3
1 Rabbul-afwāj jawāb meṅ farmātā hai, “Dekh, maiṅ apne paiġhambar ko bhej detā hūṅ jo mere āge āge chal kar merā rāstā taiyār karegā. Tab jis Rab ko tum talāsh kar rahe ho wuh achānak apne ghar meṅ ā maujūd hogā. Hāṅ, ahd kā paiġhambar jis kī tum shiddat se ārzū karte ho wuh āne wālā hai!”
2 Lekin jab wuh āe to kaun yih bardāsht kar sakegā? Kaun qāym rah sakegā jab wuh ham par zāhir ho jāegā? Wuh to dhāt ḍhālne wāle kī āg yā dhobī ke tez sābun kī mānind hogā.
3 Wuh baiṭh kar chāṅdī ko pighlā kar pāk-sāf karegā. Jis tarah sone-chāṅdī ko pighlā kar pāk-sāf kiyā jātā hai usī tarah wuh Lāwī ke qabīle ko pāk-sāf karegā. Tab wuh Rab ko rāst qurbāniyāṅ pesh kareṅge.
4 Phir Yahūdāh aur Yarūshalam kī qurbāniyāṅ qadīm zamāne kī tarah dubārā Rab ko qabūl hoṅgī.
5 Rabbul-afwāj farmātā hai, “Maiṅ tumhārī adālat karne ke lie tumhāre pās āūṅgā. Jald hī maiṅ un ke ḳhilāf gawāhī dūṅgā jo merā ḳhauf nahīṅ mānte, jo jādūgar aur zinākār haiṅ, jo jhūṭī qasam khāte, mazdūroṅ kā haq mārte, bewāoṅ aur yatīmoṅ par zulm karte aur ajnabiyoṅ kā haq mārte haiṅ.
Tum Allāh ko Dhokā Dete Ho
6 Maiṅ, Rab tabdīl nahīṅ hotā, lekin tum ab tak Yāqūb kī aulād rahe ho.
7 Apne bāpdādā ke zamāne se le kar āj tak tum ne mere ahkām se dūr rah kar un par dhyān nahīṅ diyā. Rabbul-afwāj farmātā hai ki mere pās wāpas āo! Tab maiṅ bhī tumhāre pās wāpas āūṅgā.
Lekin tum etarāz karte ho, ‘Ham kyoṅ wāpas āeṅ, ham se kyā sarzad huā hai?’
8 Kyā munāsib hai ki insān Allāh ko ṭhage? Hargiz nahīṅ! Lekin tum log yihī kuchh kar rahe ho. Tum pūchhte ho, ‘Ham kis tarah tujhe ṭhagte haiṅ?’ Is meṅ ki tum mujhe apnī paidāwār kā daswāṅ hissā nahīṅ dete. Nīz, tum imāmoṅ ko qurbāniyoṅ kā wuh hissā nahīṅ dete jo un kā haq bantā hai.
9 Pūrī qaum mujhe ṭhagtī rahtī hai, is lie maiṅ ne tum par lānat bhejī hai.”
10 Rabbul-afwāj farmātā hai, “Mere ghar ke godām meṅ apnī paidāwār kā pūrā daswāṅ hissā jamā karo tāki is meṅ ḳhurāk dastyāb ho. Mujhe is meṅ āzmā kar dekho ki maiṅ apne wāde ko pūrā kartā hūṅ ki nahīṅ. Kyoṅki maiṅ tum se wādā kartā hūṅ ki jawāb meṅ maiṅ āsmān ke darīche khol kar tum par had se zyādā barkat barsā dūṅgā.”
11 Rabbul-afwāj farmātā hai, “Maiṅ kīṛoṅ ko tumhārī fasloṅ se dūr rakhūṅgā tāki tumhāre khetoṅ kī paidāwār aur tumhāre angūr ḳharāb na ho jāeṅ balki pak jāeṅ.
12 Tab tumhārā mulk itnā rāhatbaḳhsh hogā ki tamām aqwām tumheṅ mubārak kaheṅgī.” Yih Rabbul-afwāj kā farmān hai.
Jis Din Allāh Faislā Karegā
13 Rab farmātā hai, “Tum mere bāre meṅ kufr bakte ho. Tum kahte ho, ‘Ham kyoṅkar kufr bakte haiṅ?’
14 Is meṅ ki tum kahte ho, ‘Allāh kī ḳhidmat karnā abas hai. Kyoṅki Rabbul-afwāj kī hidāyāt par dhyān dene aur muṅh laṭkā kar us ke huzūr phirne se hameṅ kyā fāydā huā hai?
15 Chunāṅche gustāḳh logoṅ ko mubārak ho, kyoṅki bedīn phalte-phūlte aur Allāh ko āzmāne wāle hī bache rahte haiṅ.’ ”
16 Lekin phir Rab kā ḳhauf mānane wāle āpas meṅ bāt karne lage, aur Rab ne ġhaur se un kī sunī. Us ke huzūr yādgārī kī kitāb likhī gaī jis meṅ un ke nām darj haiṅ jo Rab kā ḳhauf mānte aur us ke nām kā ehtirām karte haiṅ.
17 Rabbul-afwāj farmātā hai, “Jis din maiṅ harkat meṅ āūṅgā us din wuh merī ḳhās milkiyat hoṅge. Maiṅ un par yoṅ rahm karūṅga, jis tarah bāp apne us beṭe par tars khātā hai jo us kī ḳhidmat kartā hai.
18 Us waqt tumheṅ rāstbāz aur bedīn kā farq dubārā nazar āegā. Sāf zāhir ho jāegā ki Allāh kī ḳhidmat karne wāloṅ aur dūsroṅ meṅ kyā farq hai.”