15
Bāpdādā kī Tālīm
Phir kuchh Farīsī aur sharīat ke ālim Yarūshalam se ā kar Īsā se pūchhne lage, “Āp ke shāgird bāpdādā kī riwāyat kyoṅ toṛte haiṅ? Kyoṅki wuh hāth dhoe baġhair roṭī khāte haiṅ.”
Īsā ne jawāb diyā, “Aur tum apnī riwāyāt kī ḳhātir Allāh kā hukm kyoṅ toṛte ho? Kyoṅki Allāh ne farmāyā, ‘Apne bāp aur apnī māṅ kī izzat karnā’ aur ‘Jo apne bāp yā māṅ par lānat kare use sazā-e-maut dī jāe.’ Lekin jab koī apne wālidain se kahe, ‘Maiṅ āp kī madad nahīṅ kar saktā, kyoṅki maiṅ ne mannat mānī hai ki jo kuchh mujhe āp ko denā thā wuh Allāh ke lie waqf hai’ to tum ise jāyz qarār dete ho. Yoṅ tum kahte ho ki use apne māṅ-bāp kī izzat karne kī zarūrat nahīṅ hai. Aur isī tarah tum Allāh ke kalām ko apnī riwāyat kī ḳhātir mansūḳh kar lete ho. Riyākāro! Yasāyāh Nabī ne tumhāre bāre meṅ kyā ḳhūb nabuwwat kī hai,
‘Yih qaum apne hoṅṭoṅ se to merā ehtirām kartī hai
lekin us kā dil mujh se dūr hai.
Wuh merī parastish karte to haiṅ, lekin befāydā.
Kyoṅki wuh sirf insān hī ke ahkām sikhāte haiṅ.’ ”
Insān ko Kyā Kuchh Nāpāk Kar Detā Hai?
10 Phir Īsā ne hujūm ko apne pās bulā kar kahā, “Sab merī bāt suno aur ise samajhne kī koshish karo. 11 Koī aisī chīz hai nahīṅ jo insān ke muṅh meṅ dāḳhil ho kar use nāpāk kar sake, balki jo kuchh insān ke muṅh se nikaltā hai wuhī use nāpāk kar detā hai.”
12 Is par shāgirdoṅ ne us ke pās ā kar pūchhā, “Kyā āp ko mālūm hai ki Farīsī yih bāt sun kar nārāz hue haiṅ?”
13 Us ne jawāb diyā, “Jo bhī paudā mere āsmānī Bāp ne nahīṅ lagāyā use jaṛ se ukhāṛā jāegā. 14 Unheṅ chhoṛ do, wuh andhe rāh dikhāne wāle haiṅ. Agar ek andhā dūsre andhe kī rāhnumāī kare to donoṅ gaṛhe meṅ gir jāeṅge.”
15 Patras bol uṭhā, “Is tamsīl kā matlab hameṅ batāeṅ.”
16 Īsā ne kahā, “Kyā tum abhī tak itne nāsamajh ho? 17 Kyā tum nahīṅ samajh sakte ki jo kuchh insān ke muṅh meṅ dāḳhil ho jātā hai wuh us ke mede meṅ jātā hai aur wahāṅ se nikal kar jā-e-zarūrat meṅ? 18 Lekin jo kuchh insān ke muṅh se nikaltā hai wuh dil se ātā hai. Wuhī insān ko nāpāk kartā hai. 19 Dil hī se bure ḳhayālāt, qatl-o-ġhārat, zinākārī, harāmkārī, chorī, jhūṭī gawāhī aur buhtān nikalte haiṅ. 20 Yihī kuchh insān ko nāpāk kar detā hai, lekin hāth dhoe baġhair khānā khāne se wuh nāpāk nahīṅ hotā.”
Ġhairyahūdī Aurat kā Īmān
21 Phir Īsā Galīl se rawānā ho kar shimāl meṅ Sūr aur Saidā ke ilāqe meṅ āyā. 22 Is ilāqe kī ek Kanānī ḳhātūn us ke pās ā kar chillāne lagī, “Ḳhudāwand, Ibn-e-Dāūd, mujh par rahm kareṅ. Ek badrūh merī beṭī ko bahut satātī hai.”
