2
Ġhallā kī Nazar
Agar koī Rab ko ġhallā kī nazar pesh karnā chāhe to wuh is ke lie behtarīn maidā istemāl kare. Us par wuh zaitūn kā tel unḍele aur lubān rakh kar use Hārūn ke beṭoṅ ke pās le āe jo imām haiṅ. Imām tel se milāyā gayā muṭṭhī-bhar maidā aur tamām lubān le kar qurbāngāh par jalā de. Yih yādgār kā hissā hai, aur us kī ḳhushbū Rab ko pasand hai. Bāqī maidā aur tel Hārūn aur us ke beṭoṅ kā hissā hai. Wuh Rab kī jalne wālī qurbāniyoṅ meṅ se ek nihāyat muqaddas hissā hai.
Agar yih qurbānī tanūr meṅ pakāī huī roṭī ho to us meṅ ḳhamīr na ho. Is kī do qismeṅ ho saktī haiṅ, roṭiyāṅ jo behtarīn maide aur tel se banī huī hoṅ aur roṭiyāṅ jin par tel lagāyā gayā ho.
Agar yih qurbānī tawe par pakāī huī roṭī ho to wuh behtarīn maide aur tel kī ho. Us meṅ ḳhamīr na ho. Chūṅki wuh ġhallā kī nazar hai is lie roṭī ko ṭukṛe ṭukṛe karnā aur us par tel ḍālnā.
Agar yih qurbānī kaṛāhī meṅ pakāī huī roṭī ho to wuh behtarīn maide aur tel kī ho.
Agar tū in chīzoṅ kī banī huī ġhallā kī nazar Rab ke huzūr lānā chāhe to use imām ko pesh karnā. Wuhī use qurbāngāh ke pās le āe. Phir imām yādgār kā hissā alag karke use qurbāngāh par jalā de. Aisī qurbānī kī ḳhushbū Rab ko pasand hai. 10 Qurbānī kā bāqī hissā Hārūn aur us ke beṭoṅ ke lie hai. Wuh Rab kī jalne wālī qurbāniyoṅ meṅ se ek nihāyat muqaddas hissā hai.
11 Ġhallā kī jitnī nazareṅ tum Rab ko pesh karte ho un meṅ ḳhamīr na ho, kyoṅki lāzim hai ki tum Rab ko jalne wālī qurbānī pesh karte waqt na ḳhamīr, na shahd jalāo. 12 Yih chīzeṅ fasal ke pahle phaloṅ ke sāth Rab ko pesh kī jā saktī haiṅ, lekin unheṅ qurbāngāh par na jalāyā jāe, kyoṅki wahāṅ Rab ko un kī ḳhushbū pasand nahīṅ hai. 13 Ġhallā kī har nazar meṅ namak ho, kyoṅki namak us ahd kī numāindagī kartā hai jo tere Ḳhudā ne tere sāth bāndhā hai. Tujhe har qurbānī meṅ namak ḍālnā hai.
14 Agar tū ġhallā kī nazar ke lie fasal ke pahle phal pesh karnā chāhe to kuchlī huī kachchī bāliyāṅ bhūn kar pesh karnā. 15 Chūṅki wuh ġhallā kī nazar hai is lie us par tel unḍelnā aur lubān rakhnā. 16 Kuchle hue dānoṅ aur tel kā jo hissā Rab kā hai yānī yādgār kā hissā use imām tamām lubān ke sāth jalā de. Yih nazar Rab ke lie jalne wālī qurbānī hai.