20
Jarāym kī Sazāeṅ
Rab ne Mūsā se kahā, “Isrāīliyoṅ ko batānā ki tum meṅ se jo bhī apne bachche ko Malik Dewatā ko qurbānī ke taur par pesh kare use sazā-e-maut denī hai. Is meṅ koī farq nahīṅ ki wuh Isrāīlī hai yā pardesī. Jamāt ke log use sangsār kareṅ. Maiṅ ḳhud aise shaḳhs ke ḳhilāf ho jāūṅgā aur use us kī qaum meṅ se miṭā ḍālūṅgā. Kyoṅki apne bachchoṅ ko Malik ko pesh karne se us ne mere maqdis ko nāpāk kiyā aur mere nām ko dāġh lagāyā hai. Agar jamāt ke log apnī āṅkheṅ band karke aise shaḳhs kī harkateṅ nazarandāz kareṅ aur use sazā-e-maut na deṅ to phir maiṅ ḳhud aise shaḳhs aur us ke gharāne ke ḳhilāf khaṛā ho jāūṅgā. Maiṅ use aur un tamām logoṅ ko qaum meṅ se miṭā ḍālūṅgā jinhoṅ ne us ke pīchhe lag kar Malik Dewatā ko sijdā karne se zinā kiyā hai.
Jo shaḳhs murdoṅ se rābitā karne aur ġhaibdānī karne wāloṅ kī taraf rujū kartā hai maiṅ us ke ḳhilāf ho jāūṅgā. Un kī pairawī karne se wuh zinā kartā hai. Maiṅ use us kī qaum meṅ se miṭā ḍālūṅgā. Apne āp ko mere lie maḳhsūs-o-muqaddas rakho, kyoṅki maiṅ Rab tumhārā Ḳhudā hūṅ. Merī hidāyāt māno aur un par amal karo. Maiṅ Rab hūṅ jo tumheṅ maḳhsūs-o-muqaddas kartā hūṅ.
Jis ne bhī apne bāp yā māṅ par lānat bhejī hai use sazā-e-maut dī jāe. Is harkat se wuh apnī maut kā ḳhud zimmedār hai.
10 Agar kisī mard ne kisī kī bīwī ke sāth zinā kiyā hai to donoṅ ko sazā-e-maut denī hai.
11 Jo mard apne bāp kī bīwī se hambistar huā hai us ne apne bāp kī behurmatī kī hai. Donoṅ ko sazā-e-maut denī hai. Wuh apnī maut ke ḳhud zimmedār haiṅ.
12 Agar koī mard apnī bahū se hambistar huā hai to donoṅ ko sazā-e-maut denī hai. Jo kuchh unhoṅ ne kiyā hai wuh nihāyat sharmnāk hai. Wuh apnī maut ke ḳhud zimmedār haiṅ.
13 Agar koī mard kisī dūsre mard se jinsī tālluqāt rakhe to donoṅ ko is ghinaunī harkat ke bāis sazā-e-maut denī hai. Wuh apnī maut ke ḳhud zimmedār haiṅ.
14 Agar koī ādmī apnī bīwī ke alāwā us kī māṅ se bhī shādī kare to yih ek nihāyat sharmnāk bāt hai. Donoṅ ko jalā denā hai tāki tumhāre darmiyān koī aisī ḳhabīs bāt na rahe.
15 Jo mard kisī jānwar se jinsī tālluqāt rakhe use sazā-e-maut denā hai. Us jānwar ko bhī mār diyā jāe. 16 Jo aurat kisī jānwar se jinsī tālluqāt rakhe use sazā-e-maut denī hai. Us jānwar ko bhī mār diyā jāe. Wuh apnī maut ke ḳhud zimmedār haiṅ.
17 Jis mard ne apnī bahan se shādī kī hai us ne sharmnāk harkat kī hai, chāhe wuh bāp kī beṭī ho yā māṅ kī. Unheṅ Isrāīlī qaum kī nazaroṅ se miṭāyā jāe. Aise shaḳhs ne apnī bahan kī behurmatī kī hai. Is lie use ḳhud apne qusūr ke natīje bardāsht karne paṛeṅge.
18 Agar koī mard māhwārī ke aiyām meṅ kisī aurat se hambistar huā hai to donoṅ ko un kī qaum meṅ se miṭānā hai. Kyoṅki donoṅ ne aurat ke ḳhūn ke mambā se pardā uṭhāyā hai.
19 Apnī ḳhālā yā phūphī se hambistar na honā. Kyoṅki jo aisā kartā hai wuh apnī qarībī rishtedār kī behurmatī kartā hai. Donoṅ ko apne qusūr ke natīje bardāsht karne paṛeṅge.
20 Jo apnī chachī yā tāī se hambistar huā hai us ne apne chachā yā tāyā kī behurmatī kī hai. Donoṅ ko apne qusūr ke natīje bardāsht karne paṛeṅge. Wuh beaulād mareṅge.
21 Jis ne apnī bhābī se shādī kī hai us ne ek najis harkat kī hai. Us ne apne bhāī kī behurmatī kī hai. Wuh beaulād raheṅge.
22 Merī tamām hidāyāt aur ahkām ko māno aur un par amal karo. Warnā jis mulk meṅ maiṅ tumheṅ le jā rahā hūṅ wuh tumheṅ ugal degā. 23 Un qaumoṅ ke rasm-o-riwāj ke mutābiq zindagī na guzārnā jinheṅ maiṅ tumhāre āge se nikāl dūṅgā. Mujhe is sabab se un se ghin āne lagī ki wuh yih sab kuchh karte the. 24 Lekin tum se maiṅ ne kahā, ‘Tum hī un kī zamīn par qabzā karoge. Maiṅ hī use tumheṅ de dūṅgā, aisā mulk jis meṅ kasrat kā dūdh aur shahd hai.’ Maiṅ Rab tumhārā Ḳhudā hūṅ, jis ne tum ko dīgar qaumoṅ meṅ se chun kar alag kar diyā hai. 25 Is lie lāzim hai ki tum zamīn par chalne wāle jānwaroṅ aur parindoṅ meṅ pāk aur nāpāk kā imtiyāz karo. Apne āp ko nāpāk jānwar khāne se qābil-e-ghin na banānā, chāhe wuh zamīn par chalte yā reṅgte haiṅ, chāhe hawā meṅ uṛte haiṅ. Maiṅ hī ne unheṅ tumhāre lie nāpāk qarār diyā hai. 26 Tumheṅ mere lie maḳhsūs-o-muqaddas honā hai, kyoṅki maiṅ quddūs hūṅ, aur maiṅ ne tumheṅ dīgar qaumoṅ meṅ se chun kar apne lie alag kar liyā hai.
27 Tum meṅ se jo murdoṅ se rābitā yā ġhaibdānī kartā hai use sazā-e-maut denī hai, ḳhāh aurat ho yā mard. Unheṅ sangsār karnā. Wuh apnī maut ke ḳhud zimmedār haiṅ.”