 Nahīṅ, apne dushmanoṅ se muhabbat karo aur unhīṅ se bhalāī karo. Unheṅ udhār do jin ke bāre meṅ tumheṅ wāpas milne kī ummīd nahīṅ hai. Phir tum ko baṛā ajr milegā aur tum Allāh T'ālā ke farzand sābit hoge, kyoṅki wuh bhī nāshukroṅ aur bure logoṅ par nekī kā izhār kartā hai.
36 Lāzim hai ki tum rahmdil ho kyoṅki tumhārā Bāp bhī rahmdil hai.
Munsif na Bananā
37 Dūsroṅ kī adālat na karnā to tumhārī bhī adālat nahīṅ kī jāegī. Dūsroṅ ko mujrim qarār na denā to tum ko bhī mujrim qarār nahīṅ diyā jāegā. Muāf karo to tum ko bhī muāf kar diyā jāegā.
38 Do to tum ko bhī diyā jāegā. Hāṅ, jis hisāb se tum ne diyā usī hisāb se tum ko diyā jāegā, balki paimānā dabā dabā aur hilā hilā kar aur labrez karke tumhārī jholī meṅ ḍāl diyā jāegā. Kyoṅki jis paimāne se tum nāpte ho usī se tumhāre lie nāpā jāegā.”
39 Phir Īsā ne yih misāl pesh kī. “Kyā ek andhā dūsre andhe kī rāhnumāī kar saktā hai? Hargiz nahīṅ! Agar wuh aisā kare to donoṅ gaṛhe meṅ gir jāeṅge.
40 Shāgird apne ustād se baṛā nahīṅ hotā balki jab use pūrī ṭrening milī ho to wuh apne ustād hī kī mānind hogā.
41 Tū kyoṅ ġhaur se apne bhāī kī āṅkh meṅ paṛe tinke par nazar kartā hai jabki tujhe wuh shahtīr nazar nahīṅ ātā jo terī apnī āṅkh meṅ hai?
42 Tū kyoṅkar apne bhāī se kah saktā hai, ‘Bhāī, ṭhahro, mujhe tumhārī āṅkh meṅ paṛā tinkā nikālne do’ jabki tujhe apnī āṅkh kā shahtīr nazar nahīṅ ātā? Riyākār! Pahle apnī āṅkh ke shahtīr ko nikāl. Tab hī tujhe bhāī kā tinkā sāf nazar āegā aur tū use achchhī tarah se dekh kar nikāl sakegā.
Daraḳht Us ke Phal se Pahchānā Jātā Hai
43 Na achchhā daraḳht ḳharāb phal lātā hai, na ḳharāb daraḳht achchhā phal.
44 Har qism kā daraḳht us ke phal se pahchānā jātā hai. Ḳhārdār jhāṛiyoṅ se anjīr yā angūr nahīṅ toṛe jāte.
45 Nek shaḳhs kā achchhā phal us ke dil ke achchhe ḳhazāne se nikaltā hai jabki bure shaḳhs kā ḳharāb phal us ke dil kī burāī se nikaltā hai. Kyoṅki jis chīz se dil bharā hotā hai wuhī chhalak kar muṅh se nikaltī hai.
Do Qism ke Makān
46 Tum kyoṅ mujhe ‘Ḳhudāwand, Ḳhudāwand’ kah kar pukārte ho? Merī bāt par to tum amal nahīṅ karte.
47 Lekin maiṅ tum ko batātā hūṅ ki wuh shaḳhs kis kī mānind hai jo mere pās ā kar merī bāt sun letā aur us par amal kartā hai.
48 Wuh us ādmī kī mānind hai jis ne apnā makān banāne ke lie gahrī buniyād kī khudāī karwāī. Khod khod kar wuh chaṭṭān tak pahuṅch gayā. Usī par us ne makān kī buniyād rakhī. Makān mukammal huā to ek din sailāb āyā. Zor se bahtā huā pānī makān se ṭakrāyā, lekin wuh use hilā na sakā kyoṅki wuh mazbūtī se banāyā gayā thā.
49 Lekin jo merī bāt suntā aur us par amal nahīṅ kartā wuh us shaḳhs kī mānind hai jis ne apnā makān buniyād ke baġhair zamīn par hī tāmīr kiyā. Jyoṅ hī zor se bahtā huā pānī us se ṭakrāyā to wuh gir gayā aur sarāsar tabāh ho gayā.”