23 Lekin Īsā ne jawāb meṅ ek lafz bhī na kahā. Is par us ke shāgird us ke pās ā kar us se guzārish karne lage, “Use fāriġh kar deṅ, kyoṅki wuh hamāre pīchhe pīchhe chīḳhtī-chillātī hai.”
24 Īsā ne jawāb diyā, “Mujhe sirf Isrāīl kī khoī huī bheṛoṅ ke pās bhejā gayā hai.”
25 Aurat us ke pās ā kar muṅh ke bal jhuk gaī aur kahā, “Ḳhudāwand, merī madad kareṅ!”
26 Us ne use batāyā, “Yih munāsib nahīṅ ki bachchoṅ se khānā le kar kuttoṅ ke sāmne phaiṅk diyā jāe.”
27 Us ne jawāb diyā, “Jī Ḳhudāwand, lekin kutte bhī wuh ṭukṛe khāte haiṅ jo un ke mālik kī mez par se farsh par gir jāte haiṅ.”
28 Īsā ne kahā, “Ai aurat, terā īmān baṛā hai. Terī darḳhāst pūrī ho jāe.” Usī lamhe aurat kī beṭī ko shifā mil gaī.
Īsā Bahut-se Marīzoṅ ko Shifā Detā Hai
29 Phir Īsā wahāṅ se rawānā ho kar Galīl kī Jhīl ke kināre pahuṅch gayā. Wahāṅ wuh pahāṛ par chaṛh kar baiṭh gayā. 30 Logoṅ kī baṛī tādād us ke pās āī. Wuh apne langaṛe, andhe, maflūj, gūṅge aur kaī aur qism ke marīz bhī sāth le āe. Unhoṅ ne unheṅ Īsā ke sāmne rakhā to us ne unheṅ shifā dī. 31 Hujūm hairatzadā ho gayā. Kyoṅki gūṅge bol rahe the, apāhajoṅ ke āzā bahāl ho gae. Langaṛe chalne aur andhe deḳhne lage the. Yih dekh kar bhīṛ ne Isrāīl ke Ḳhudā kī tamjīd kī.
Īsā 4000 Mardoṅ ko Khānā Khilātā Hai
32 Phir Īsā ne apne shāgirdoṅ ko bulā kar un se kahā, “Mujhe in logoṅ par tars ātā hai. Inheṅ mere sāth ṭhahre tīn din ho chuke haiṅ aur in ke pās khāne kī koī chīz nahīṅ hai. Lekin maiṅ inheṅ is bhūkī hālat meṅ ruḳhsat nahīṅ karnā chāhtā. Aisā na ho ki wuh rāste meṅ thak kar chūr ho jāeṅ.”
33 Us ke shāgirdoṅ ne jawāb diyā, “Is wīrān ilāqe meṅ kahāṅ se itnā khānā mil sakegā ki yih log khā kar ser ho jāeṅ?”
34 Īsā ne pūchhā, “Tumhāre pās kitnī roṭiyāṅ haiṅ?” Unhoṅ ne jawāb diyā, “Sāt, aur chand ek chhoṭī machhliyāṅ.”
35 Īsā ne hujūm ko zamīn par baiṭhne ko kahā. 36 Phir sāt roṭiyoṅ aur machhliyoṅ ko le kar us ne shukrguzārī kī duā kī aur unheṅ toṛ toṛ kar apne shāgirdoṅ ko taqsīm karne ke lie de diyā. 37 Sab ne jī bhar kar khāyā. Bād meṅ jab khāne ke bache hue ṭukṛe jamā kie gae to sāt baṛe ṭokre bhar gae. 38 Ḳhawātīn aur bachchoṅ ke alāwā khāne wāle 4,000 mard the.
39 Phir Īsā logoṅ ko ruḳhsat karke kashtī par sawār huā aur magadan ke ilāqe meṅ chalā gayā.